Question: agr roze main istemna kia jae to roza batil ho jata he
Answer: istmna (kise zaria se mani kharij karna )karne se roza batil hojata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1569)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: MAIN ROZE KI HALAT ME APNI MEHBOOBA SE BATO BAAT PAR KUCH GLAT JAGHO PAR HAATH PHERNE KI WAJHA SE MAIN NAPAK HOGYA ... KYA MERA ROZA TUT GYA?? AUR ROZA TUTA TO KYA HUM PAR KAFFARA BHI WAJIB HUA??
Answer: ager haath pharna mani nikaalne ke iraade se ho or is ki mani nikal jaae to is ka roza batil hai or is per is roze ki qaza or kuffara wajib or ehtiyaat e lazim ki bina per is din roze ko batil karne wali cheezoo se bhi perhaiz kare, or ager mani nikaalne ke irade se na ho or itifaqan mani nikaljaae to roza sahi hai. Lekin agr apko is bat ka ilm nahi tha or in masaaail ko seekhne men apne kotahi b nahi ki to to is surat men apka roza b batil nahi hia.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1630 , 1575 , 1576 , 1562). shoar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: agar koi ramzan main zana kray to us ka kafara kis tara ho yani kiya krna ho ga
Answer: ager koi roze main zina kare to is ka roza batil hai or is per is roze ki qaza or kuffara wajib hai or ehtiyaat e lazim ki bina per is din roze ko batil karne wali cheezoo se bhi perhaiz kare. Or roze ka kaffara ye hai k insane 2 do mmahine roze rakhe ya 60 faqeeron ko pet bher kr khana khilaye ya har faqeer ko ek mud taqreeban
Question: Mai apni biwi se phone baat kar raha tha aur Mani khariz ho gai kya mera roja batil ho gaya mera koi irada nahi tha Mani khariz karne ka.
Answer: Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misal k taur per apni biwi sai hansi mazaq karay aur ose itminan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albetta agar ose etminan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1576)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mera ya sawal ha ka rozay ka ander ager hath use kiya bagir kisi or tareeqa sa mani ka nikal jay to is sa roza par kiya farq parta ha . . ? ager kisi ko ilm na ho to is ka bary main kiya hukm ha ?
Answer: 1-Mani ka nikalna roze ko batil kerta hai. Bas agar insan jan bojh ker or apne ikhtiyar k sath mani nikale to uska roza batil hojata hai or isko is roze ki qaza or kaffar bhi dena parhega, or agr wo jaan boojh ker mani nah nikale to phir koi haraj nahi hai. Or agar insan ye nah jaanta ho k mani k nikalne se roza batil ho jata hai or is k baare main maloomat hasil kerne men kotahi(susti) nah ki ho to phir iska roza batil nahi hoga. Lekin agr ye kisi se maloomat hasil kerskta tha or susti or kotahi kerne ki wajah se is ne kisi se maloom nah kiya to phir is ka roza batil hojaye ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#1625). 2- Agar koe mubtilaat e rozay(masla istimna) ko anjaam day or osay pukhta yaqeen ho k is amal se roza batil nahi hoga tu os per kaffara wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1630). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Rosa ke duwran hum miswak (apna dant brush) kar sakty hai ya nahi?
Answer: Gee haan, bilkul ker sakte hen is shart k sath k agar aap ki paist ya pani halaq tak nah puhnche. (Ref : Mujtahid se pooche gaye sawalat page#83). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mai peshab kr raha tha aur mere irade ke baghair peshab ke saath nutfa (mani) nekl gaye kia mera roza kharab ho gaya ya nahi?
Answer: Agar bay ikhtiyaari ki halat main kisi ki mani kharij ho jaay tu oska roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1570). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya roza ki halat ma tooth brushing kar sakta hain?
Answer: Gee haan ker sakte hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1553 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Kya pest laga kr brush krne se roja tut jata h?
Answer: Gee nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1553 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: assalamualaikum mera sawaal yeh hai ke kya hum rozay ki halat mai agar kuch gandi video dekhle jiski waje se napaki ho to roza toot gaye ga ya nahi
Answer: 1)Istimna(masturbation) roze ko batil(torne) kerne wali chizon men se hai lekin agr apko pata nahi tha k istmna se roza toot jata hai or ye baat poochhne men ya in masaail ko jan`ne men apne susti or kotahi bhi nahi ki thi or aap istimna k bare men shak or preshani men mubtila bhi nahi the (k aya is se roza toot jata hai ya nahi), ya ap kisi sharae hujjat pr etemaad rakhte thay agr ye tamaam baaten aap k ander mojood hon to phir is surat men apka roza batil nahi hoga lekin is k bar-aks agr apko pta tha ya phir apne puchhne men susti ki ya apko is bare men shak tha k ye roze ko torh daiti hai ya nahi ya phir ap kisi sharaee hujjat per etemaad bhi nhi rkhte the to is soorat men apka roza batil hoga, 2)Ehtelam jis ka matlab hai neend men mani ka nikal jana(discharge), is se roza batil nahi hota agrche apko pta bhi ho k agar aap din men sogaye to apko ehtalam hojayega tab bhi ap k liye sona jaiz hai chahe aap ko sone ki wajah se koi takleef nah bhi ho tab bhi aap k liye sona jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeeh-ul-masail 31st edition, maslah#1553-16225). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)