Question: Quran Pak Main Surah Maddni Ketny Arsy Main Nazil Huin?
Answer: Quran k nuzool do hain 1) ye ke aik hi martaba me saara quran shab e qadr me naazil hogaya 2) ye ke 23 saal arse me thorha thorha naazil hota raha. Quran Rasool(s.a.w.w) k dil per naazil hoa , quran ki khuch suratain makki hain yani Rasool(s.a.w.w) ke maboos ba risalat hone ke baad jinta arsa Rasool (s.a.w.w) makke me rahe aur jo surtain makke men nazil hoin unhen makki kaha gaya aur khuch suratain madani hain, yani Rasool(s.a.w.w) ki hijrat e madina ke baad wafat tak jinta arsa Rasool(s.a.w.w) madine me rahe aur jo surtain nazil hoin unhen madani kaha gaya. aur qurani ayaat aur suraton ki tarteeb wahi e ilaahi k tehet Rasool(s.a.w.w) ki hayaat me he jama ho chuki thin.(Ref: www.islamshia-w.com) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: will you please tel me the verse in which almighty Allah was talking about shaba who left Nabi saws in Uhad War
Answer: Sorah e aal e imran(Sorah #3) ayat#153. [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo kon sa surah hai jo do bar nazil huwa hai
Answer: Surah e Al-hamd 2 baar nazil howa hai.(Ref: Mafhoom e http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm ) [Updated on 17-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo kon sa surah hai jo do bar nazil huwa hai
Answer: Sorah e Al-hamd 2 baar nazil howa hai.(Ref: Mafhoom e http://mahdimission.com/quran/maloumat/index.htm ) [Updated on 17-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran me wo konsi ayat he jis m Quran ki ehmiyat ka btAya hai??
Answer: Quraan majeed ka 17,surah baniisraaeel ,ki ayat no:88,agar insaan or jinnaat is baat per Jama hojae ke is quraan ki misal laae tu nahe laasakte agarche wo is kaam me aik dosere ke madad karne wale he kyu na hojaay . [Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo konsa jammy nam hai jo quran men insano ir jinno kay liy istamal hoa hai?surah name bhe bta dein sath
Answer: Quran main sorah rahman main allah ne jin or inano ko aik jaame naam "saqalaan(baa wazan)" se pokara hay.(Ref: quran sorah rahman, ayat#31)[Updated on 13-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran ki woh kon si surah hai jis mein lafz allah 5 baar aya hai
Answer: Sura-e-Mujadala, Sura No.58 Ayat No. 22 main lafz e Allah 5 martaba aaya hai.(Ref: Al-Quran) [Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kitne ambia k name pe quran pak ma sorten h
Answer: Quran me 6 Ambiya a.s ke nam se Surah mojood hain, Surah hood, Surah ibraheem, Surah muhammad, Surah younus, Surah yousuf, Surah Nooh.(Ref: Al-Quran.) [Updated on 28-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak me zikar hai k "jahanum ka eindhan insan, jin aur pathar hon gy" is me pathar sy kya murad hai ?
Answer: Sorah e baqra ki ayat#24 main pathar se murad mooti or but hain.(Ref: http://www.balaghulquran.com/quransearch.php?txtsearch=%D8%A7%DB%8C%D9%86%D8%AF%DA%BE%D9%86&optsrchtp=t&chkHashia=h). [Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak mai khanzeer ka zikr konsi ayat mai hai?
Answer: Surah Al-Baqra Ayat number 173, aur Surah Al-maaidah Ayat number 03, aur Surah Al-Anaam Ayat number 145, aur Surah Al-Nahl Ayat number 115 main khinzeer ka zikr mojood hai.(Ref: Al-Quran) [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]