Question: B.c per khums key barey mai kia ahkam hai.for example agar kisi ney b.c per month 2000 rakhi hai aur woh b.c 3 saal per khatam hoti hai lekin us shaks ko b.c 8 month mai mil jati hai 72000 tu kia us ko 16000 per khums wajib hai ya 72000 par
Answer: b.t. agar 8 kiste bharne ke bad hi aapki khums ki tarikh aa gai hain or apke pass in 72000 me se 56000 se zayed koi raqam bachi hui hain to 56000 se zaid bachi hui raqam par khums wajib hoga, 56000 par abhi khums wajib nahi hain.(ref:tawzihul masail, Aytullah Sistani (d.b.) masaala no.1761)
Question: khums kia hai? aur kia syed khums ada karta hai? aur kia syed kisi dosrey syed ko khums ki amount de skta hai?
Answer: 1) Khumus ki tareef:Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain.or jo shaks kamata nah ho,or os ka kharcha koe dosra bardaasht kerta ho tu,agar itifaaq say is ko koe samaan,ya raqam haasil ho tu ,jab osay ye samaan milay ho aik saal guzar jaay,or is main say jo baaqi bacha ho tu is ka khumus day.isi terah ye shaks her raqam ya maal k liay aik alag saal muqarrar ker sakta hay. 2) khumus syed or ghair syed dono per wajib hay. 3) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dainJis syed faqeer ko khumus diya jay zarori hay k os main ye chand shrait hon. 1) 12 imamo ko imam manta ho. 2) Ye pta ho k Khusmus ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga. 3) Sharabi nah ho 4) Namaz or rozah rakhnay wala ho 5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho. 6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain. 7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1735,1804-1819).
Question: My father has retired and got the pension of amount Rs.8,93,000/- (Pakistani Currency) is the Khums is on whole amount? while we have no own house.
Answer: Agar ye raqam aik saal tak istemaal k baad bach jay to is raqam per khums ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722).
Question: kia khums ko qisto main dy skty hain jb ikhta na dy skty hn.is bat ki kis sy aor kesy ijazzt lija skti hy.plz mery id p reply dain.
Answer: Aap is silsilay main ayaullah sistani(d.b),k vakeel se rabita karain. Aur on k saath is haq ki adaigi ki musaali’hat karain jis k natije me wo cheez aap ki zimadari per aa jaay gi aur phir rafta rafta baghair la perwaahi aur susti k khums ada kartay rahain laikin agar is silsilay me vakeel se musalihat na ki to phir jaiz nahi he k un cheezon ko jis per khums wajib ho chukka ho apne istemaal me la’ain. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 118, pg # 54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: As salaam ale kum,Meri mummy ek sarkari teacher hain unko har mahine salary milti hain usme se wo kuch paise bacha k jama kartin hain to wo janna chahitin hain ki kya un paison pe har saal Zakaat deni chahiye agar haan to kaun sa hissa..?
Answer: 1) Raqam per zakat nahi balkeh khumus daina hota hay.or khumus ki tareef ye hay k :Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain.or jo shaks kamata nah ho,or os ka kharcha koe dosra bardaasht kerta ho tu,agar itifaaq say is ko koe samaan,ya raqam haasil ho tu ,jab osay ye samaan milay ho aik saal guzar jaay,or is main say jo baaqi bacha ho tu is ka khumus day.isi terah ye shaks her raqam ya maal k liay aik alag saal muqarrar ker sakta hay. Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dainJis syed faqeer ko khumus diya jay zarori hay k os main ye chand shrait hon. 1) 12 imamo ko imam manta ho. 2) Ye pta ho k Khusmus ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga. 3) Sharabi nah ho 4) Namaz or rozah rakhnay wala ho 5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho. 6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain. 7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1735,1804-1819).
Question: Salam. Please tell me regarding khums, If a house wife saves money from his montly expenses, khums is payable on it & also if house wife saves money out of her pocket money, khums is paybale or not.
Answer: 1) If your husband did no asked about remaining money from monthly expenses and gave authority to you for it. Then it is obligatory for you to pay khums on it, if it is remain and not used during one year after receiving it in your property. 2)yes, if house wife saves money out of her pocket money, khums is payable, if it is remain and not used during one year after receiving it. (ref: ayatollah sistani(d.b),minhajus saliheen part#1,Pg#1242 &mujtahid say pochay gay sawalaat, part#4,sawaal#99).
Question: ma na gold saving purpose ka lye lia tha, kia us par 1 sal guzar jana ka bad "Khums" laga ga.
Answer: Agar ye khums k date anay se pehlay tak istemaal nahi hoa to is per khums nikalna wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722+1735) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASAALAM ALYAIKUM ,JANAB MAI GOVERMENT SERVICE MAIN HOON,MAINAY EK POLICY 4000/PER YEAR 15 SAAL KI LEE 15 SAAL KAY BAAD MUJHAI 149000/RS VAPAS MELAY ES PER KHUMS KITNAY PER DENA HOGA,
Answer: Agar wo 4000 rupay jo aap har saal policy main jama keratay thay aisi raqam se thay jin ka khums diya ja chukka tha ya wo aisi raqam se thay k jis per khums nahi hota maslan meraas ki raqam se tu in per tu khums nahi daina hoga agar aisa nahi tha tu khums ki date per her saal 4000 ki raqam per 800 rupay dainay hongay.or rahi baat 1,49,000 rupay ki raqam jo aap ko 15 saal baad mili tu jab ye raqam aap k account main aay thi tu aap k khums ki date anay tak jitni raqam baqi ho tu osko ka khums(fith part) daina hoga.(A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il,pg#159, masalah # 261+Mujtahid se pochay gay sawalaat, part# ,pg#53 ,sawaal# 115) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamualikum wa rehmatullah sawal ye hey ki mary doo bai han beyroozghar un ky aolad ky kharchy ky alawa kich muhtajoo ky madad bi kartah hon is lye ijazat magtah hoon ky mal imam me se kich raqam me kharach kar sukta hon is ky ijazat chahiy wasalam
Answer: Khums k 2 hissay hotay hain, jis me se aik hissa kisi syed faqeer ya yateem syed ko diya jata hay ya aisay syed ko jo safar main na-chaar ho gaya ho,usko diya jasakta hay. or dosra hissa imam(A.S) ka hay jo zarori hay k maujoda zamanay main jaamush shra,it mujtahid ko diya jay ya aisay kaamo main jis ki wo mujtahid ijazat day kharch kia jay or ehtiyaat e lazim ye hay k wo merjay aalam ho or umumi maslihato se agaah ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1804) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamualikum warehmatullah. mera siwal ye hy ki marey pinshan ki jo raqam hy us per khomas hy ki nahi jab ki ye raqam milne ka koi garenti be nahin aghar mil gaya to us sorat man khomas hy ya nahin, wasalam.
Answer: Is pension per khums isi sorat main wajib hoga jab wosooli ki tareekh se aik saal guzar jay or os ne apne saal k akhrajaat main se osay istemaaal nah kia ho, is liay k insaan islami mulko ki hukoomat se milne wali tankha ya raqam ka malik osi waqt banta hay jab tankha ya raqam os k haath main aati hay. (Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, part#2 ,pg#53 ,sawaal#115+ A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 256 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)