Question: Aitikaaf k liy pardy lgy hon to jmaaat qatah e saff hony sy gunah hota hy?
Answer: Ghunah nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah # 1392,1414). [Updated on 29-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aitkaf k doran agr koi napak aurat andr a jye tu us sy aitkaf krny waly k lye koi gunah ya kafara hy ? Plz jldi reply kye ga
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Napak (janabat, haiz ya nifaas wali) aurat ke liye masjid me theherna hi jaiz nahin hai albatta aitekaaf karne wale ke lye koi ghunah ya kaffara nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25, pg #478. + Tauzeeh ul masail, maslah #354,348, pg #64) [Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aitikaaf mein kisi ko zarori msg krna jaiz hai ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan kisi se bhi baat karne me koi haraj nahin hai aur baat karne ka waqt bhi muayyen nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,10,11). [Updated on 30-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum ! Aitekaf ki halat men hameeen kin kin chezooon SE parheeez kerni chahiy ?? And Aitekaf ki halat men mobile pass rakhna , mobile use kerna ya call per baat kerna jaiz he ?? Aor agar jaiz he to iski kitni ijazat he ??
Answer: Aitekaaf ki halat me har us kam se parhez karna zaroori hai jo roze ko baatil karta ho Q ke jo kaam roze ko baatil karta hai wo Aitekaaf ko bhi baatil kare ga jese khana, peesa, biwi se jima air mail milap karna, istimana, azan e subh tak halat janabat, haiz, ya nifas me baaqi rehna, jan bhooj kar ulti(vomit) karna, wagera.... Is ke alawa har qisim ki khushbu songhne, larhaei jhagarhe, behes o bubahese, khareed o frokht aur har qisim ka lain dain karne, biwi ko choone aur lazzat ke sath bosa dene se parhez kiya jaye, aur Aitekaaf karne wale ke liye zaroori hai ke Aitekaaf ki halat me masjid se khaarij na ho siwaye un maqamat ke jahan se khaarij hona sharan jaiz hai jese ghusl e janabat, wajib ada namaz ke wuzu ke liye khaarij hona sharait ke sath, tashee janaza aur tajheez e mayyit ke liye, namaz e juma ke liye. lekin us kam ko anjam dene ke liye jitna waqt laazmi ho zaroori hai ke us se ziyada masjid se baahir na rahe. Lekin aitekaaf ki halat men mobile pass rakh sakte hain aur istemal karna ya call par baat karna jaiz hai aur jab chahen istemal kar sakte hain had muayyen nahin hai. Albatta sharaei aitekaf ye hai ke Insan masjid men qurbat ke irade se thehre(tawquf-o-qayam kare). Ehtiyat e mustahab(behtar) ye hai ke theherna ibadati aamal jese namaz ya dua ki anjam dahi ke irade se ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1553, pg #239. and pg #477 to 483). [Updated on 06-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Kya ehtekaaf me mai apne shohar se phone par voice call aur video call par baat kar sakti hun kyunki mere shohar mulk se bahar rehte hain
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan shohar se bhi baat karne me koi haraj nahin hai aur baat karne ka waqt bhi muayyen nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,10,11). [Updated on 06-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aurat ghr me itikaaf me ho to thori dair apni paltu bili ya pet se mil skti hai?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager Kisi ki biwi ka intteqal ho jaye to aitkaaf se uth skta hai?
Answer: Aitekaaf karne wala tashee janaza aur tajheez ke liye jaisay mayyet ko ghusl o kafan aur dafan ke liye aitekaf ki jagah se bahar ja sakta hai Q ke Aitekaaf karne wale ke liye zaroori hai ke Aitekaaf ki halat me masjid se khaarij na ho siwaye un maqamat ke jahan se khaarij hona sharan jaiz hai jaise ghusl e janabat, wajib ada namaz ke wuzu ke liye khaarij hona sharait ke sath, isi tarah tashee janaza aur tajheez e mayyit ke liye, namaz e juma ke liye. lekin us kam ko anjam dene ke liye jitna waqt laazmi ho zaroori hai ke us se ziyada masjid se baahir na rahe. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #24,29,38, pg #481,482). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aitkaaf k last day me periods ho jyen to kYa Kiya jye? plzzz tell me
Answer: Aitekaaf ke duaraan agar kisi bhi waqt haiz aa jaye Aitekaaf baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #8, pg #478). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aitkaaf k last day me periods ho jyen to kYa Kiya jye? plzzz tell me
Answer: Aitekaaf ke duaraan agar kisi bhi waqt haiz aa jaye Aitekaaf baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #8, pg #478). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ahitaaf uspe jaiz se jine Quran ki taleem haslil na ki ho mgr musalmqn ho?
Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq Aitekaaf aik mustahab ibadat hai aur is ke liye quran ki taleem hasil karna zaroori nahin balke is ke bager bhi Aitekaaf kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1, pg #477). [Updated on 12-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]