Question: Itikaf mai nahaya ja sakta hai? Ager gusal khana masjid mai ho to?
Answer: Nahanay k liay masjid ki hodood e aytekaaf se bahar janay main iskaal hay (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael#41th, edition jaded msael, maslah#29). [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 15 saal ki umar me aitekaf kar sakte he ya nhi
Answer: Jee han, Aitekaf kar sakte hain. Aitekaf men baalig hona shart nahin hai aur mumayyiz(samajhdar) bachay ka aitekaf bhi saheeh hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Page #482, Maslah #42). Larka jab Qamari(chand ke hisab sai) 15 saal puray karay to balig ho jata hai is k alawa jab bhi mani kharij ho jae gi larka balig ho jata hai aur naaf k nichay sakht baal ug jain to bhi larka balig ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2215). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ittekaf me online classes le jasakte hain aik ghnte k liye?
Answer: Sharaei aitekaf ye hai ke Insan masjid men qurbat ke irade se thehre(tawquf-o-qayam kare). Ehtiyat e mustahab(behtar) ye hai ke theherna ibadati aamal jese namaz ya dua ki anjam dehi ke erade se ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1, pg #477). (Note: Aitekaf men Online classes lena jaiz hai ). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 6 din ka etefaak kis rozy ko bethty han
Answer: 1: Atekaf ke liye moayan waqt nahin hai aur poore saal jin dino men roza rakhna sahi hota hai un dino men atekaaf karna bhi sahi hota hai aur atekaaf ka behtreen waqt maahe ramazan hai aur maahe ramazan ke aakhri 10 din (atekaaf ke liye) Afzal hain. 2: Atekaaf ke Agaz ka waqt pehle din (yani 21 ramazan) ki Azan e subah se shuru hota hai aur Ehtiyat e wajib ki bina par is ki intiha chhate din (yani 26 ramazan) ki magrib tak hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2,4, pg #477). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum aitkaaf ma bathy hon or kisi apny ki death ho jy to hmy uthna pary to ky bad ma hm ya aitkaaf pura kr skty han kya ap plzz bta dy k hm kasy pura kr skty han 1din hi phly uthy hon hm to wo bad ma hm kasy pura kry plz jldi bta dy hmy
Answer: Wo maqamat jin mein aitekaf ki jagah se baahir jana jaiz hai in mein se aik hai ke insaan tashea janaza aur tajheez mayyit ke liye jaise ghusl, kafan aur dafan ke liye jaa sakte hain aur tashea janaza aur tajheez mayyit ke umoor anjaam day kar wapis aa kar usi aitekaf ko jaari rakha jaa sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, topic aitekaf, maslah #29). [Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ma Aitikaaf ki surat ma masjid sy nikal kar bhar paper deny ja sakta ho?
Answer: Kuch maqamat aise hain ke jin mein aitekaf ki jagah se baahir jana jaiz hai in mein se aik hai ke Har wo kaam jo urfi taur par zaroori shumaar kiya jaye to is surat me baahir jaa sakte hain. Jaise madrasay aur college ke imtehanaat mein shirkat karna zaroorat urfi ho to aitekaf karne wala baqiya sharaait jo kharij honay se marboot hain un ki riayat karte hue aitekaf ki jagah se baahir jaa sakta hai, lekin is ke baahir jane ki muddat itni toolani nah ho ke aitekaf ki shakal hi khatam ho jaye misaal ke taur par agar aitekaf ke dinon mein se aik din taqreeban 2 ghantay ke liye imthehaan dainay ki khatir kharij ho to haraj nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #278). [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ma Aitikaaf ki surat ma masjid sy nikal kar bhar paper deny ja sakta ho?
Answer: Kuch maqamat aise hain ke jin mein aitekaf ki jagah se baahir jana jaiz hai in mein se aik hai ke Har wo kaam jo urfi taur par zaroori shumaar kiya jaye to is surat me baahir jaa sakte hain. Jaise madrasay aur college ke imtehanaat mein shirkat karna zaroorat e urfi ho to aitekaf karne wala baqiya sharaait jo kharij honay se marboot hain un ki riayat karte hue aitekaf ki jagah se baahir jaa sakta hai, lekin is ke baahir jane ki muddat itni toolani nah ho ke aitekaf ki shakal hi khatam ho jaye misaal ke taur par agar aitekaf ke dinon mein se aik din taqreeban 2 ghantay ke liye imthehaan dainay ki khatir kharij ho to haraj nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #278). [Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamu alaikum , sir mera sawal hai ke agr ramzan maim mahwari ki waja se kch ruzy chor diye jyn to kya Itikaf mai bath skte hain? or itikaf ke duran mahwari aa jye to kya itikaf toot jata hai?
Answer: 1: Zaroori hai aitekaaf karne wala (mard ya aurat) rozay se ho lihaza Rozay ki halat ke bager aitekaaf sahi nahin hota. Isi tarah haiz aur nifaas wali aurat ka bhi aitekaaf sahi nahin hai. Aur aitekaaf ke dauran agar haiz aa jaye to aitekaaf baatil ho jaye ga. aur wajib hai ke masjid se foran baaher nikal jaye. 2: Jo aurat ne aitekaf me ho agar aitekaf ke dosre din mukammal honay ke baad haiz aajay to wajib hai ke masjid se foran baaher nikal jaye aur ehtiyaat-e-wajib ki bina par aitekaf ki qaza karna us par lazim hai siwaye ye ke aitekaf ki ibtida mein ruju (aitekaf ko us ke darmiyan mein chorne ki shart) ki gayei ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, jadeed masail, maslah #8,9,45). [Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurton ko aitikaaf mein kisse kisse parda krna zaruri hota hai kyaaa walid aur bhai se bhi parda zaruri hota hai???
Answer: Aurat chahe aitikaaf ki halat me ho ya na ho dono soorton Na-mehram se Parda karna waajib hai, jabke Mehram afraad (walid, bhai, chacha, mamoo wagera) se parda karna waajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399). [Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya itekaf me baar baar waju tot jaata hai to kya baar baar waju karna chahiye.
Answer: Aitekaaf ki halat me hamesha baa-wuzu rehna zaroori nahin hai, balke namaz aur is jaisi ibadat baja laane aur Quran ki tehreer ko choone ke liye wuzu karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315). [Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]