Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam alikum moulana rozay ki halat mai sex karan wajeeb hai kya .razay ki halat mai apni bawi ka saath humbistri karna wajeeb hai kya . juld bata di jiya kare

Answer: Jima (hambistri) rozay ko batil kar deta he chahae ozu e tanasil(penis) supari tak hi dakhil ho aur mani bhi karij na hui ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2474
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar rozy main ghosal toth jay tou roza bhe toth jata hain?

Answer: Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2489
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A mera question yeah hai agar koi insan roza k halat mai movies mai sexy scene daikhta hai tu kya us ka roza tout jata hai? Reply must thanks

Answer: Agar rozay daar ko itminaan ho k is sexy scene ko daikh ker oski mani kharij nahi hogi tu agarcha ittefaqan mani kharij hojaay tu os ka sahi hay albatta agar os ko itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu oska rbatil hojaay ga.Albetta Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2495
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A Mulana Sahib. Kia couple Ramadan kay month may night may Jama (Sex) karnay kay baad time short honay ki bina per ghusal kiye baghair sehri kar leta hain. to kia essi soorat may na pak haalat may Roza rakhna jaiz ho ga?

Answer: Agar koi shakhs ramzan ki kisi raat me junub ho jay aur jaan boojh ker azaan e fajr tak ghusl na karay ya jis shaks ka fariza tayaamum kerna ho wo jaan boojh ker tayammum nah karay tu zarori hay k is din ka roza pora karay or phir aik din or roza rakhay or choonkeh ye tay nahi hay k dosra roza qaza hay ya saza, layhaza ramzan k is din ka roza bhi ma fiz zimmah(yani jo mairay zimmay ho) ki niyat se rakahy or ramzan k baad bhi jis din roza rakhay or is main qaza ki niyat nah karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1591). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2504
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya Ramzan ke mahine me jeena kar sakhte hain?

Answer: 1)Jima rozay ko batil kar deta he. chahae ozu e tanasul supari tak hi dakhil ho aur mani bhi kharij na ho. 2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1565, 1630). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2514
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozay ki halat me, Ehtalam aanay say kiya roza toot jaay ga. Rozay ki halat me Mashat Zani karnay say roza toot jaay ga. Kafara kesay kehtay hen. our kesay diya jaay.

Answer: 1)Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. 2)Agar rozay dar istemna karay to roza batil ho jata he. 3)Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. 4)Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71, 1569, 1630-32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2540
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamaualikum, mujhay yeah maloom karna hay kay agar meyan bewi say galti say ramadan main apsi talluqat hu jain(sex)to us ka keya gunha hay..jabkay huamin malom hi na hu kay ramadan main sex karna mana hay tu ab keya karin....

Answer: Agr apko pukhta yaqeen ho k jima karne se roza batil nahi hoga to kaffara wajib nahi hoga lekin jitne rozon me ap ne aysa kiya hai sirf un rozon ki qaza karna zaruri hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1625,1631).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2613
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.A roze ki halat mai apni bivi sy hmbestary krna jaiz hai k nai

Answer: Wssalam o alykum, Roze ki halat men apni bivi se hmbistari karna roze ko batil kar deta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565 to 1568) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2967
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ki halat main agar roza dar inhalar(sans kharab ho tu sans ky sath medicen layty hain khany wali nahi hay gas ki sorat main hoti ha)lay to kia roza toot jay ga.

Answer: Dame ki bimari me istemal hone wala spray(inhaler) agar dawa ko sirf phephoro(lungs) tak pounchae( yane dawa ko sirf saas ki nali tak pounchae, nah k khane ki nali tak) to is se roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1557) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3005
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maney boolkay qaza roza azaan sey phelay toffee khaya tha mera roza ka kia baneygha

Answer: Agar roze dar ghalte se koe cheaz khale ya pi le to is ka roza batil nahe hota laikin jaise hi yaad aa jay tu os k baad se koe cheez halaq main nahi lay jjay. (ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1556 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!