Question: Kya itakaf mei faishte Nazar ate hai
Answer: Aap ke is sawaal ka talluq fiqhe masle se nahe hay ,ahtekaaf ke hawale koi fiqhe masla hay tu aap sawaal karsakte hain . [Updated on 17-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Eid k bad exam hy bachi k to apni parhai ko time dy sakti ha class 7 ma ha aitikaf main
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai. 2: Aitekaaf ke dauran school, college ya university ke imtihaan (exam) ki tayari kar sakti hai ya is ke alawa koi aur kaam bhi kiya jaa sakta hai. Albatta ehteyat e mustahab (yani behtar) ye hai ke theherna (Aitekaaf) ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ki anjam dahi ke iraday se ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, jadeed masail, maslah #1,10, pg #477). [Updated on 16-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ahtikaf me konsa roza se bytyna chaie or kiya ahtikaf k liye zruri ha k pure rozy rakhy gay hon or quran khtm kiye gay hon
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. 2: Aitekaaf ke liye koi din muayyen nahin hai, balke poore saal jin dino me roza rakhna sahi hota hai un dino me aitekaaf karna bhi sahi hota hai aur aitekaaf ka behtreen waqt maah e ramazaan hai aur maah e ramazaan ke aakhri das din aitekaaf ke liye afzal hain. lehaza jis din roza rakhna sahi ho us din aitekaaf me beth sakti hain. 3: Aitekaaf ke liye poore rozay rakhna zaroori nahin hai. Albatta jab aitekaaf me betha jaye to us waqt rozay se hona shart hai. Aur aitekaaf ke alawa bhi jaan bhooj roza na rakhna ye jaiz nahin hai aur is ki qaza karni parhti hai aur is ke alawa kaffara alag se ada karna hota hai. Isi tarah aitekaaf ke liye quran khatam karna zaroori nahin hai. Albatta sharaei aitekaaf ye hai ke insaan masjid me qurbat ke irade se thehre (qiyaam kare). aur behtar ye hai ke thehna, ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ke iraday se ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1625,1630. + Jadeed masail, maslah #1,2,5,8,10,11). [Updated on 16-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aitkaf jis din bethna ho us din roza Hona zaruri h? Jaisy females ko periods hoty Hain aur wo apny last day day ko ghusal kr k aitkaf kr skti hain?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Jab aitekaaf me betha jaye to us waqt rozay se hona shart hai yani rozay ke baghair aitekaaf sahi nahin hai, Ab agar aurat azaan e subh ke baad din me kisi waqt haiz se paak ho rahi hai to us ka aitekaaf sahi nahin hai. Doosri baat ye ke Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. 2: Aitekaaf ke liye koi din muayyen nahin hai, balke poore saal jin dino me roza rakhna sahi hota hai un dino me aitekaaf karna bhi sahi hota hai aur aitekaaf ka behtreen waqt maah e ramazaan hai aur maah e ramazaan ke aakhri das din aitekaaf ke liye afzal hain. lehaza jis din roza rakhna sahi ho us din aitekaaf me beth sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #2,5,8,10,11, pg #477,478). [Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia etikaf wala azan aur imamat dy sakta hn
Answer: Agar masjid ki hudood ke andar azaan o iqaamat di jaa rahi ho to day sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #278). [Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aurtain ghr par iteqaaf ki jaga tabdeel kr skti Hain Matlab k agr jidr Bethi Hain us kamry mein ya jaga py koi msla wagera hai to Kya jaga tabdeel ki ja skti hai iteqaaf k duraan???
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa aitekaaf hi sahi nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11, pg #478). [Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Itiqaaf me kitny ghnty sony ki ijazat h
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ke dauraan sone ya bedaar rehne ke liye waqt muayyen nahin hai yani insaan ke liye sone ya bedaar ikhtiyar hai chahe jitne waqt soye. Albatta sharaei aitekaaf ye hai ke insaan masjid me qurbat ke irade se thehre (qiyaam kare). aur behtar ye hai ke theherna, ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ke iraday se ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,5,10,11, pg #477,478). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alikum maine 21 Ramzan ko aitikaaf main bethna tha pr beth nhi saki ab 6 din k liye bethna ha tou kis rozy ko betha behter ha.... 6 din k liye Ramzan k akhri rozo main sy kis rozey ko bethna ha... Plzz reply zror krein zrori ha..
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ke liye koi din muayyen nahin hai, balke poore saal jin dino me roza rakhna sahi hota hai un dino me aitekaaf karna bhi sahi hota hai aur aitekaaf ka behtreen waqt maah e ramazaan hai aur maah e ramazaan ke aakhri das din aitekaaf ke liye afzal hain. lehaza jis din roza rakhna sahi ho us din aitekaaf me beth sakti hain. 3: Aitekaaf ka waqt kam az kam teen din, un do darmiyani raaton ke sath ho jo un teen dinon ke darmiyan hoti hain. is se kam aitekaaf karna durust nahin, lekin ziyada din aitekaaf ki koi had nahin hai aur pehli ya chauthi raat ko aitekaaf ki niyat mein shaamil karne mein koi rukawat nahin hai. is bana par teen roz se ziyada aitekaf karna jaaiz hai aur agar koi shakhs (mard o aurat) mukammal paanch din aitekaf kare to zaroori hai ke chhatay din bhi aitekaaf kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #2,3,7,10,11, pg #477,478). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya kmray mn jhan ourat aitkaf mn baithi h whan ksi ka aana nhn parday lgay huay hn phr bhi aitkaf ki jga p kpra lga k kmray ko separate krna zrori h
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11, pg #478). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walekum,kya main 3din etikaaf par beth sakti hoon,Ramzaan ke 20ve roze par ,manat ke liye, please abhi bataye
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ki muddat kam az kam 3 din hai aur is se kam aitekaaf sahi nahin hai aur 3 din se ziyada ke liye koi had muayyen nahin hai, lekin agar koi 5 din aitekaaf me bethna chahe to us ke liye zaroori hai ke wo aik din aur aitekaaf ki niyat se bethay [yani 6 din aitekaaf me baithay]. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #3,10,11, pg #477,478). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]