Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13403
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum. Agar khums ki tareeh aany sy kuch arsa pehly jewellery hareedi jaaye k khums kamm nikly par woh istemaal main b aa jaye saal guzarny sy pehly to keya usspy khums wajib hoga?

Answer: Agar khums ki tareekh aane se pehle zewar istemaal ho ajey tu khums wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1751). [Updated on 12-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13825
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kums k pasiy se kisi ki madad krsakty hn

Answer: Zarori hay k khums 2 hisso main taqseem kia jay. Oska aik hissa sadaat ka haq hay or zarori hay k kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jay jo safar main nachar hogaya ho or dosra hissa Imam a.s ka hay, Zarori hay keh sehm e imam a.s maujoda zamane main jaamus shraet mujtahid ko diya jaey ya aise kamo main jis ki wo mujtahid ijazat day kharach kia jaey or ehtiyaat e lazim ye hay keh wo marja aalam ho or omomi maslihato se agaah ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #1804). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14537
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi ki pocket money fix na ho or hr maheeny na milti ho or saal k akhir mai kch bchta na ho to khums k bary mai kya hukum hy ?

Answer: Agar saal ke aakhir men kuch nahin bachta ho to khums nahin hoga. jo afrad kamate nahi hain on ki har os amadni per khums wajib hoga jis per aik saal ho jaey or wo istemal nah hoon. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1762). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15638
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab assalam o alaikum Meri age 35 hai or maine abhi tak khums nhi nilala .ab nikalna chahta hu but inta sal ho gya h ki kuch samjh nhi aata ki kaise calculation karu. Please help

Answer: 1: Taajir, kamanay wala, karigar, mulazim, kisaan, ustaad, mazdoor or digar paishay wale afraad ka, kamayei ya kaam shuru karne se aik saal guzarne k baad, khums ka saal aa puhnchta hay, zaroori hay k jo khuch un k saal se ziyada ho us ka khums (yani 1/5) dain, be rozgaar afraad ko jo ittefaaqi amadani hasil hoti hay tu jab amadani hasil hone k waqt se aik mukammal saal guzar jaey tu us bachi huei miqdaar ka khums ada karna zaroori hay, isi tarah be rozgaar afraad apni har amadani k liay aik alag saal muqarrar kar sakte hain. 2: Jis din kaam shuru kiya tha wahi aap ke khums ki tareekh hai har saal us din jo kuch aap ke pass bacha hai us ka khums adaa karen chahe naqad paisa ho ya wo cheezen jo istemaal se khatam ho jaati hain jaise khaane, peene cheezen jo kuch bachi hon aur isi tarah libaas aur is tarah ki cheezen agar jis saal men khareedi hon us men istemaal in ko na kiya ho, aur guzishta saalon ke liye bhi jis men khums nahin diya hai. isi tarah hisaab karen aur agar us ki miqdaar maloom na to jitni miqdaar yaqeeni hai use adaa karen aur mashkook miqdaar ke liye apne mujtahid ya us ke wakeel se musaliha karen is tarah se ke agar 50% feesad ehtemaal ho ke us cheez ka khums diya hai to us ka aadha khums den, aur Ghar ya Ghar ka saman, gaari aur doosri cheezen agar saal ki aamdami se khaeedi aur istemaal ki hon to us par khums nahin hai. aur har saal khums de kar bachi huei miqdaar agar naye saal men kharch ki ho to naye saal ki aamdami se use kam kar sakte hain. 3: Apne poore maal se khums nikalne ke baad khums ke do (2) hissy kiye jayen gay aik ko sehm e imam(a.s) or aik ko sehm e sadat kehte hen. Jo hissa sadaat ka hai zaroori hai ke kisi faqeer sayed ya yateem sayed ya aise sayed ko diya jaye jo safar men laa chaar ho gaya ho. aur jo hissa Imaam(a.s) ka hai jo zaroori hai ke maujooda zamaane men jaame sharait mujtahid (ya us ke wakeel) ko diya jaaye ya aise kaamon par jiski wo mujtahid ijaazat de kharch kiya jaaye aur ehtayaat-e-laazim ye hai ke wo marjae alam ho aur maslehaton se aagaah ho. or Jis yateem sayed ko khums diya jaaye zaroori hai ke wo faqeer bhi ho lekin jo safar men la chaar ho jaay wo khuwah apne watan men faqeer na ho tab bhi use khums diya jaa sakta hai. (Ref: Ahkam e khums o fitra, pg #29-31. + website link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25623/ . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1804,180,18056). note: aap khums adaaeghe ke silsele me aytullah sistani sahab ke kise vakeel se jo molana hote hay un se raabta karsakte hay ya chaae tu pakistan ke city karachi me moujood molana ali raza mehdave se raabta karsakte hay. 03452295922 [Updated on 16-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15660
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zameen aor plot pr khumas ki detail bta dain

Answer: Har wo aamadni jo salana kharch se bach jaye aur zaroorat me istemaal na ho us par khums wajib hai. ( or is ke tafseele ahkaam sawaal ke tabdeel hone se tabdeel hosakte hay ) (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/127257/ ). [Updated on 26-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15722
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khums k peso ko kisi or ki majlis m tabruk ya kam k lye istnal kiya jaskta

Answer: Jee nahin, balke Sehm e sadaat, sadaat ka huq hai or zaroori hai k kisi aise syed ko diya jaaye jis mai sharait moujood hon aur Sehm e imam zaroori hai ke mujtahid ya us k wakeel ko diya jaaye, Han sehm e imam, mujtahid ya us ke wakeel ki ijaazat se kharch kiya jaa sakta hai lekin zaroori hai pehle mujtahid ya us ke wakeel se ijazat li jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804). [Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15807
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi ko qarz dya hoa ho aur kisi se qarz lya ho toh us amount par khums hai?

Answer: 1: Wo qarz jo zarooriyat e zindagi ke liye liya ho us ko usi saal ki amadani se kam kiya jaa sakta hai aur phir jo bache us ka khums ada kiya jaye, lekin guzishta saalon ke qarz ko is saal amadani se kam nahin kar sakta. 2: Agar qarz par di huei raqam wosool karne ke qaabil ho to zaroori hai ke us raqam ka khums ada kare, chahay narmi ke sabab ya kisi doosri wajah se us raqam ka mutaalba nah kare, laikin agar mutaalbe ke sath bhi raqam abhi khums ke saal ke agaaz tak wusool nah ho, to sabar kare or wosool hone ke fauran baad (agle) saal ka intezaar kiye baghair khums ada kare. (Ref: Ahkaam e khums o fitra, Ayatullah Seestani(d.b), Mafhoom e Maslah #2360,2366. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01797/#25628 ). [Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15886
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere shauhar par bank se qarz h or emi chl rhi hai toh kya Mai khums de skti hu

Answer: Jee han, agar khums ki tareekh aa gayei hai or aap ke pass saal bhar ke akhrajat me se kuch bach gaya hai to aap ko us ka khums ada karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1722,1723). [Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16557
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri date 31 Dec hai khums ki. 24 ko mjhe salary mili hai kia 6 din baad Khums me mjhe us salary ko mila ke dena hoga ?

Answer: Taajir, dukan daar, kaariger, mulaazmat (job) karnay walay aur isi tarah dosray kamanay walay hazraat ke liye zaroori hai ke jab se unhon ne kaam ya job shuru ki ho, aik saal gurazar jaaye, to jo khuch raqam ya samaan istimaal se bach gaya ho, us ka khumus dain. Is bina par agar mukammal salary kharch na hui ho to tamam salary ko bhi us me mila kar is ka khums dena zaroori hoga, isi tarah agar kharch to hui ho lekin kuch bach jaye to jo baaqi bache gi us me mila kar is ka bhi khums dena zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1722,1735). [Updated on 10-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16916
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kisi shaks pay karza hai ab kiya wo abhi bhi apni kamai me say khums dena wajib rakhta hai?

Answer: Maqrooz hone ki wajah se khums muaaf nahin hai aur woh qarz jo zarooriyat e zindagi ke liye liya ho, us ko usi saal ki dar aamad se kam kiya jaa sakta hai aur phir jo bachay us ka khums day, lekin guzashta saloon ke qarz ko is saal ki dar aamad se kam nahin kiya jaa sakta. Altbatta ye maslah tafseel talab hai ke jis ke liye aap darj numbers pe contact kar sakte hain. ya office aa kar maloom kar sakte hain. Timing: 2:00 PM - 6:00 PM Tel: (0092-21) 32226948 Tel: (0092-21) 32237207 (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #704,705. + link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01797/#25628 ). [Updated on 18-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!