Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14979
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam alykum mera yeh sawal hai ky jb quran 23 sal ky arsy mein nazil huwa to pir wo shab e qadar ki raat ko pura kesy utara gaya mujy iska zara jaldi jawab chahiye

Answer: Quran 2 baar nazil howa hai aik martaba men saara quran shab e qadr me naazil ho gaya tha aur doosri marbata 23 saal ke arse me thorha thorha naazil hota raha.(Ref: Quran Shanaasi, Misbah yazdi, Jild #1, pg #139)+Uloom e Quran, Eskandarlu, pg #41) [Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14985
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ki kin kin ayato me huzur s.a.w.w ki biwiyu ka zikr hua hai

Answer: Taqreeban In Ayaat men Azwaj e nabi(s.a.w.w) ka zikr aya hai. Surah Ahzab Ayat #6, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34, 37, 38, 50, 53, 59, Surah Noor Ayat #11، 12، 13. Surah Tehreem Ayat #1, 3, 5. (Ref: https://previous.quran.com/ . + https://makarem.ir/main.aspx?reader=1&pid=72664&lid=0&mid=71125 ). [Updated on 09-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15028
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اہل ذکر سے پوچھو اگر تم نہیں جانتے قرآن کی کس سورہ میں ہے ؟؟

Answer: Surah An-nahl surah #16, Ayat #43. (Ref: https://quran.com/16 ). [Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15033
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran parhte waqt aurat k libas ki requirements kia Hain ? Kia shorts pehen k Quran parh sakti Hain?

Answer:

Id: 15056
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya Quran main hazrat Salman farsi ki zekar aya hy?

Answer: Quran main hazrat salman farsi ka naam nahi aya hay. (Ref: Quran e kareem). [Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ma kahan kahan likha he ka quran Rasool Kareem par ultra gaya

Answer: Quran main chand maqamaat per is baat ka zikr maujood hay. sorah baqra ki ayat#97 mian hay keh jibrael as ne hukm e khuda se quran ko hamare akhri nabi (saww) k dil per nazil kia. (Ref: Sorah e baqra ayat#97)[Updated on 21-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15135
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: قرآن پاک کی کون سی آیات میں ھے کہ دوزخی کو کالا لباس پہنایا جاے گا ۔ برائے مہربانی رہنمائی فرمائے

Answer: Quran kareem men aisi koi Ayat nahin hai ke jis men kaha gaya ho ke jahammion ke libaas rang kala hai.(Ref: https://quran.com/). [Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15214
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: lafzi musa quran ke konse paroo mai aya hai

Answer: Lafz e Musa Quran kareem ke 25 Paaron main, or 131 ayat main 131 dafa aaya hai, or zail main pare bataye ja rahe hain. 1, 2, 3, 6, 7, 8, 9, 11, 12, 13, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 30. (Ref: https://quran.com/?locale=ur) [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15248
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How many times is rights of parents mentioned in the Qur'an-e-Majid?

Answer: It is mentioned in the Quran about 15 times in different places and on different topics. (Ref: https://quran.com/ + http://alhassanain.org/urdu/?com=content&id=1298 ). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia lait kar mobile maiqurab parh sakty hyn?

Answer: Is tarah Quran parhna Jaiz hay. (Ref: email rcvd from A.sistani d.b). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!