Question: sir mera question ya hy k mazi k nikalny sa rozay p kia asar parta hy ?? roza tote gata hy ya ni?
Answer: Mazi sai roza batil nahi ha ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya rozy ki halt me itlaam hony sy roza rahta ha kya ?
Answer: Agar be-ihktiari ki halat mai kisi ki mani kharij ho jae to is sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1570)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar jan boj kar mony nikali jae to roza toot jata ha kia tell me plz
Answer: Ji han jan boojh kar mani niklnay sai roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir,Mai ne rozay li halat me apni biwi k breast p kiss kiya aur fir fir isi beech discharge hua. Intercourse nahi kiya aur intercourse ka koi irada bhi nahi tha...aisi halat me kya hukm hai..kya ye roza valid h ya nahi aur agar nahi to fir kya ehkam hai?
Answer: Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misal k taur per apni biwi se cheerh char ya hansi mazaq karay aur osay itminan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar osay itminan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1576)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: a.a sir meraa sawal yeh hai ky insan roze main ho or porn pic or video dekhy or oska kharij ho jaya mgr yeh malon no ho ky mni hai ky mazi to roza toot jata hai
Answer: 1)Jo shaks mani nikalne k irade se cheir chaar kare aur dil laghe kare laikn is ki nini na nikle to agar dobara roze ki niyat na kare to is ka roza batil hai aur dobara roze ki niyat kar le to ehteyat lazim ki bina per zarori hai k roze ko tamaam kare aur is ki qaza bhi baja lahe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1575) 2)Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. Laikin ye (kaam) roze ko batil nahe karta (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 3)jaan bouch kar roza torne k kaffara aik mahena aik din musalsal roze rakhna ya 60 sherhefaqeero ko pait bar kar khana khelana ya har faer ko 750 gram gandum , rote wagira de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mayri wife ko raat may haiz shoro ho wah . par boohat hey alka sah. aur aus nay yah soch k roza raak liya k aabi poori tarah say haiz nahi ho wah hai... aap say poch nah yah hai k kiya aasey halath may aus ka roza ho gah yah nahi ?
Answer: 1)Din me (roze ki halat me ) haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche ye khoon maghrib k kareeb hi q na aaye is ka roza batil hai. 2)haiz k halat me wo roza nahe rakh sakte hai. 3)Ramzan k wo rozay jo kisi aurat nai haiz ki wajah sai na rakhay hoon zaroori hai k un ki qaza karay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1612, 448, 459 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Aurat k lye halat haiz me namaz perhna aur roza rakhna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448)
Question: salam molvi sahab mein ne ap se ye pochana hai k roze ki halat mein wife ki sharamgah mein ungali karna theek hai k nahi?????? plzz answer
Answer: Is say roza batil nahi hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mera sawal ye he ki muje piles ki takleef hai, me roza rakh kar ek piles ki cream istemal karta hu jisko saya 20-25mm tak toilet jagah ke undar lagana padta he jisse rahat milti he, to kya aisa karne se roza tut jayega. please jaldi jawab dijyega
Answer: Gee nahi is say roza batil nahi hota.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KIA JISM SAY BLOOD NIKALNY SAY ROZA TOOT JATA HAY???
Answer: Gee nahi, is say raza batil nahi hota. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asallamwalekum... kya roze ke niyat me hand se mani nikal sakte hai means masturbatekar sakte hai kya please answer de do....
Answer: Gee nahi, masturbation se roza batil ho jata hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)