Question: iddat me ramdan ka aitqaif ho sakta haa
Answer: G han hosakta hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2475 , 2482 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: sir me ne ramzan ke kuch roze chord diye the ab me itqaf krna chata ho kia kr sakta ho.....abi plz reply krna aj sham ko bathna hy
Answer: 1)Agar kise ne kise share waja se ramzan k chand roze nah rakhe hoon to saal katam hone se pehle agar us ki wajah katam ho jaay to un rozo ki qaza karna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1668 ) 2)Aitekaaf ki share sharaait k sath etekaaf karna jaiz hai. Etekaaf k sahi waqt us waqt hai jab roza rakhna sahi ho yani roza rakhna haram nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 477) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamu alaikum. Agar itakaf me baitha ho bimar ho jaye to kya karna chahiye
Answer: Aap ko chahye k aap Doctor ko Masjid me bula lain. Aitekaaf say sirf us surat me nikal saktay hai jub iska nikalna kisi zarori hajat se ho maslan pishaab ya pakhana ya wajib ghusl ho jis ka sabab uskay ikhtiyaar say hi ho. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla#05/Aitekaaf)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: last 3 days itakaf kn sy rzy mai bethy hai
Answer: afzal hai ke Ramadaan ke aakri ashre main se koi se bhi 3 din etikaaf kiya jaae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # before 1068 , , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).
Question: mard ki awaz sunne se kiya etekaf tot jata hai
Answer: Nahi. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Pg #262-265). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr peshab ke bad qatre ate hon to ase surat me itikaf ho skta ha?
Answer: Is se ahtekaaf per koi faraq nahe perta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail ,hissaa jadeed ,pg: 479,31st edition, maslah # 13,14) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya auraten ghr m aitqaf p beth sakti hain
Answer: Merdo ki tarah Khawateen ka bhi ghar main aitekaaf durust nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,pg#478,Mafhoom e Maslah #10). Update on dated 05-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aghar aurat masjid e nabvi main itikaf bahtay to haiz shuru honey par Kya karey gi
Answer: Aytikaaf batil ho jaey ga or us ko foran masjid say nikalna hoga q k haa,iz(jo aurat halat e haiz main ho)us k liay masjid e nabawi main dakhil hona bhi haram hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 448). Update on dated 07-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia marhoom ki taraf se aitekaf ker sakty hai?
Answer: Jee haan ker saktay hen (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1069). Update on dated 17-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Jism meim Jo paseno ki smell hojati hai doran e itikaf Kia iski wajah se Masjid k andar he magar hadood e itikaf bahr jakar nahana sahi hai ?
Answer: Nahanay k liay masjid ki hodood e aytekaaf se bahar janay main iskaal hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition,jaded msael, maslah #29). Update on dated 10-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).