Question: Wo Kon C Surat Ha Jes ke hr ayat ma Allah Tala Ka Nam Aya Ha
Answer: surah e mujaadla.(Ref: https://pakmcqs.com/islamic-studies-mcqs/in-which-surah-the-name-of-allah-is-repeated-in-every-verse). [Updated on 14-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Mai lafze namaz kitni baar aaya hai??
Answer: Quran main lafz salaah(namaz) ka zikr 67 baar aya hay.(Ref: Qurani maloomaat per mushtamil 1540 sawalaat k jawaab, pg#82) [Updated on 17-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran kitny time mai nazil howa
Answer: Quran 23 saal ke arsay me wahi ke zariye Rasool S.A.W.W pr nazil hua hai. (Web Ref : http://ur.wikishia.net/view/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86_%DA%A9%D8%B1%DB%8C%D9%85 ). [Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Oh konsa surah hain jisme jadu karna mana hain
Answer: Quran main chand maqamaat per jado ki muzammat aae hay on main se kuch ye hain: Sorah e baqra ayat#102, Sorah e younus, ayat#81, sorah taha, ayat#69.(Ref: Quran) Update on dated 19-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam-0-Alekum, Quran ki toheen ka kaffarra kya hoga?
Answer: agar ghalti se insan ke hath se Quran zameen par gir jaye to kaffara nahi hai lekin Quran ko foran utha kar ahtiram kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail Jamea, Maslah no # 404). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Pak ki Surah Naml ayat #90 ma Shehr \"Makkah\" k malik ki ibadat se kia murad ha
Answer: Sorah e naml ki ayat#91 main sher e makkah k malik se murad Allah ki zaat murad hay, rab e makkah ki tabeer makkah ki manzilat bayan karne k liay hay warna wo nah sirif makkah ka rab nahi hay, har cheez cheez o ski milkiyat hay.(Ref: maulna muhsin najafi sahib k mutrajjam quran) Update on dated 27-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Quran Majeed ke Aise kaun se do jumle hain jinhen ulta bhi padha Jaaye to Usi Tarah Bade Jaate Hain
Answer: 1. "Kullun fee falakin" Surah#Ambiya Ayat#33 2. "Rabbaka fakabbir" Surah#Muddassir Ayat#03 [Updated on 17-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran ki wo ayat jisme 12 nabi ka name aya
Answer: sorah e nisa ki ayat number 163 main 12 ambiya ka naam aaya hay. (Ref: Quran) [Updated on 30-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: fazar ki namaz se phle quran pad sakte h ya nhi
Answer: Quran ki tilawat karna mustahab hai. fajar ki namaz se peehle bhi quran perha jaa sakta hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah Sayyid Abul Qasim e Khoie edition 7 maslah no 361, 362) [Updated on 19-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran e Majeed mai koni Surah mai Firon ka waqia bataya gaya hai?
Answer: Surah Aaraf Ayat no. 104 se qissa shuru hai. [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]