Question: Agar itkaf la doran kamry ma koi asi chz ajay jo napak ha usko niklny ki sourat ma kia hum dsry lmry ma ja skty ha taky usko nikala ja sky too is sy kia itkaf toot jata hai?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11, pg #478). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya itekaaf Mai baate kar sakte hai agar haa to kaise kis waqt aur kab kis halat me? aur iske kuch masaail bata dijiye
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan baatein karne me koi haraj nahin hai aur baatein karne ka waqt bhi muayyen nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,10,11). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiy Sunnat Etikaaf toot jaye to qaza lazim hai
Answer: Agar koe mustahab (sunnat) aitekaaf mein ho aur dosra din khatam honay ke baad aitekaaf ko baatil kare to ehteyat-e-wajib ki bina par aitekaaf ki qaza kare aur agar dosra din khatam honay se pehlay mustahab (sunnat) aitekaaf ko baatil kare to is ke zimmay kuch nahin hai aur qaza bhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #291). [Updated on 01-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا اعتقاف میں موبائل استعمال کر سکتے ہیں
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aitekaaf ke dauraan mobile istemaal kiya jaa sakta hai, is me koi haraj nahin. Albatta sharaei aitekaaf ye hai ke insaan masjid me qurbat ke irade se thehre (qiyaam kare). aur behtar ye hai ke theherna, ibaadati aamaal jaise namaz ya dua ke iraday se ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,5,10,11, pg #477,478). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr date itqaf sy phly ai ho or aurat pak ho kr itqaf baith jay or itqaf k drmyan phir date a jay us surat me kia krna chahy
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11, pg #478). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum! Itakf mn lebaas(dress) washroom mn change karen ya itakf he ke jaga tabdeel kr skty??
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan zaroori kamon ke liye masjid se bahir nikal sakte hain lekin zaroori hai ke ziyada der tak masjid se bahir na raha jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #10,11,25,38). [Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AGR itteqaf me billi KO daikh liya jye ya hath lgaya jye tu itteqaf toot jata h Kya ? Plxxx btayen.... !
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf me billi ko dekhne ya hath lagane se aitekaaf baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #9 to 24). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya itikaaf me kapde change kr skte hai masjid ke andr hi
Answer: Agar masjid me kapre tabdeel karne ka koi ehtimaam ho maslan parda laga kar to phir masjid me kapre tabdeel kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #27,28,29). [Updated on 18-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya iteqaaf mein message par apny shohar sy zrori bt ki ja skti hai???
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. aur aitekaaf ke dauraan shohar se baat karne me koi haraj nahin hai aur baat karne ka waqt bhi muayyen nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #1,10,11). [Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hum 5 din ka ahtikaaf kr k khtm kr skty h..Agr niyat 10 din ki ho.. Pr Kisi waja se uthna par jaye tw itiqaaf khtm kr k uth skty hai?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Agar aitekaaf ke 5 din mukammal ho jayen to zaroori hai ke chhate din bhi aitekaaf karen lekin 5 din mukammal hone se pehlay aitekaaf ko khatam kiya jaa sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #3,10,11). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]