Question: Asalamualaikum Janb. Agar Quran Majeed Shaeed Ho Jahen Tu un Ko Kis Jaga par rakna Cheya.Plz Reply me
Answer: Was Salam. Un kaaghaz ko dustbin mai daalna jaiz nahi hai is liay k is tarah is ki touheen hoti hai lekin kisi chemical product k zarye un ko mitaaney , kisi paak jagah dafan karney ya samandar mai daalney ya unehey phaarh kar mitti ki maanind reza reza karne main koi harj nahi hai. (Ref: Jadeed fiqhi masael, ayatollah seestani maslah#594, pg#291). Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: *RASUL (S:A) PAR SAB SE AKHER MAI KON SA SURE NAZIL HUWA * 1:- SURE NAAS 2:- SURE FALK 3:- SURE NASR 4:- SURE HAMD
Answer: Quran ki sab se aakhir me naazil hone wali ayat :para#6,surah maida#5, ayat#3 hai.(Ref: Quraan, islami maarif:3,tadween :group,tasheo nazar sani:moulana qamar ali lailani,nasheer:moassa amam sajjad (a.s) ,pg: 5,que: 28). Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam u alaikum... sir hadees ko QURAN me kaise dekhen? matlab ke jese Dr zakir naik kehte hen volume No falana...etc to mujhy ye samjh nhi aata ke me kaise is reference pe jaun
Answer: was salam. Allah k kalaam k majmooaey ko Quran kaha jaata hai or jo kalaam rasool (saww) ya aaima masomeen a.s sai saadir ho usey hadees kehtey hai.ye baat tai shuda hai k rasool ya aaima ka kalaam quraan ki tashreeh hai lekin rasool ya aaima ki ahadees quraan mai nahi hai q k quraan mai ayaat hai jo k khuda ka kalaaam hai, Han lekin motabar kitabein moujood hai jis main rasool or aaima ki ahadees moujood hain.
Question: Ayat tatheer kis surah min hy
Answer: Surah e ahzaab.(Ref: Quran majeed,suran#33, ayat#33). Update on dated 02-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-O-Alaikum:: Mera Sawwal ye hai Quran Pak ka naam quran q rakha gya ???
Answer: Quran ka matlab hai k parhi jaaney wali kitaab ya jis ki ziada qirat ki jaati ho.(Ref:Gulshan e maarifat baab qurani sawalaat). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran me allah k sath waleden k hukam knse surha m hain
Answer: Surah e bani israel ayat# 23 & 24. (Ref: Quran e Kareem). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran mai kon sy sojdy wajib hai r kon sy pary k ....?
Answer: Quran main 4 sajday wajib hain (surah sajda ayat no 15,surah fussilat ayat 37,surah najam or surah alaq ki akhri ayat) or Quran k mustahab sajday 11 hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 page no 491). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran majeed me kis ki awaz ko sb se pur taseer kaha gya he?
Answer: Hazrat dawood a.s.(Ref:surah e saba, ayat#10). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran pak ma quran word kitni bar aya hai
Answer: لفظ قرآن، قرآن مجید میں بطور معرفہ پچاس(50) بار اور بطور نکرہ اسی(80) بار آیا ہے ۔یعنی پچاس بار قرآن کا مطلب کلام مجید ہے اور اسی بار ویسے کسی پڑھی جانے والی چیز کے معنوں میں استعمال ہوا ہے۔ (Ref: http://noureennoor.blogspot.com/2017/10/blog-post_19.html)۔ Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Esi konsi do surat he jiska naam sirf ek hi lafz me mukammal ho jata he
Answer: Ø³ÙˆØ±Û Ù‚ØŒØ³ÙˆØ±Û Øµ ØŒ Ø³ÙˆØ±Û Ù† (Ref:https://www.quora.com/How-many-Surahs-names-are-only-one-letter) [Updated on 22-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]