Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11389
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: khums kin kin chzoon par wajb h

Answer: Khums 7 chezon par wajib hai, 1- Karobar (Ya Rozgar) ka Munafa. 2-Maadani kaneein. 3-Dafina (garha hua khazana). 4-Halal maal jo haram maal mein makhloot ho jaye. 5-Gotah khori se hasil hone wale samandari moti. 6-Jang me milne wala Maal e Ghaneemat. 7-Mashoor qaul ki bina par woh zameen jo zimmi kafi kisi musalman se khareeday. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 1721). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12392
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Hum ek idare Ko khums dete hai use Marja e karaam se ijaza hasil hai. Lekin wo hame apne idare Ki raseed dete hai uspe Qalam se sehm e Imam likh dete hai kya ye sahi hai? Ya hame apne Marja ke daftar wali raseed Lena zaroori hai??

Answer: W/salam, khums dene wale k liye zaroori he k mukammal raqam ki raseed hasil kare aur yeh raseed us majre k daftar ki tarf se hona zaroori he (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 2 page 58) [Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12423
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is the khums date of a government employee?:the day he joins the department or the day he receives his first salary in bank,or when he withdraws it from bank.

Answer: Sarkari ya mushtarak bank main jama shuda raqam ko jab tak hakim e shara ki ijazat se apne qabze or milkiyat main nah lay lay os main khums wajib nahi hoga Q keh hakim e shara ki ijazat se milkiyat main lene k baad hi wo os saal k munafey main shaamil hoga jise os ne hasil kia ho or os raqam main se jo os k salana akhrajaat se zaaid ho khums dena hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail jamay ayataullah seestani, pg#436 hashiya). [Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12530
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it obligatory to pay Khums of jewellery which I purchased for my future wife? Jewellery price 45,000/- Weight 10 grams... Pls give answer at your earliest....

Answer: Khums ki date ppar is ka khums daina wajib hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1722,1723). [Updated on 06-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12550
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum!!!Eid-i-qurbaan meri khums ki tareekh ke baad aati hai aur me khums ki tareekh se pehle qurbani ka janwar khareedta hu,kya mujhe is janwar par khums nikalna hoga jo mein ne is saal ki aamdani se khareeda???

Answer: wsalam. 1)eid ul azha par qurbani karna mustahab e takeedi hai wajib nahi hai jub k khums dena wajibaat mai sai hai. Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/) 2)agar khums ki date par jaanwar moujood hai tou us par bhi khums aaye ga.Ref:Tauzeeh ul masail jamay ayatullah seestani maslah no 2298). [Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12647
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agha mujhy khums k mutalik maloomat chahye, khums kb wajib hota hy aur kin kin cheizon py hota hy aur khums ki tareekh kaisy muntakhib ki jati hy, aur khums ki ratio kaisy nikalty hain.

Answer: Tajir,dukaan daar,karigar,mulaazmat(job) karnay walay aur isi tarah dusray kamanay walay hazraat k liay zaruri hay k jab say unho nay kaam ya job shoru ki ho, aik saal guzar jaye to jo kuch in kay saal bhar kay akhrajaat say ziyada ho iska khums(5th hissa/20%) day. Mazeed malomaat k liay is limk se book download kar k perh lain.https://www.scribd.com/document/337300887/Ahkam-e-khums-o-fitra-%D8%A7%D8%AD%DA%A9%D8%A7%D9%85-%D8%AE%D9%85%D8%B3-%D9%88-%D9%81%D8%B7%D8%B1%DB%81. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) [Updated on 12-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12954
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is there khums on kufan purchased for self use.

Answer: Yes .agar kafan ko aise paise se khareda hay jis khums wajib hota hay or khums na nikala ho tu purchased kie ghe kafan per khums ka saal guzarne ke baad khums hoga (Ref: Ahkam e khums o fitra,ayatullah sistani, maslah#38-2320). [Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13026
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agha sb main ny ik suit kapron ka liya tha aur abi tak silae ni krwaya aur sal sy zyada arsa h geya hai aur abi main silae krwana chahta hon tu kya us py Khums wajib hai ya nahi...kindly tell me thanka

Answer: Is ka Khums nikalna wajib hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 110 ,pg # 51,52) [Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13200
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aurat ko jahez me sona aur zameen mili ho tou kia uspy khums nikalna hota hai?

Answer: Is ka khums wajjib hay magar ye keh is miqdar ka is k paas nah hona jo istefadah nahi hoa os ki shan k khilaf ho ya yeh keh istemal karne ka qareebi imkan paya jaata ho jaisay mehmano ka saman agar zarorat k waqt farhaam karna asan nah ho.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01797/#25668). [Updated on 18-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13239
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia jahaiz ki cheez on par khums hai?

Answer: Jo raqam baap ne beti ki shadi k liay mehfooz kar k rakhi hai tou khums k ikhtitaam par us ka khums ada karna wajib hoga, or wo gold is lie save kia hai k us ko sell kar k shadi k akhrajat poorey karain gay tu us par bhi khums daina hoga, lekin agar gold ya koi bhi cheez is lie rakhi hai k wo cheez ya sona beti ko jahez mai dain gay tu us par khums nahi hoga. (Ref:Book:Ahkaam e khums o fitra, Ayatullah syed Ali hussaini seestani, maslah # 2322 page# 43) . [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!