Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12111
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran majeed k kon se sipare mai ayate karima ati hy

Answer: Para no 17, surah no 21, surah name ambiya ayat no 87,(لا الہ الا انت سبحانک انی کنت من الظالمین)(Ref ; Alquran) [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12147
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu.alaikum hazrat quran mubarak mai qayamat lafz kitni baar aaya hai aur qayamat ka zikr kitni martaba hua hai

Answer: Qiyamat ka lafz quran main 72 baar aaya hay.(Ref: http://www.balaghulquran.com/) [Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12162
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Word "Surrah" Quran pak me 10 bar istamal huwa hai iska matlb mujhe bta den mene ye jawab kahin parha lkn mjhe samjh nahi aya

Answer: Sorat, sheher ki faseel ko kehte hain, jis se sheher mehdood ho jata hay, isi munasbat se Quran majeed ki ayaat e muayyana mehdooda per sorat ka itlaq kia gaya hay.(Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%83). [Updated on 17-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12221
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jannat ul firdos ka zikar kon se pare me hai

Answer: Quran ke para no: 16,surah no :18,surah khaaf ,ayat no: 107 me jannat ul firdoos ka zikar hay . [Updated on 09-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12246
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nabi pak nam Ahamad kon si sura mai aaya.ha

Answer: Para # 28 Sorah Al-Saff Ayat # 6 .(Al-Quran) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12258
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Saat aayat wali suran ka nam

Answer: Quran me aisi 2 surah hain jin ki 7 aayat hain, number # 1 Surah Al-Fatiha, number # 2 Surah Al-Maaun.(Al-Quran) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12608
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Musa A.S ki Ahliya (wife) ka naam Kya hai?

Answer: sufoora۔ (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%B5%D9%81%D9%88%D8%B1%DB%81)۔ [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12611
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ki kon konsi aayat mai qawamat k azab ka zikr hai batao

Answer: Chand soorton main qayamat ka zikr aya hai jese surah qaria wgaira.(Ref: Quran e kareem) [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12615
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: QURAN KA WOH KOUNSA SURA HAI JIS KA EKHTETAM DU NABIYOUN KEY NAM PER HOWA HAI

Answer: surah aala(sorah#87) k ikhtimaam main 2 nabiyo ka naaaam aata hay. [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12714
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Ali kon si ayat e qurani madina se le gae aur khana kaaba mei unki tilawat ki?

Answer: Surah baraat . (Ref: Allama Namjam ul Hassan Kararvi, 14 Sitaray, Pg # 81) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!