Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6337
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sehri ka time 3.40 tk tha meri ankh 4.20 pe khuli 4.35 tk mein ne khana kha k roza rakh liya kya mera roza sehi hy

Answer: Roza rakhnay k lie namaz e fajar k waqt sai lai kar maghrib tk kuch nahi khana hota hai. maslan fajar ka waqt agar 4.20 hai to 4.19 k baad kuch nahi khana hai. warna roza nahi ho ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1531-53)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6341
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: My question is that : kia rozay ki halet main bivi ko kiss ker saktay hain, aor uss k sath cherh charh ker saktay han, iss soorat main roaza makrooh to nain ho ga?

Answer: Rozay ki halat mai mani nikalne k irade k begair apne biwi ka bosa (kiss) lana makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AssaLam_O_Alikum!!!!!Mra ap sy ye sawal ye hai k agr koe insan apna apko kse kam sy control ni kr sakta to.....or agr wo insan wo kam kr dy to kiya roza toot jta hai.......Mra matlb hai..........(((((((Handpractice)))))))

Answer: Handpractice karna haram hai aur rozay ko batil kar deta hai. (Ref : jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6345
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ka roza ma games khel skta han

Answer: Jaiz games khelna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6346
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aehtelaam hojae aor pata na chale aor pore din namaz pare aor roza bhi ho phir raat me pata chale to namaz roza hojata hai aor shareyat me keya hai namaz dobara parhe ya hai aor roza dobara rakhe

Answer: Agar koi shaks ramzan mai dekhay k ise ehtelam hogaya hai to agarche ise maloom ho k ye ehtelam azan se phelay hoya hai is ka roza sahe hai. laikin namaz ki qaza karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1606, 353)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ke halat mein tooth brush karney se roza toot jata hai.

Answer: Rozay main tooth brush krny sai roza nahi toota hai laikin geele lakre se miswak karna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6352
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya rozy ki halat ma gair zruri bal saf kiye ja skty hn?

Answer: Jaiz hai aur is sai roza bhi nahi toot’ta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6360
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir maira sawal ya ha .ky jab Ramazan mai subha ki nimaz ky bad sooya jae or ghusal faraz ho jae ..to Kia rozy pa isla kuch Asar par sakta ha.or rozy mai ghusal ka tarika be batae. Suhkria

Answer: Roza sahi hai. Aur ghusl ka wohi tareeqa hai jo aam dino mai hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1571 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6373
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya ealry prgnancy mai roza chor sakty hain?

Answer: Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay aik mudd toam(gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6374
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawl hai ki roze mai itlam ho jay to or sex ho jay to ye gunha hai kya

Answer: Ahtilam se roza nahi toota hai jab k Jima(sex) roze ko batil kar deta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!