Question: Salam muje puchna tha ky ager Quran pak parhna nahi sekha tu online Quran sekha ja sakta hai kia aur kis tarah muje batyein koi tariqa mein sekhna chahti hoon
Answer: Jee han, Online seekha ja sakta hai. Online Quran sekhne ke liye Madrasa Quran o Itrat Academy ke contact number 021-32226948, 021-32237207 par 2pm se 6pm ke darmiyan call karain (Ref: www.qoitrat.org). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Pak ktny arsy m nazil how
Answer: Quran 2 martaba nazil howa hai. 1. Aik hi martaba me saara quran shab e qadr me naazil ho gaya tha. 2. 23 saal ke arse me thorha thorha naazil hota raha. Quran rasool(s.a.w.w) k dil per naazil howa, Quran ki kuch suratain makki hai aur khuch madani hain, Qurani ayaat aur suraton ki tarteeb wahi e ilaahi k tehet rasool(s.a.w.w) ki hayaat me hi jama ho chuka tha. (Ref: www.islamshia-w.com ) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: S/w ek quran kya sirf ek he marhoom ko bakshi jati hai? Yaa ek ke saath baki marhoomo ko bhi ek saath baksh sakte hai.?
Answer: Dono chizen jaiz hain. (Ref: Takeebat e namaz ) http://www.qoitrat.org/Fateha/Default.asp [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quraan majeed ky 14 sajdy hum Quraan peh hi adda kr skty gai ya Ja'enemaaz peh quran ky sajdy adda krna lazim h?? Kindly answer me
Answer: 1: Quran e pak men 15 Ayaten aysi hen jin k parhne ya sunne k bad ALLAH Taala ki azmat k samne sajda karna chahiye, un men se 4 maqamat par sajda wajib hai or 11 maqamat par sajda mustahab hai. Wo 4 maqamat jahan Sajda karna wajib hai ye hen. 1, Parah 21 Surah Sajda, ayat #15. 2, Parah 24 Surah Haa Meem Sajda, Ayat #37. 3, Parah 27 Surah Wan-Najam, last Ayat #62. 4, Parah 30 Surah Alaq, last Ayat #19. Wo 11 maqamat jahan Sajda karna mustahab hai ye hen. 1, Parah 9, Surah Araaf, Last Ayat #206. 2, Parah 13, Surah Raad, Ayat #15. 3, Parah 14, Surah Nahal, Ayat #50. 4, Parah 15, Surah Bani Israail, Ayat #109. 5, Parah 16, Surah Maryam, Ayat #58. 6, Parah 17, Surah Hajj, Ayat #18. 7, Parah 17, Surah Hajj, Ayat #77. 8, Parah 19, Surah Furqaan, Ayat #60. 9, Parah 19, Surah Namal, Ayat #26. 10, Parah 23, Surah Suaad, Ayat #24. 11, Parah 30, Surah Inshiqaaq, Ayat #21. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul Masail, Edition 42, Fiqhi Istilahat, Page #491). 2: Ehtiyat e wajib ye hai ke Quran majeed k wajib sajday men insan apni peshani sajdegah ya kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna saheeh ho aur ehtiyat e mustahib ki bina par badan ke doosray aazah zameen par is tarah rakhay jis tarah namaz k silsilay men bataya gaya hai. 3: Jab insaan Quran Majeed ka Wajib Sajda karnay k Iraday say Peshaani Zameen par rakh day to Chahay wo koe zikr na bhi parhay tab bhi kaafi hay aur zikr ka parhna mustahab hay. aur behtar hay ke wo zikr parha jaye jo Tauzeehul Masail ke Pg #175 Maslah #1086 mem mojood hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul Masail, Edition 42, Maslah #1085,1086). [Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o allikum... Tohfa Ya Ali a.s maddad... Mera sawal aap se yai hai k Parwardigar nai sitaray kyun banay...
Answer: Sorah e anaam hay keh or wohi hay jis ne tumhare liay sitaray banaey takeh tum in k zarye khushki or samandar ki tarikiyo main raasta maloom karo, ahl e ilm k liay hum ne apni ayaat khool kar bayan ki hain.(Ref: Quran: Sorah e anaam, ayat#97). [Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kis cheez ko Allah ne katal se zyada sakht kaha hai
Answer: Sorah e baqra ki ayat#191 main Allah tala ne fitna or fasad ko qatal se zayada sakht kaha hay.(Ref: https://makarem.ir/main.aspx?lid=4&typeinfo=25&catid=25947&pageindex=1&mid=254929) [Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 6 mahina ki bacchey ki pishab hum par hojayeto is halat mey hami quran padna jaiz hey ya nahi?
Answer: Sheer khuwar bachay ya bachi ka peshaab najis hai lekin is haalat mai quran parhna jaaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 mafhoom e maslah no 155). [Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: quran me ghoron ki kasam
Answer: Jee han, Is ka zikar Quran ki surah Aadiyat, surah #100, ki pehli 5 ayaton men muajood hai. (Ref: Al-Quran) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran pak kitne din me nazil hua
Answer: Quran 2 martaba nazil howa hai. 1. Aik hi martaba me saara quran shab e qadr me naazil ho gaya tha. 2. 23 saal ke arse me thorha thorha naazil hota raha. Quran rasool(s.a.w.w) k dil per naazil howa, Quran ki kuch suratain makki hai aur khuch madani hain, Qurani ayaat aur suraton ki tarteeb wahi e ilaahi k tehet rasool(s.a.w.w) ki hayaat me hi jama ho chuka tha. (Ref: www.islamshia-w.com ). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran kitny saal ma nazil Hua
Answer: 23 years [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]