Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11598
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sureh kausar me kis shaqs ki mazammat ki gyi h

Answer: Abu jehel, abu leheb or utbah jaise dushmano ki muzammat ki gae hay.(Ref: Muhsin najafi ka tajume wala quran, sorah kausar ki tafseer http://balaghulquran.com/) [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11629
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab assalam alaikum.kuch log khte h ki maula Ali se Madad mangna sahi nhi h..aap iske bare me bataye

Answer: Khuda se ba-raah e raast dua maanga jaiz hay, wohi haqiqi ata karne wali zaat hay. haan, nabi (saww) or on k Ehl e bait (a.s) k wasile se khuda se dua maanga dua ki qoboliyat ka sabab hay. or khuda ne quran main sorah e nisa ayat#64 main gunahgaaroon k mutaaliq kaha gaya hay keh main khuda ka irshad hay k (Or jab ye loog apne aap per zulm kar baithte thay tu agar aap ki khidmat main hazir ho kar Allah se maafi maangte or rasool bhi on k liay maghfirat ki dua karte tu wo Allah ko tauba karne wala, raham karne wala paate).)(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0409/) [Updated on 19-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11633
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran-e-pak me lafz qahhar h ya nahi? Agr aya h to kis kis aiyat me

Answer: Quran me 5 jagah par lafz qahhar ayaa hai, 1. surah no 40 ayat 16. 2. surah no 12 ayat 39. 3. surah no 38 ayat 65. 4. surah no 14 ayat 48. 5. surah no 39 ayat 04. (Website Refrence : https://quran.com/search?q=%D9%82%DB%81%D8%A7%D8%B1 ). [Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11822
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quraan majeed me madeenatul munawwara ka naam kya hai

Answer: Madina e munawwar ka purana naam yasrab tha is ka zikr Quran majeed main sorah e ahzab ki ayat#13 main aya hay. agarche lafz e madina bhi kuch baar istemaal hoa hay laikin ye lafz faqat sheher k matlab main isteemal hoa hay, yasrab naey naam k taur per istemal nahi hoa.(Ref: sorah ahzab, ayat#13, http://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AF%DB%8C%D9%86%DB%81_%D9%85%D9%86%D9%88%D8%B1%DB%81 ) [Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11864
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran paak mai aahadees ke hawale se ketne aayat aaye hai

Answer: Allah k kalaam k majmooaey ko Quran kaha jaata hai or jo kalaam rasool (saww) ya aaima masomeen a.s sai saadir ho usey hadees kehtey hai.ye baat tai shuda hai k rasool ya aaima ka kalaam quraan ki tashreeh hai lekin rasool ya aaima ki ahadees quraan mai nahi hai q k quraan mai ayaat hai jo k khuda ka kalaaam hai, Han lekin motabar kitabein moujood hai jis main rasool or aaima ki ahadees moujood hain. [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11968
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quraan majid ki konsi ayat bar bar likhi gai hai

Answer: surah rehman mai aik aayat ka takraar kiya gaya hai.(Fabee ayyee aalaae rabbikuma tukazzibaan). [Updated on 04-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12044
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wo kon se Quran ki sorat hy jo do bar nazal hoi?

Answer: Sorah e Al-hamd 2 baar nazil hoe.(Ref: Mafhoom e http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm ) [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 5 aise surat jo paigumbaro ke naam se hain

Answer: Surah hood, Surah ibraheem, Surah muhammad, Surah younus, Surah yousuf. (Ref : Alquran.) [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12077
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: La haulage wala kuwata illa billah Hil Azim ko haat laga sakte hai

Answer: Hath nahin laga sakte Q ke is me Quran ki ayat ka hissa mojod hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 316) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12091
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salamun alaikum . mera sawal ye ye ki kuran majeed me jo Baal nikalna log bata rahe he to kya iske barne me aap mujhe jald bataiye

Answer: Ye maloom karna keh quran main milne wale baal masoom a.s k hain ya kisi aam insan k baal tu is ka asan tariqa ye hay keh on baalo ko jala kar daikh lain agar jal jain tu wo baal masoom k nahi haongay or agar nah jalain balkeh soney(Gold) ki tarah chamakne lagain tu wo baal masoom a.s k hoon gay. Ye jo hum ne bayan ki wo aik hades ka khulasa hay jo bihaarul anwaar or manaqib ibne ashoub main maujood hay.(Ref: Biharul anwaar, jild#49, pg#59-60[Biharrul anwaar jild#49 link: https://lib.eshia.ir/71860/49/59 , https://lib.eshia.ir/71860/49/60], Manaqib ibn e ashoub, jild#4, pg#348). [Updated on 29-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!