Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9371
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wazoo our tayyamum kay baray may quran may konsat surah may bataya gaya hay our konsi ayat may?

Answer: Sorah e baqra ki ayat#267 main tayammum ka hokum aya hay, or sorah e maedah ki ayat#6 main wuzu ka zikr aya hay. (Ref: quran majeed). Update on dated 23-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9384
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: who kon say nabi hain jin ka zikr quran may sab say zyada aya hai

Answer: Hazrat Mosa a.s ka zikr sab ziyada Quran main aya hay. Update on dated 05-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ki pehli ayat kis per nazil Hui

Answer: Pehli wahi yani sorha e alaq ki pehli 5 ayaat ghaar e hiraa main hamaray nabi Muhammad s.a.w.w per nazil hoe. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%BA%D8%A7%D8%B1_%D8%AD%D8%B1%D8%A7 ). Update on dated 07-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9439
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ki kis ayat main wqat k hakim ki ataat ka hukm dia gia

Answer: Sorah e nisa, ayat#59 main is ka zikr aya hay. Laikin alil amr se murad masoom imam hain , jin k naam hamaray nabi s.aw.w ne bataye. In ayat se murad aaj kal hukmaraan nahi hain. Aap quran ki tafaseer ko perhhain tu wazeh ho jaey ga. (Ref: http://samtekhoda.tv3.ir/index.php?option=com_content&view=article&id=1122:920307&catid=63:gharaatimatn&Itemid=300) . Update on dated 15-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9441
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslkm. Ap saw par sabse pehla surah kaunsa nazil howa ?

Answer: Sab se pehlay sorah e alaq nazil hoe. ((Ref:Quran, sorha#96). Update on dated 01-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qur\'aan ki Kon si surah h jisme \"meem\"" nhi h?"

Answer: Surah e kausar. (Ref: Al-Quran, Surah #108). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9586
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: injeel kis zuban me nazil hui

Answer: Aramic(ibrani)zabaan mai nazil hoi janab e eesa a.s par.(Ref: http://www.islamhelpline.net/node/7950) Update on dated 13-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9643
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran ka sab say pahlay tarjuma kis zuban may kiya gaya or kis nay kiya?

Answer: Quran ka tarjuma sab se pehlay farsi zaban main hoa. (Ref: https://en.wikipedia.org/wiki/Quran_translations) Update on dated 04-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9654
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran pak ke tadveen ka wqt hazrat usman (r.a) na jo kameeti tashkeel d us ma js na shirkat ke un ka nam kya hy? qoitrat

Answer: Usman ne apne dor e khilafat mai logo sai khitab kia or kaha rasool (s.a.w.w) ko guzre hoe ziada arsa nahi guzra hai lehaza tum mai sai jis k paas quran ka koi hissa bhi moujood hai wo le aye takeh quran jama karne mai asani ho tu loog le kar atay rahe us k baad phr ailaan kia tum logon mai sai koon acha likhta hai to logo ne kaha “zaid bin sabit” phir kaha tum mai sai lugat e arab sai ziada aashna koon hai to kha gaya k “saeed bin aas”to faramaya k saeed Quran likhwata jaey or zaid likhta jaey is tarah kae Quran likh kar logo mai taqseem kar die gaey.mazeed tafseelat k lie is link par visit kijiay.(Ref: http://makarem.ir/compilation/Reader.aspx?pid=72670&lid=0&mid=70842)

Id: 9704
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalaam Alakum Agar maa ki wafaat ho gai hai or unse unke bachhho ne dudh maaf nahi kerwaya hai, to kya maaf kerwana her haal mein zaruri hai ya nahi or agar zaruri hai to iska kya quraan mein kahi per ziker hai ya nahi.

Answer: Quran o hadees main is ka koe zikr maujood nahiu hay. Ye koe dunyavi rasam hay. Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!