Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17421
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aitakaf k lie quran para hona lazam hai jo log quran nahi pare wo Aitakaf nahi kar sakty

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Sharaei aitekaaf ye hai ke insaan masjid me qurbat ke irade se thehre (yani qiyaam kare). aur behtar ye hai ke theherna, ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ke iraday se ho. lekin Quran parha hona lazim nahin hai, balke jis koo Quran parhna nahin aata wo bhi Aitekaaf kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,5,10,11, pg #477,478). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17427
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا عورت اعتکاف میں نہا سکتی ہے

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ke dauraan nahana jaiz hai lekin masjid ki hudood se baahir nahin nikal sakte. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17429
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr bivi itikaf bethi hai to kya uska Shohar us k pas beth sakta hai k nhi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ke dauraan Shohar, biwi ke pas beth sakta hai Albatta Aitekaaf ke dauraan biwi se jima aur mail milap karna ye Aitekaaf ko baatil kar deta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,13). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17437
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wazoo karny k bad Aitikaaf main agar mohn say kuch lafaz nikal jahy tu kya aitikaaf toot jata hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, is se aitekaaf baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #13). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17438
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Itqaf 3 din ka kis rozy betha jaye ga 26 way rozy ki rat ko ya 27 wy rozy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf ke aaghaz ka waqt pehlay din ki azaan subah se hota hai aur ehteyat-e-wajib ki bina par is ki intehaa teesray din ki azaan maghrib tak hai aur Aitekaaf ke saabit honay mein teen makhloot din kaafi nahin hain yani koi shakhs yeh nahin kar sakta ke pehlay din azaan-e-subah ke baad Aitekaaf shuru kare agarche pehlay din ki kami ko chouthay din se poora kare maslan Aitekaaf karne wala pehlay roz zuhur ki azaan se chouthay roz zuhur ki azaan tak masjid mein thehray (to is soorat mein Aitekaaf kaafi nahin hai). Note: 26 rozay ko aaghaz karen ya 27 rozay ko. Aap sawal ke lihaaz se 26 rozay ki azaan-e-subah se aaghaz karen gay to is ki intehaa 28 rozay ki azaan-e-maghrib tak hogi. Aur agar 27 rozay ki azaan-e-subah se aaghaz karen gay to is ki intehaa 29 rozay ki azaan-e-maghrib tak hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #4, pg #477). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17440
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aetkaaf men mehendi lagwa skty hyn??? Jesy 30 rozay hoty hyn to aetikaf sy uthny sy pehly lagwa skty hyn???

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ke dauraan mehndi lagwayei jaa sakti hai lekin us ki khushbu soonghi nahin jaa sakti, Q ke Aitekaaf karne walay ke liye har qisim ki khushbu ko soonghna chahay is se lazzat haasil ho ya nah ho jaaiz nahin hai. Aur agar jarri bootiyon ke soonghnay se lazzat haasil ho to jaaiz nahin hai aur agar un ke soonghnay se lazzat haasil nah ho to koi ishkaal nahin hai. isi tarah aitekaaf karne wala muattar aur khushbodar dhonay walay mawaad jaisay maya(مائع) ya thos(ٹھوس) sabun, shampoo aur khushbodar tooth paste se istifada kar sakta hai aur masajid mein baghair aitekaaf walay aam taur par itar lagatay hain, un ke itar ki khushbu ko soonghna jaaiz nahin hai lekin itar ki khushbu ka mehsoos hona zaahiran koi haraj nahin rakhta aur yeh bhi zaroori nahin hai ke apni naak ko band kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,13,14). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17443
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aitikaf ma aurat ghar change kar sakti hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17444
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام وعلیکم ۔۔۔۔ سر اتیکاف کے دوران بال کا ملنا کیسا ہے؟

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ke dauraan baal ka milna koi haraj nahin rakhta. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,13). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17445
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya halate etekaaf me jagah Kam hone ki wajah se khwateen bed par beth kar tilwate Qur'an or zikro azkar kar sakti he ya nahi?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. Albatta insaan ghar me tilawat-e-quran aur zikr khuda kar sakta hai chahe zameen par ya bed par baith kare, is me koi haraj nahin hai (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11). [Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17446
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Itekaaf se uthnay se pehlay naha saktay hain? jab ka pehlay puray itekaaf ma na nahaye ho bagair wajah ka naha saktay hain agar ghusal wajib na ho? Itekaaf se uthnay se pehlay naha ka saaf honay ka liya?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ke dauraan nahana jaiz hai lekin masjid ki hudood se baahir nahin nikal sakte. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25). [Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!