Question: Agr mukamal Quran pak nahi parha to kya surah yaseen ku tilawat kr sakte hain ?
Answer: Je kar sakte hain, jo shaks surah ikhlaas ko 3 dafa parhay tou goya us ne aik mukammal quraan ko khatam kia.(Ref: http://www.momin.com/urdu/Books/Thofy+Amliyth-48/Sur-e-Ikhlas+Ke+Fazail-992.html). [Updated on 15-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum mera sawal hai ke ,kya wazu ke baqair quran ki tilawat kar sakte hain ya nahi?
Answer: Jee quraan ki tilawat kar saktay hai lekin baghair wuzu k mass nahi kar skatay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#316). [Updated on 16-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran majeed k nazool ka aagaz khan se howa
Answer: Quran ka nuzool ghaar e hira se shuru hoa.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%DA%A9%D9%88%DB%81_%D8%AD%D8%B1%D8%A7%D8%A1)
Question: Kya Quran mein Namaz ke tarike bataye Gaye hai?
Answer: Quran main namaz ka tariqa bayan nahi kia gaya hay.
Question: Aslam alaikum.. Mane pochna hai periods ki halat ma kya hum quran pak ko bina choy pr skty han? Mane suna tha k zuban pak hti hai quran pak ko bina hat lgae pr skty han plz guide kr dain
Answer: Fuqahah k qoul k mutabiq haaiz ka quraan majeed ko parhna makrooh hai lekin ayatollah seestani k nazdeek makrooh nahi hai. (Ref: tauzeeh ul masaail ayatollah seestani edition#41 maslah#467). [Updated on 11-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quraan ma kis surah ma bismillah do bar parhi jati ha
Answer: surah namal k aagaz mai aik bismillah hai or us ki ayat#30 mai aik bismillah hai. (Ref:https://quran.com/27). [Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Surat juma kon sy pary ma ha
Answer: Parah 28. (Ref: https://gotest.pk/articles/quran-e-pak-surah-numbers-parah-total-verses-rukus/). [Updated on 27-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ki sab sy taweel ayat kon c hy?
Answer: Quran ki sub say taweel ayat surah baqra ayat#282 hay. [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran majeed ko kesy prhna chahiye Ayat k hawaly sy jawab dein?
Answer: Sorah e muzammil main hay keh quran ko theher theher kar(slow) baqaidah parha karo.(Ref: sorah e muzammil,sorah#73, ayat#4). Update on dated 31-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)....
Question: Woh konsi ayat hy jis ka tarjuma hy Mera nabi wahi kehta hy Jo isy wahi kiya jata hy.
Answer: Sorah e najm ki ayat#3 or 4 main is baat ka zikr hay. (Ref: Al-Quran, sorah najm, sorah#53)