Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14410
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.a sir jysa k Quran Pak ki Sura Baqarah Ayat 186&187 mein hai K"Khao or Piyo jab Safyd dhari juda ho siyah dhari se" is mein sehri ka waqt kab tak shumar hoga... Azaan e Fajr tak Ya Namaz e Fajr tak?

Answer: Jis waqt namaz fajar ho rahi ho us se ihtiatan 10 minutes pehly roze ko batil karne wali cheezon se parhez kiya jaye. Q ke ramzan k roze ki niyat ka aakhri waqt aik aise shakhs k liay jis ki tawju ho, azan se pehle hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1533). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14422
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamunalykum mera sawal ye h ki kya quran bgair wuzu k padha ja skta h ya nhi

Answer: wsalam. baghair wuzu k quraan parha jaa sakta hai lekin us ko mass nahi kia jaa sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 316). [Updated on 17-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: konsay surah alhamd say shuru hota haii

Answer: Quraan e kareem ki 5 aisi Surtain hain ke jis ibtida Alhamd-o-lillah se hoti hai. 1: Surah-e-Fatiha. 2: Surah-e-Anaam. 3: Surah-e-Kahaf. 4: Surah-e-Saba. 5: Surah-e-Fatir. (Ref: https://quran.com/ ). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14448
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ism al hakeemo quran main kitni bar ayia ha

Answer: Quram main lafz e Al Hakeem 42 martaba aya hai. (Ref: https://quran.com/ ). [Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14466
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA Roza kholny ka sahi waqt qurani ayat my kya hai

Answer: Quran majeed mai surah Mubarak Baqra surah #2 ki ayat #187 mai lail ka lafz istemal hua hai aur wazeh rehay k guroob e aftaf ko lail nahin kehtay hain balke lail tareeki ka nam hai lehaza iftar mai itni dair karni chaheye ke rat ki tareeki cha jae. (Ref : Anwar e quran, pg #90). [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1.Quran book se mene kuch para padha, kya mei mobile Quran app se uske aage padh sakti hu jaha se mene book mei last padhi thi. 2.Mobile Quran app se padha hua baksha jata h ya nhi ya sirf book se padh ke hi baksh sakte hai, plz reply my both qs

Answer: Jee han, ye tamam kam Jaiz hain. (Ref: email rcvd from Ayatullah sistani d.b). [Updated on 09-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14481
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Woh pehli surah jo rasool saww pr nazil hui uska naam btayen

Answer: Aik hi waqt men pora surah nazi nahin howa balke surah e alaq ki pehli 5 ayaat ghaar e hiraa main hamaray nabi Muhammad (s.a.w.w) par nazil hoe. (Ref: https://ur.wikipedia.org/wiki/%D8%BA%D8%A7%D8%B1_%D8%AD%D8%B1%D8%A7 ). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14510
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kapde me nijasat lagi ho to quran pad sakte hai

Answer: Najis libaas mai namaz nahin parhi jaa sakti albtatta quran parha jaa sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,786). [Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14527
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quraan me lafz (yom) or (shehr) kitni mrtaba aya hai

Answer: Quran men lafz e "Yaum"(din) 365 martaba aur lafz e "Shahr"(mahina) 12 martaba aaya hai. (Ref: http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/ghorani.htm ). [Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14540
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir kya Quran mobile me let Kar padh sakte hai

Answer: Is tarah parhna Jaiz hay. (Ref: email rcvd from A.sistani d.b). [Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!