Question: lrka lrki agr akelay m beth k schay dil se nikah k bol bolain aur ik dusray ko qubool krlain tw kya unka nikah hojata h?
Answer: Is terah nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalaamu Alykum meri biwi 7 saal sy uske maa k ghar mai reh rahi hai hum 1 saal se ziyada huwa na mile aur nahi baat ki ab woh ana nhi chahti galt ilxamat lagaya aur badnam kiyiya kya woh nikkah sy hatgayi
Answer: Aap ka nikah baqi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir main chrastion larki say shadi ker sakta hn or ager ker sakta hn to kia treeqa hai Plz zara detail say btai ga
Answer: Musalman mard ka ahl e kitab(yahoodi aur christian) auratoo sai mutah( tempory ) nikah krnay mai koi haraj nhi hai. Albetta ehtiyaat e lazim ki bina per in (yahoodi aur christian) aurto se daimi (permanent) nikah nahi karsakte. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2362). Update on dated 24-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Me talak shuda hu or ladka kuwara hum dono ik dusre ko pasand krte hai.mere ghar wale nikah je liye raazi hai or ladke ke ghar wale raazi nhi hai.bina ghar walo ki ijazat se ladka nikah Jr sakta hai
Answer: Jee haan. Lerka baghair ijazat k nikah ker sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #67 , Eidition 1427 hij). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya ladka apne chacha ki ladki se nikah Kar sakta hai.??
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Plz me use se shadi krna chahti hn plz meri help krn or dua krn us ki ami man jaen wo b mjh se thek hojay plz
Answer: Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen, Mafhoom e pg # 352). Update on dated 29-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia aik lerka or lerki akayly mai Allah ko qawah bana ker nikha ker sakty hn
Answer: Wo Kunwari larki jo baligh ho or rashida ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazatehtiyaat e wajib ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mae marraid hun meri wife 2 month k liye country se bahir gae hai kiya mae kisi ahlekitab aurat se mutah kar sakta hun apni bv ki ijazat liye bagair
Answer: shadi shuda mard muta ker sakta hay, albatta jis orat se mutta kare agar wo Eesae (chiriston) or Yahudi ho tu ehtiyat e wajib ki bina per bivi ki ijazat se bhi in se nikah nah kia jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2362). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiya mutah ki niyat se kisi aurat ko lazat ki nigah se dikh sakten hain?
Answer: Jis aurat se insan nikah kerna ka irada hay wo os k chehre ya baal or hath waghaira ko daikh sakta hay laikin lazzat ki nigah nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #28 , Eidition 1427 hij). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mairi ak larki sy dosti hai or hamari dosti gunah ki had tak barh chuki hai kia hamary liye jaiz hai k ham bghair walideen ki ijazat liye apni nikah parhen ta k gunah sy bach saken ??
Answer: Wo Kunwari larki jo baligh ho or rashida ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazatehtiyaat e wajib ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah sistani(d.b), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 20-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).