Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar rozay ki halat mein galati se sperm bahar ajaye to roja tut jata hai? Ya phr masturbate se roja tut jata hai?

Answer: Agar be-ikhtiari ki halat mai kisi ki mani kharij ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. laikin agar koi shakhs mani kharij karnay k iraday sai istemna karay aur is sai mani kharij ho to roza batil ho jata hai aur is k zimay qaza aur kaffara dono hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1570) (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 110 pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6312
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ki raat mein biwi se sex kiya. Subh kab tak gusul karna zaruri hai ki roza na kharab ho.

Answer: Jis per ghusal janabat wajib ho us ko waqt namaz fajar se phele ghusal janabat kar lena zaroori hai. Warna roza sahi nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can an husband suck nipples, lips, vergin of his wife and can wife suck and kiss her husband organ and lips etc during roza.

Answer: Yes they can but it is makrooh for a fasting person to do these act, without the intention of ejaculation. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar roja ho to kya mai masturbate kar sakta hun... kya is se roja tut jayega...

Answer: Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai. Aur rozay ko batil kar deta hai. (ref : jaded fiqi masail aqa sistani pg # 253 masla # 462) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6321
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr miyan biwi rozay ki halat ma hon our wo sohbat kr lain to us ka kya kaffara ho ga......?

Answer: Jima yani shohar aur biwi ka sohbat karna rozay ko batil kar deta hai aur donoo par is rozay ki qaza aur kafarra donoo wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6325
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A/s Kya Napak hone ki halat me roza Maqrooh ho jata hai ??

Answer: Jis per ghusal janabat wajib ho us ko waqt namaz fajar se phele ghusal janabat kar lena zaroori hai. Warna roza sahi nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-o-Alaikum mera sawal yea hai k agar rozay main sote hue itlaam ajaye tu isse rozay mokhro hota hai kya ..plz reply karrain jaldi

Answer: Agar sotay mai kisi ki mani kharij ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. Aur na hi makrooh hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1570 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6329
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia khly pani mai nahany sy roza toot jata hai maslan sawimming pool wagaira mai nahany sy

Answer: Swimming pool mai nahanay sai roza batil nahi hota hai laikin pura sar pani mai dbona shadeed makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1590) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6331
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what is the affect of balgham on fast?

Answer: Balgam jo moo k ander na phochi ho osay niglnay sai roza batil nahi hota hai chahay ye balgam sar ki ho ya seenay ki ho laikin jo balgam moo k ander aya ho ehtiyat-e-wajib ki bina par osay nahi niglna chaheay aur agar ye balgam moo sai bahir aa jae aur phir osay nigla jae to roza batil ho jae ga. (Ref : Tehreerul Wasila Ayatullah Khomeni r.h. pg # 521)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6333
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hum ramzaan mai rooze rakh kar eyebrow wagairah kara sakte hai......din ya raat kisi bhi waqt

Answer: Auratoo k lye eyebrows banwana jaiz hai aur is sai roza batil nahi hota hai. (Ref : deen k ahkaam pg # 242 ques # 760) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!