Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14679
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Muhammad s.w ny makha Mai Quran ki wahi kb tk hasil ki

Answer: Quran k 2 nuzool hain. Pehla nuzool ye hai ke aik hi martaba me saara quran shab e qadr me naazil ho gaya. Dosra nuzool ye hai ke 23 saal ke arse men thorha thorha naazil hota raha. Quran rasool(s.a.w.w) k dil per naazil houa, Quran ki khuch suratain makki hai aur khuch madani hain, qurani ayaat aur suraton ki tarteeb wahi e ilaahi k tehet rasool(s.a.w.w) ki hayaat me he jama ho chuka tha. (Ref: www.islamshia-w.com). (Note: Makke men nuzool ka silsila 13 saal ka hai aur 10 saal madinay men). [Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14680
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran main lafz imam kitni bar aya hai

Answer: Quran main lafz e Imam 7 martba aya hai. (Ref: https://quran.com/ ). [Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14729
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kis ayat mein madina shareef ka zikr aaya hai

Answer: Madina e munawwar ka purana naam yasrab tha is ka zikr Quran majeed main Surah Ahzab, Ayat #13 main aya hay. agarche lafz e madina bhi kuch baar istemaal hoa hay lekin ye lafz faqat sheher k matlab main isteemal hoa hay, yasrab ke naam ke taur per istemal nahi howa. (Ref: http://quran.com/ Surah Ahzab, Ayat #13, http://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D8%AF%DB%8C%D9%86%DB%81_%D9%85%D9%86%D9%88%D8%B1%DB%81 ). [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14832
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ujrat de kr Quran parwa sakty hain or ek Quran ki kitni ujrat hoti ha

Answer: ujrat dekar quran perhwaya jasakta hai .(.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen part #2, maslah#31) or quran perhwane ke hawale se aap is number par rabta karen Tel: (0092-21) 32226948 Tel: (0092-21) 32237207 [Updated on 23-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14845
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is it allowed to take pocket size quran in your pocket

Answer: Yes. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b, dated: 17-04-15). [Updated on 04-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14848
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q3. Nek ladkiya nek ladko ke liye aur nek ladke nek ladkiyon ke liye banaye gaye hain ye Quran ki kis surah ki kis aayat m aaya h

Answer: Surah Noor surah #24, Ayat #26.(Ref: https://quran.com/24 ). [Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14886
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is it allowed to take pocket quran if packed properly carrying in toilet

Answer: Yes. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b, dated: 17-04-15). [Updated on 15-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14941
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jisko perhna na ata ho wo Quran Pay Ungli rkh k neyat ya kry k main talwat kr rha ho or Allah ka koi b name Lay k Usko prhy to uska Ajar ha ya nhe

Answer: Jee han, Balke har har Harf sawab hai milta hai Q ke Rasool e Khud(s.a.w.w) ne farmaye: Jo shakhs kitab e ilaahi ke aik Harf ki tilawat kare us ke amaal men aik Hasana (naiki) likhi jati hai or har Hasana ka sawab das guna milta hai, {is ke bad Aap(s.a.w.w ne farmaya)} main ye nahin kehta ke alif, laam, meem (ye teeno) aik Harf hai balke "Alif " aik Harf hai, "Laam" dosra Harf hai or "Meem" teesra Harf hai. Lehaza Rasool(s.a.w.w) ki is hadees ke mutabiq har har Harf ka milta hai lehaza Quran khol kar lafz e Allah, Rahman, Raheem, Gaffar o Sattar wagera ka zikr karte rahen to is ka bhi sawab mile ga Q ke ye tamam naam bhi Quran men zikr hue hain. (Ref: http://quran.al-shia.org/urd/maqalat/06.htm ). [Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14975
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sahife kin paigambaro par nazil hue hai.? Please tell me

Answer: Marhoom tabresi ne majma-ul-bayan men Surah Aala ki tafseer men aik Hadees Paighambar e Akram (s.a.w.w) se naqal ki hai jis ke aakhir men ye hai ke Abozar (r.a), Paighambar e Akram (s.a.w.w) se sawal karte hain ke Khuda ne ki kitaben nazil keen, Aap (s.a.w.w) ne farmaya: aik sau chaar (104) kitaben: 10 sahife Hazrat Adam (a.s) par , 50 sahife Hazrat Shees (a.s) par , 30 sahife Hazrat Idrees (a.s) par 10 sahife Hazrat Ibrahim (a.s) par (Jo majmooei taur par aik sau (100) sahife bante hain) Aur chaar (4) kitaben: Taurait Hazrat Musa (a.s) par , Injeel Hazrat Eisa (a.s) par , Zaboor Hazrat Dawood (a.s) par or Quran Hazrat Muhammad Mustafa (s.a.w.w) par. (Ref: https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&lid=4&mid=105131&catid=6479&pid=319399 ). [Updated on 10-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14978
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam alykum mera yeh sawal hai ky Quran pak mein yeh kahan likha hai ky Nabi pak jo b kehty krty wo Allah pak ki taraf sy wahi ki jati ti isky qurani ayat sy 2 yan 3 ayat ky references ky quran mein kahan kahan aya

Answer: Quran kareen ke surah An-Najm, surah #53 ki do ayaton Ayat #3 aur 4 men is ka zikr maujood hai aur reference ke liye aap neeche diye gaye link ko visit kar sakti hain is link men donon aayaton ki tafseer bhi ki gayei hai https://urdu-daira-maarif-e-quran.blogspot.com/2019/09/blog-post_22.html [Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!