Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17014
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun aleykum Kya khums ka paisa nikaal kar jald hi haqdar tak pahunch na chahiye ya agar ham jama karle or kuch arse baad ada kre to koi harj h

Answer: Apne maal ka khums nikalne ke baad agar fauran ada kar sakte hon to bila wajah aur bager majboori ke apne pass rakhna jaiz nahin hai, balke haqdar tak puhnchana wajib hai, Han! agar koi majboori ho to is silsilay me apne mujtahid ya us ke wakeel ki taraf ruju kar sakte hain, phir mujtahid ya us ka wakeel aap ke liye jo tajweez paish kare, usi ke mutabiq amal karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #719). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17015
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun aleykum Kya khums ka paisa nikaal kar jald hi haqdar tak pahunch na chahiye ya agar ham jama karle or kuch arse baad ada kre to koi harj h

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17192
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamalaikum. Hazart mein rent k ghr mein rehta hai meray paas apna gher nahi hai.. mein ne plot lia hai or meri neyet hai k us plot ko bech ker apna gher bna lon ga. kia aisay plot per zakat hai ya nahi? Rehnamai fermaiye Shukria

Answer: (Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, zameen aur plot par zakat nahin hoti. Albatta khums wajib hota hai aur khums se muraad maal ka 1/5 hissa dena hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1722,1723). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17612
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kia hajj pa janay se pehlay ap ko khums ada karna zarori h

Answer: 1: Agar kisi shakhs par khums ya zakat wajib ho aur is ke paas itni miqdaar mein maal hai ke agar khums ya zakat ada kar day to hajj ke akhrajaat ke liye kaafi nah rahay ga to is par khums ya zakat ada karna wajib hoga. aur hajj wajib nahin hoga. is se farq nahin parta ke khums aur zakat isi maal par wajib ho ya is se pehlay par wajib tha aur maal ab mila ho. 2: Agar kisi par hajj wajib ho aur is khums aur zakat ya aur koi wajib haq ho to zaroori hai ke usay ada kare choonkay safar-e-hajj ki wajah se unki adaigi mein takheer nahin kar sakta. Agar tawaf ya namaz-e-tawaf mein sharamgah chhupanay wala kapra ya qurbani ki qeemat par khums wajib ho to is ka hukum wohi hai jo gasbi maal ka hukum hai aur woh yeh hai ke agar tawaf ya namaz-e-tawaf mein sharamgah chhupanay wala kapra gasbi to ahwat yeh ke is par iktefa nah kare, Agar qurbani ki raqam gasbi ho to hajj nahin hoga. lekin agar qurbani udhaar khareeday aur phir uski raqam gasbi maal se ada kare to is soorat mein hajj sahi hoga. (Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #30,35,36). [Updated on 05-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17707
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar raqam account Mai hai or kharch na hui ho tou uska Kiya hukum hai or abhi sirf 3 months hi huay Hain account Mai add huay

Answer: NULL

Id: 19484
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If father have no source of income and have some bank loan also can he can take the khums from his own son,

Answer: NULL

Id: 19633
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Aoa, i have some amount for khums(sehm-imam), I wanted to ask can I contribute that about for the development of a imam bargah ? Thanks, Zeeshan

Answer:

Id: 19642
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Aoa, i have some amount for khums(sehm-imam), I wanted to ask can I contribute that amount for the development of a imam bargah ? The people who are building the bargah are poor and they requested for some contribution. Thanks, Zeeshan

Answer:

Id: 19686
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam, kia gold k sets or sikkon per khums vajib he agar usay 1 saal ka arsa ho gaya ho

Answer:

Id: 19895
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Kya apna ghar karidany k liy jama ki janay wali amount pay zakat farz hai

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!