Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15586
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kea Quran pak ma lafaz pa h ?

Answer: Shayad aap ka sawal lafz e pa (پ) ke baare me hai to chunke Quran e kareem arabi me naazil hua hai aur arabi me lafz e pa (پ) nahin hai lehaza Quran me bhi lafz e pa (پ) nahin hai. (Ref: https://quranurdu.org/ ). [Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15652
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran me nazil hone wali akhri 5 ayate kaunsi hai

Answer: Sab se aakhir main naazil honay wali ayat Surat Al-Maidah ki ayat #3 hai jo khilafat e Hazrat Ali(a.s) k baray man hay. (Ref: Qurani malomaat per mushtamil 1540 sawalaat ke jawab, pg #78, sawal #426). [Updated on 23-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15739
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA quran majeed mai jino ka ziker hai..? Or ager hai to kis ayat mai hai

Answer: Jee han, Quran majeed me jinnaat ka zikr mukhtalif maqamat par aaya hai. aur khaas taur par Quran majeed me jinnaat ke naam par aik poori surah jo ke "surah e Jin" maujood hai. jis ki ibtida is ayat se hoti hai ke keh dijiye: meri taraf wahi ki gayei hai ke jinnaat ki aik jamaat ne (Quran) suna aur kaha: hum ne aik ajeeb Quran suna hai. (Ref: https://www.balaghulquran.com/tafseer/index.php?sno=72 ). [Updated on 12-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15764
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam e Zmana As k bary mai qurani ayaat konsi hain

Answer: Quran majeed ki buhut si aisi aayat hain jin ki tafseer me Imam e zaman(a.s) ke mutaaliq mataalib jaise: zahoor, qayam, gaibat aur huqoom Imam e zaman(a.s) ki taraf ishaara hua hai. un aayat ki tafseer ya taweel me ahlbait(a.s) se marvi ahadees se istinaad ki gayei hai. aur baz musannfeen ne in ki taadad taqreeban 398 jabke baz ne 500 tak batayei hain. Jin me se chand aayat aap ke saamne paish ki jati hain: Surah anbiya, ayat #105, Surah qasas, ayat #5, Surah noor, ayat #35,55, Surah baqra, ayat #1,2,3,148,155,249, Surah aal e imran, ayat #83,200, Surah nisa, ayat #59,69, Surah tauba, ayat #33, Surah saf, ayat #8,9, Surah ibrahim, ayat #5, Surah hijr, ayat #36,37,38,87, Surah isra, ayat #33,81, Surah taha, ayat #110,115,1135, Surah mudassir, ayat #9,10,46,47, Surah luqman, ayat #20, Surah ankboot, ayat #10, Surah anfaal, ayat #7,8, Surah asr,ayat #1, Surah bayyina, ayat #25, Surah qadr ayat #5, Surah lail, ayat #2, Surah shams, ayat #3, Surah fajr, ayat #1, Surah buruj, ayat #1, Surah gashiya, ayat #1,2,3,4, Surah takweer, ayat #15,16, Surah jin, ayat #24, Surah maarij, ayat #44,26, Surah mulk, ayat #30, Surah hadeed, ayat #17, Surah rahman, ayat #41, Surah zariyaat, ayat #23, Surah qaaf, ayat #41,42, Surah fateh, ayat #25, Surah jashiya, ayat #14, Surah zukhruf, ayat #66, Surah shoora, ayat #20,41, Surah fuselat, ayat #16,17,53, Surah zumr, ayat #69, Surah saad, ayat #88, Surah saafaat, ayat #83, Surah saba, ayat #51, Surah sajda, ayat #21,29, Surah room, ayat #4, Surah shuaraa, ayat #4,205,207, Surah haj, ayat #39,41, Surah yunus, ayat #20, Surah nahl, ayat #1,45, Surah yuosuf, ayat #110, Surah anaam, ayat #158, Surah araaf, ayat 159, Surah hood, ayat #80, Surah tariq, ayat 15,16,17, Surah naml, ayat #62. In aayat ki tafseer ya taweel ke liey darj zail link ko vist kiya jaye. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D9%81%DB%81%D8%B1%D8%B3%D8%AA_%D8%A2%DB%8C%D8%A7%D8%AA_%D9%85%DB%81%D8%AF%D9%88%DB%8C%D8%AA ). [Updated on 24-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15768
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam e Alikum. Mera aap sy yeah sawal hai ky WO kon sy quran majeed mai suhraat hai aur ayaat hai jis mai tarjama hai ky yeah paigamro ko bhi maraah karty thi.

Answer: Is hawale se wo Aayat jin me Ambiya(a.s) ke qatal ka zikr aaya hai in me Surah Baqra, Ayat #61,91, Surah Aal e Imran, Ayat #21,112,181,183, Surah Nisa, Ayat #155, Surah Maaidah, Ayat #70 shaamil hain. (Ref: https://www.balaghulquran.com/ ). [Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15769
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam e Alikum . mera aap sy bas yeah sawal hai WO kon sy suraat hai jis ma Allah Pak NY farmaya yeah paigamro ko na haq qataal kya karty the.surha name aur ayaat e mubarika bhi bata dyein gye. Suhkriya.

Answer: Is hawale se wo Aayat jin me Ambiya(a.s) ke qatal ka zikr aaya hai in me Surah Baqra, Ayat #61,91, Surah Aal e Imran, Ayat #21,112,181,183, Surah Nisa, Ayat #155, Surah Maaidah, Ayat #70 shaamil hain. (Ref: https://www.balaghulquran.com/ ). [Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15808
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mushreekin makah ne allah tallah ka nasab pucha tha uske jawab me konsi surah utri thi

Answer: Surah Ikhlaas (tauheed) nazil hua. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A7%D8%AE%D9%84%D8%A7%D8%B5#%D8%B4%D8%A3%D9%86_%D9%86%D8%B2%D9%88%D9%84 ). [Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15822
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran pak me kis nabi k baray me kaha gia k o apnay bap Kay Sth neki krnay walay thay?

Answer: Quran kareem mein khuda Hazrat Yahya(a.s) ki sift bayan karte hue farmata hai ke woh apne walidain ke sath neki karne walay thay aur sarkash o nafarman nahin thay. Aur Hazrat Eesa(a.s) ki zabani naqal hua hai ke unhon ne farmaya ke khuda ne mujhe apni walida ke sath behtar sulook karne wala qarar diya hai. (Ref: Al-Quran, surah maryam, ayat #14,32, + Link: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=19 ). [Updated on 18-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15925
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia bina tarjuma key quran parna sawab hay matlab jub hamee pata hi nai key baat kiya horahi to aml kese krengay?

Answer: The proper reward is for the Arabic recitation. Translate: Munasib sawaab Arabi tilawat ke liye hi hai. Note: Aap ko quran ki tilawat arabi main hi karni hogi. aap ko urdu main quran parh kar samjhnay ka sawaab milay ga. laikin quran ki tilawat ka jo azeem sawaab hay wo sirf arabi qirat kar ke hi milay ga. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani, dated:15-07-11). [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15949
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran me namaz ka hukam kitni mertaba Aya ha

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!