Question: lafz shia ayat in quran
Answer: Sorah e qasas, ayat#15 or sorah e saaffaat, ayat#83 main shia lafz aya hay.(Ref: Quran) [Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia yeh niat kurkay aik Quran finish kurna aur kuch sorut apni life may parhkur save kursaktay hein apnay lay kay yeh maray lay maghfirat ka zaria bunien gi
Answer: Quran ka parhna wese hi baaise sawab hai.(Ref: Ayatullah Sistani (d.b), Tauzeehul masail, edition 31st, mafhoom e maslah #1515) [Updated on 11-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Islamic Mai Quran ki taleem Dai k paisay laiba jaiz hai Jesay ye site hai http://quran24.online/ ye paisay Lai k prhatai hai Kia ye jaiz hai?
Answer: Jaiz hay. (Ref: Touzih ul Masaail, Ayatullah Seestani (d.b), edition 39th, masla #986) [Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: wahi ke kitne iqsam hai our kiya kiysa hai
Answer: Wahi ki kuch aqsam hain aap is link per click kar k perh lain. (https://ur.wikishia.net/view/%D9%88%D8%AD%DB%8C). [Updated on 16-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak ko arabic m hi padna h aisa Quran pak m kaha likha h?
Answer: The proper reward is for the Arabic recitation. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani, dated:15-07-11). Translate: Munasib sawaab Arabi tilawat ke liye hi hay. (Note: Jee nahin aap kisi aur zaban me bhi quran parh saktay hain, lekin agar aap ko quran parhne ka munasib sawaab chahiye to aap ko quran ki tilawat arabi main hi kerni hogi. aap ko urdu/hindi main quran perh ker samjhnay ka sawaab milay ga. laikin quran ki tilawat ka jo azeem sawaab hay wo sirf arabi qirat ker k hi milay ga. agar aap quran e kareem ki tilawat ka sawaab hasil kerna chahtay hain tu arabi qirat ko sikhain. Aap quran perhnay k liay qurani cds say bhi madad lay saktay hain or websites say bhi seekh saktay hain. Hum aap ko khuch website addess day rahay hain in k zerye qirat e qurani ko sheikh lain. Please see these links and learn quran e kareem.) Ref: http://quran.com/ http://www.quranexplorer.com/ http://www.quran.net/ [Updated on 24-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran ke kis surah ko rehana al quran bhi kaha jata hai
Answer: surah (yaseen) ko rehaana tul quran kha kya hay. imam jaffar sadiq (a.s) se riwaayat hay : apne aulaat ko surah yaseen ki taleem do kyu ke beshak ye surah (yaseen) rehaana tul quran hay (ref:bihaarulanwaar,allama baqir majlese,jild:89,pg :291) [Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamolaikom Quran ki ayato ka totka krna jaiz he ya ni for example sureeh yaseen prh kr pani me dam kr lena or khna k ye pani pinny se sir ka drd thek ho jae ya phir motapa kam ho jae ya phir zhn thek hotta he ,etc please answer me ....???
Answer: wsalam. jo wazaaif aaima a.s sai hum tak pohnche hai un par bilkul amal bhi kia jaa sakta hai or wo mufeed bhi hain. [Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum quraan kab aur kahan nazil huwi
Answer: wsalam. Quran majeed makkah or madina main nazil hoa 23 saal k doran nazil hoa.(Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86_%DA%A9%D8%B1%DB%8C%D9%85) [Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum Kya haiz ki halat me mobile me Quran padsakthe hai
Answer: wsalam.jin aayaaat ko parhne sai sajdah waajib hojaata hai un ka parhna haraam hai baaki quraan parha jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullahy seestani edition 41 maslah no 448). [Updated on 08-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran majeed ki kis surat ko tahai quran kaha gya he
Answer: Surah e ikhlaas۔ (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A7%D8%AE%D9%84%D8%A7%D8%B5) [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]