Question: Aaytul kursi ki ayat quraan mi kis surah me hai , aur kaunsi ayat hai ??
Answer: Ayatul kursi sorah e baqra ki ayat# 255 ko kehte hain, or namaz e wehshat main ehtiyat e lazim ki bina per ayatul kursi ko ayat#255 se 257 tak perha jaey. (Ref: Ayatullah sistani d.b, minhajus saliheen, part#1, maslah #964). Update on dated 11-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: wo konsi sorat hai jis main do baar bissmillah aya hai
Answer: Sorah e naml main do baar bismilla aya hay. (Ref: http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm ). Update on dated 11-08-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wo konsi sorat hai jisme ALLAh k azab se bar bar daraya gya hai? Ya jo mukammal ALLAH k azab k barey men hai?
Answer: Sorah e qamar main azab se bar bar daraya gaya hay.(Ref: sorah e qamar, sorah #54). Up to date: 11-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Dajjal aur yajooj majooj ka zikr quaran pak ki kis surah me aaya hai
Answer: Yajooj or majooj ka zikr sorah e kahaf ki ayat#94 main hoa hay, or sorah e ambiya ki ayat#96 main hoa hay. Dajjaal ka ahadees main zikr hay, quran main zikr nahi aya. (Ref: Quran). Up to date: 17-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: quran pak ki who knsi ayet h jis main yeh zikar h k ak roh dunya main 84 bar ati h
Answer: Quran main aisi koe ayat nahi.Up to date: 11-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran-E-Majeed Me Allah Ta’ala Ne Kaun Si Ek Surah Nazil Farmayi Jis Ke Naam Ka Maa\'na \'\'Shehed Ki Makkhi (Honey Bee)\' Hai
Answer: Wo sorah quran majeed main Sorah e nahl sorah#16 hay. Update on dated 04-28-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran. Mein kitni Ayat Ahkam ke mutalliq hai.
Answer: Quran main 500 ayaat ahkaam k muta,alliq main hain.(Ref: http://thecareer.pk/2014/09/islamic-general-knowledge-information-about-quran/ ). Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Surah Yusuf ki kya fazilat hai
Answer: Sorah e yousuf k fazael: 1- Is sorah ki tilawat kerne wala qiyamat wale din jamaal e yousuf a.s ka huqdaar hoga. 2-Is sorah ko likh ker ghar main 3 din rakhne or phir wahaan se utha ker ghar ki bahar wali dewaar main chupa day k kisi ko maloom nah chale tu munasib kaarobaar ki paishkash aey gi. 3-Is sorah ko likh ker peenay se wusatte rizq hoga. 4-Is sorah ko likh ker paas rakhne se dushman per ghalba hasil hoga. 5- Is sorah ki tilawat se sukraat e maut k waqt asaani hogi.(Ref:Taskeen e rooh, pg#121-122)
Question: wo konsi surat hai jis ke darmiyan me bismillah aya hai
Answer: Sorah e naml ki ayat#30 main bismillah ki ayat aae hay.(Ref: Quran sorah naml, ayat#30). Update on dated 06-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Agar ham Quran pardhte hi our us ka sawab kisse apne ko phochana ho to kya mare padha hua Quran.ka sawab usse mille ga ka nhi
Answer: Jee, sawab bakhsha jaa sakta hay. or sawab pohachta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1,Edition#2009,Mafhoom e Maslah # before 752) . Update on dated 21-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).