Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9288
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khums kya hai ? or ye kon c umr per wajib hota hai or kyaa tariqa hai iska? mein fil haal job nahi karta bus abbu se pocket money milti hai.

Answer: Tajir , kamanay wala, karigar, mulazim , kisan,ustaad, mazdoor or digar paishay wale afraad ka, kamae ya kaam shuru kerne se aik saal guzarne k baad, khums ka saal aa pohanchta hay, zarori hay k jo khuch on k saal se ziyada ho os ka khums(1/5) dain, bay roozgaar afraad ko jo ittefaaqi amadani hasil hoti hay tu jab amadani hasil hone k waqt se aik mukammal saal guzar jaey tu os bachi hoe miqdaar ka khums ada kerna zarori hay, is terah beroozgaar afraad apni har amadani k liay aik alag saal muqarrar ker sakte hain. Nabaligh bachay k maal per bhi khums wajib hota hay.(Ref: kitab: Ahkam e khums o fitra,pg#29-31,142). Update on dated 17-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Mazeed malomaat k liay7 is link per click karain. http://www.sistani.org/urdu/qa/01797/.

Id: 9385
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jo raqam sohr apni bv ko btor tohfa dy ya jaib kharch k tor pr dy to kia us pr khums wajib he.

Answer: Jee haan, tohfe per khums wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e khums o fitra ,Mafhoom e Maslah #2306). Update on dated 06-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9386
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jo raqam waldain ya bahi apni bate ki btor tohfa den to kia us pr kums wajib he.

Answer: Jee haan, tohfe per khums wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e khums o fitra ,Mafhoom e Maslah #2306). Update on dated 06-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9387
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager kuch raqam kise ko btor qarz di gae he to us bary me khums ka kia hukam he.

Answer: Agar qarz per di hoe raqam wosool kerne k qaabil ho tu zarori hay k os raqam ka khums ada kare, chahay narmi k sabab ya kisi doosri wajah se os raqam ka mutaalba nah kare, laikin agar mutalba k sath bhi raqam abhi khums k saal k agaaz tak wusool nah ho, tu sabar kare or wosool hone k baad fauran saal ka intezaar kiay baghair khums ada kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkaam e khums o fitra, Mafhoom e Maslah #2366). Update on dated 06-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9631
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Agar koi shakhas Maqrooz (Qaraz daar) hai Bank ka ya kisi individual ka toa kiya wo shakhas khumus ada karnay ka paaband hai.agar YES to kis hisaab sy ada karayga(Please Explain)

Answer: Qarz ki asal raqam per khums wajib nahi hota Q k os raqam k aap malik hi nahi hotay. Agar ye bank private ho tu saal ki amadani (income) se jitni raqam bank ko wapas kerdi ho or qarze ki asal miqdaar aap k saal k akhrajaat main istemaal nah hoe ho tu otni miqdaar ka khums nikaalna wajib hoga. (Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,part#1, sawaal#108). Update on dated 16-01-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10073
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam...England mai jo burhay logon ko kaam na karnay per wazifa milta hai kiya is pesay per khums nikalna wajib hai?agha sestani k fatwa k mutabiq jawab dijay

Answer: wsalam.jee agar wo saal bhar k ikhrajaat sai ziaada hai tu us par khums wajib hoga.(Ref:ahkaam e khums o fitraa maslah no 2306 page no 33) [Updated on 14-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10097
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Kuch maulana ka khna h ki khums ki rakm kisi bhi zimmedar maulana ko diya ja sakta h..aur kya haqqe sadat jo syed ho aur khums ka haqdar bhi hi use bina kisi se puche diya ja sakta h?

Answer: khumus ky do (2) hissy hoty hen aik ko sehim e imam or aik ko sehim e sadat kehty hen or jo hissa sa’daat ka hai aur zaruri hai ke kisi faqeer sayyed ya yateem sayyed ya aise sayyed ko diya jaye jo safar mein laa chaar ho gaya ho aur dosra hissa Imaam(a. s. s) ka hai jo zaruri hai ke maujooda zamaane mein jaa’me shara’e mujtahid ko diya jaay ya aise kaamo jiski wo mujtahid ijaazat de kharch kiya jaay aur ehtayaat-e-laazim hai ke wo marja’e a’lam ho aur mas,alehato se aagaah ho.or Jis yateem sayyed ko khums diya jaay zaruri hai ke wo faqeer bhi ho laikin jo safar mein la chaar ho jaay wo khahh apne watan mein faqeer na ho tab bhi ose khums diya jaa sakta hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 1804/05/06) [Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10206
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Alekum: Main Berozgaar Hu Or Mere Bhai Ne Mujhe Kuch rupay Diye Hai Mere Kharcha Pani Ke Liye To kya Un Paiso Me Khums Niklega I am totally Jobless

Answer: Berozgaar k paas agar kuch raqam ho or wo us ko aik saal tak istemaal nah karay tu us par khums daina wajib hoga.(Ref:ahkaam e khums o fitraa aqai seestani maslah#2329) [Updated on 10-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11162
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi cheez k bary ma shak ho k ye israf h ya nae or is pr khums h ya nae to ispy khums nikalna wajib h?

Answer: agr kisi israf ke bare me yaqeen hai keh israaf kia hai to khums wajib hoga warna nahi (mafhoom). (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail jamia , masla no 2317, Web Address : https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4490/ ) [Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11366
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alikum molana sahib mei pakistan se hun next month umrah karnay ja raha hun kya meray umrah k akhrajaat pe khumas ho ga aur agar ho ga tu kitna?

Answer: umra k akhrajaat saal k akhrajaat shumaar hote hain jo keh is saal kharach kiay gaey hoon. or agar oska safar saal k baad tak tolaani ho ajey tu jo kuch saal k baad guzzishta saal ki amdani se kharach kare tu zarori hay keh os ka khusm day.(Ref: kitab Ahkam e khums o fitra, pg#44) Note: Saal se murad khums ki tareekh hay, kamane wae shaks ki aik makhsoos khums ki tareekh hoti hay or berooz-gaar ko milne wali har cheez per saal poora ho or istemaal nah ho tu khums hota hay. [Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!