Question: How I can be a part of this academy???
Answer: Head Office : 365/1, Pire Street, Garden East, off buisness recorder road, Gurumandir, Karachi, Pakistan. Postcode/Zip 74400 Office Timing: 8:00 AM - 9:00 PM Tel: (0092-21) 32226948 Tel: (0092-21) 32237207 [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Knsi ayat ma aya hy k Mera Nabi Bina wahi k kalam Ni krta
Answer: Quran kareem k surah An-Najm, surah #53 ki do ayaat Ayat #3 or 4 men is ka zikr maujood hai. (Ref: https://www.imamali.net/?id=12346 ). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ye din har din pe galib aakar Rhega Ye Aayat konsi hai
Answer: Surah Al-Saf الصّف (surah #61), Ayat #9. (Ref: https://quran.com/61 ). [Updated on 15-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia quran main kahin zulikha ka zikar name ky sath hai
Answer: Quran men Lafz e Zulaikha(زلیخا) ka zikr nahin aaya, Albatta quran men faqat إمْرَأتُ الْعَزِیْزِ ke alfaz zikr kiye gaye hain.(Ref: https://quran.com/12/ , Surah Yousuf, Ayat #30,51). [Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachun ko Quran start krwane ki Sahi Umar btaden
Answer: Is hawale se ham aap ko ek link provide kar rahe hain please aap is link ko visit karen. https://www.youtube.com/watch?v=cBVRN4RZNoE [Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran main rasool e khuda ko kin namo se pukara gya hai
Answer: Rasool e khuda(s.a.a.w) ke do naamo ka zikr quran kareem men aya hai. Surah Aale Imran ki ayat #144 men Muhammad(s.a.a.w) naam aaya hai aur Surah Saf ki ayat #6 men Ahmed(s.a.a.w) naam aya hai. aur baqi masalan Muddassir, Muzzammil, Taha, Yaseen jo aayae hain wo saare Rasool e khuda(s.a.a.w) ke naam nahin hain balke Alqaab hain. (Ref: https://quran.com/). [Updated on 26-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quraan mn zyada istamal Hong Wala harf
Answer: Quran me sab se ziyada istemal hone wala harf alif (الف) hai joke 48872 bar istemal hua hai. (Ref: http://babeilam.blogspot.com/2010/11/blog-post_15.html ). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Alif laam meem qaaf aur ain ghain ka mtlb kiya ha
Answer: Huroof e Muqtiaat "حروف مقطعات": Alif, laam, meem inhen "muqtiaat e quraniya مقطعاتِ قرآنیہ" bhi kehte hain. aur in ke andar asraar or rumooz posheeda hain jin ka ilm Allah aur us ke Habeeb (s.a.w.w) ko hai. in ke alawa or kisi ko nahin. (Ref: https://www.balaghulquran.com/quran-mozooati-ayaat.php?sno=240&tid=274&frm= ). [Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran my kitni anmbya ka nam aya ha
Answer: Quran e Kareem mai 25 ambiya ka zikr aya hai. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B3%D9%88%D8%B1%DB%81_%D8%A7%D9%86%D8%A8%DB%8C%D8%A7%D8%A1#.D8.A7.D8.AC.D9.85.D8.A7.D9.84.DB.8C_.D8.AA.D8.B9.D8.A7.D8.B1.D9.81 ). [Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum, Please share any hadith or quran Refrence for the support of Mutha ? Better if would it be from Quran .
Answer: Quran kareem me Surah Nisa ki ayat #24 me waazih tuar Nikah e Mutah ka hukum bayan hua hai. aur Ayat ka tarjuma ye hai ke " Phir jin aurton se tum ne mutah kiya hai un ka tay shuda meher bataur e farz ada karo " Ye ayat nikah e mutah ke taur par mashhoor hai jis me mutah ke sharaei hone ka nahin balkeh pehle se sharaei shuda mutah ke meher ka hukum bayan ho raha hai. (Ref: https://www.balaghulquran.com/quran-mozooati-ayaat.php?sno=1699&tid=1712 + https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%DA%A9%D8%A7%D8%AD_%D9%85%D8%AA%D8%B9%DB%81 ). (Note: is ki mazeed tehqeeq aur tafseel ke liye upar diye links ko visit karen is me aap ko wo Ahadees aur riwayaat bhi mil jayen gi jin se aap ko nikah e mutah ka suboot mil jaye ga ). [Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]