Question: Asalmualikum Wa Rahmatullahi Wa barakatuhu Mera sawal Quran ki akhiri ayat. Kounci hai aur kb nazil hoi
Answer: Quran ki sab se aakhir me naazil hone wali ayat :para#6,surah maida#5, ayat#3 hai. (Ref: Quraan, islami maarif:3,tadween :group,tasheo nazar sani:moulana qamar ali lailani,nasheer: Moassisa imam sajjad (a.s), pg#5,que#28). [Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ahl-e-bait say murad kiya hai..?? quran main lafz alh-e-bait likha hai liken ye nahi likha k kon kon hai kindly quran say daleel den
Answer: Ahl e bait a.s sai muraad 14 masoomeen a.s hain or ye baat aap ko quran mai nahi balke quran ki tafaseer main mil jaaye gi.aap tafseer namoona tafseer e meezaan tafseer e burhaan tafseer e ayyashi wagerah ki taraf rujoo kar sakte hain.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%DB%81%D9%84_%D8%A8%DB%8C%D8%AA_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D9%85_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ). [Updated on 06-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Tadween e Quran kb shoro hue
Answer: W.Salam usman ne apne dor e khilafat mai logo sai khitab kia or kaha rasool s a w w ko guzre hoe ziada arsa nahi guzra hai lehaza tum mai sai jis k paas quran ka koi hissa bhi moujood hai wo le aye takeh quran jama karne mai asani ho tu loog le kar atay rahe us k baad phr ailaan kia tum logon mai sai koon acha likhta hai to logo ne kaha zaid bin sabit phir kaha tum mai sai lugat e arab sai ziada aashna koon hai to kha gaya k saeed bin aas to faramaya k saeed quran likhwata jaey or zaid likhta jaey is tarah kae quran likh kar logo mai taqseem kar die gaey mazeed tafseelat k lie is link par visit kijiay. (Ref: http makarem.ir compilation reader aspx pid 72670 amp lid 0 amp mid 70842). [Updated on 18-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam u alikom mera sawal hai ke quran majeed mai konsi surat 3 bar parhene se 1 quran ka sawab milta hai Please batay
Answer: sorah ikhlas ki tilawat karne walay ko allah taala aik tahai quran ki tilawat karne walay ka sawab ata farmata hai. Ref: noorusaqalain j.5,p.699 [Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam u alikom mera sawal hai ke quran majeed mai konsi surat 3 bar parhene se 1 Quran ka sawab milta hai
Answer: w.salam sorah ikhlas ki tilawat karne wale ko Allah taala quran majid ki aik tahai aayat e quran ki tilawat karne walay ka sawab ata farmata hai. (Ref: Noor ussaqlain j.5,p. 699) [Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum..kaise samjhe ke 1 para khatm ho gayi hai....?
Answer: Was Salam. Quran mai wazih tur par likha hota hai k kahan sai naya para shuru ho raha hai. pehlay paray ka naam, alif laam meem hay or doosray paaray ka naam sayaqool hay, waghaira waghaira. [Updated on 31-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam.o.alaikum. Mujhe ye btaye k Quran majeed main konse Ayat aur konse Surah mai namaz ka Hukm aya hai??? Plz.... main bhool chuka hun.
Answer: Was Salam. Mukhtalif makamaat par namaz ka hukum aya hai un mai sai aik maqaam surah baqrah ki ibtidaai aayat hai. [Updated on 15-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir plz mujhy ya batayen k maooz teen kya h.....
Answer: Quran k 2 suray surah falaq or surah naas ko maoozatain kaha jaata hai q k in dono sooro k aagaaz mai lafz (اعوذ) istemaal hoa hai.(Ref:https://en.wikipedia.org/wiki/Al-Mu%27awwidhatayn) [Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sureh Jin 11 martab padsakte ?
Answer: jee quran parhna baaise sawab hai is mai koi harj nahi. [Updated on 26-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran konse time par padh nahi sakte ? or koy makruh time hai tilawat karne ka plz muje bataye
Answer: quran ki tilawat karna mustahab hai.lekin jis waqt insan janabat ki haalat main ho tu us k liye quraan ki 7 sai ziada aisi aayaat ki tilawat karna jis mai sajda wajib na ho makrooh hai or un aayat ki tilawaat karna jin mai wajib sajda ho tu un aayat ki tilaawat karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 354,355). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]