Question: salam!baalig hone kay baad nabaligiyat kay zamane mein kisi cheez kay aik saal say zaid gairistemaal shuda rehne par mukallif ki kiya zimmedaari hai?
Answer: Salam un Alaikum, Us par wajib hey wo us cheez ka khums dey. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 1802
Question: asalumalykum my question is abt KHUMS.do the khums implement on pocketmoney.i am a student of age 17 i have some pocket money FROM ABT 02 YEARS and i never paid the KHUMS. SEND ME THE ANSWER IN DETAIL. WASALLAM BAQAR.
Answer: Salam un Aliakum You have to pay the khums on your "Pocket Money" on your khums date. Refrence: Tauzeeh ul Masail A.Sistani Prob No 1762
Question: WILL U INFORM ME ABOUT THE PROBLEMS OF KHUMS IN BUISENESS.I HAVE AN ONLINE ACCOUNT IN STOCK EXCHANGE.MY INVESTMENT IS ONE HUNDRED THOUSAND.HAVE I PAY KHUMS OR ANY CHARGES ON PROFIT AND KHUMS ON MY INVESTMENT.PLZ INFORM ME IMMIDIATELY.
Answer: Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.
Question: main aik rishtedarsay qarz lay ker car kharidna chahta hun kya muhay khums dena hoga?
Answer: Qarz ki raqam main qarz lenay walay par mutaqan khums nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae.Pg.No.301.Masala No.890.
Question: I got Prize of Rs. 15000 from prize Bond. Khums is due or not for me on the prize. Khums for this year is not due because i have already paid khums for this year. Question is that "Is khums due from prize of Prize Bond which I got? Thanks
Answer: Is par khums nahi hay laikin aap ko inaami raqam ka nisf(Half) hissa kisi momin deendaar faqeer ko dena wajib hoga.Ref:S-39
Question: aslialamualikum main nay abhi tak khums ki tareekh fix nahi ki hai or january main BC dali hai jo march main milay gi to is per khums kaisay niklay ga ?
Answer: w.s. Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.
Question: asalamualikum molana sahab kia hum her mahinay k akhir main apni bachi hoi raqm main say khums nikal saktay hain ya nahin
Answer: w.s. jee, nikal saktay hain aur agar maloom k saal k ekhtetam tak is bachi hui raqam ki zaroorat nahi padegi to ehtiyate wajib ki bina par fawran khums ada karna zaroori he(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1736)
Question: asaalamualikum ager pooray saal bachat nahi ho rahi laikin fix ki hoi tarikh per us mahinay ki bacht per kia khums ho ga ?
Answer: w.s. fix ki hui tarikh taq ki bachat par khums hoga (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 3 page 48)
Question: PLZ HADEES E RASOOL S.A.W OR QOOL E ALI OR QURAAN KI AYAAT SY KHUMS KI TOZEH DALEEL DAIN
Answer: b.t. aap apne sawal k liye www.sistani.org ya www.rafed.net par ruju karain.
Question: Dear Sir, I want to ask that Khumas ka Fattwa Ghar ke Zameen per Laghoo hota hai? Please reply me Urgently.
Answer: Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.