Question: Kiya aitikaf ki halat ma haiz hu tu larkiyan uth jain ya nh
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Aitekaaf masjid me hona zaroori hai aur is sath sath aik hi masjid me hona zaroori hai. masjid ke alawa kisi aur jagh aitekaaf hi sahi nahin hota. 2: Aitekaaf ke duaraan agar kisi bhi waqt haiz aa jaye Aitekaaf baatil ho jata hai. aur Napaki (janabat, haiz ya nifaas) ki halat me aurat ke liye masjid me theherna hi jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Jadeed masail, maslah #8,10,11,25, pg #478. + Tauzeeh ul masail, maslah #354,348, pg #64). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mirror MN dekhny Sy itheqaf toot jata h ya phr Kya hota h?
Answer: NULL
Question: Biwi etikaf main ho to shohar biwi ko barhana dekhskta hai?
Answer: NULL
Question: کیا اتیکاف میں عورت چھت پر جا سکتی ہے؟
Answer: NULL
Question: اعتکاف میں بیٹھ کر کسی سے میسیج پر بات کرنے سے اعتکاف فاسد ہو جاتا ہے کیا
Answer: NULL
Question: aitikaaf ky akhri din kis waqt bahir nikle magrib ky baad ya isha ki namz ky baad
Answer: Ehtiyat-e-wajib ki bina par aitekaaf ka ikhtetaam aakhri din ki azan-e-maghrib tak hai. (yani azan-e-maghrib ke baad bahir nikhlen gay). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #4, pg #477). [Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam, kia ulema aur maulana imam-ezamana a.s aur allah taala ko jawab deh nahin hein jo is tarah ayyashi k sath khums ka maal khate hein aur 2 2 gaarian land cruser, PREMIO, VITZ mein thaat k sath ghumte hein, agr ho sake to un sab molvion ko mera pegam de dejiye k unhain allah ko jawab dena hai kabhi pak suzuki ya mehran bhi le lia karein...agr koi sacha aur khara molana aap ki nazar me ho to bataiye...???
Answer:
Question: Assalamualaikum.....Agr hm masjid m 10 din ka Aitikaaf krne k liye bethe ho to ky roza rkhna farz h or agr roza chord skte h to vo kis surat m chord skte h ..........or ky masjid m bethe Aitikaf m hm apni ammi se mil skte h ...or agr puri basti se koi bhi shksh 10 din k Aitikaaf m na bethe to ky hukum h
Answer:
Question: salam mera sawal ye hai k main 20 ramzan ko aitakaf bethi hn or 22 ramzan ko mujhe haiz ka masla hogya kia aitakaf tut gya or agar tut gya hai to kia main aitakaf k room main hi reh sakti hon main bhar nahi ja sakti mere abu or bhai malum kare gye unko jawab nahi de sakti main plz jawab jaldi dena or mere saat meri choti bhen bi bheti hain Iatakaf main
Answer:
Question: Orat agr ghr me itkaf kry or ghar hr time shor ho washroom aty jaty b koi privacy na ho or jidr itkaf kia ho us jgha machar or inteha ki saffocation ho jis se ibadt me koi mza na ara ho ..usko lgy k wo itkaf se bahr ja k achi trha ibadt kr skti h .to kya itkaf chor dena sahi h .itkaf py bethy 4 din guzr gye hon ?????
Answer: