Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9018
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi mard apni bewe ka kapray nikalay tho ye teak hai ya galat...aur us ke wajoob ko daikay...

Answer: Biwi aur shohar k liay apni sharamghao ko aik dosere se chopaana laazim nahi hai. auraik dosere ki sharamgha ko dekh sake hai. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#53,). . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9024
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is Nikah of syedzadi to non syed is acceptable or not??

Answer: Yes, it is acceptable according to Islam. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #221 , Eidition 1427 hij). Update on dated 12-03-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9032
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah k time Molana sahab ne Larkay say Qabool nhe krwaya, Lekin Nikah nama par sign bhe krway. Nikah ka khutba bhe parha. Larki se qabool krwaya gya ha. Kya yeh Nikah jaiz ha ya nhe?

Answer: Agar lerka nikah per razi tha tu niakh durust shumaar hoga. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2378). Update on dated 11-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9036
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya dadi ki behan ki beti se nikah jaiz haiz?

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #90 , Eidition 1427 hij). Update on dated 25.0316. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9050
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya talaq yafta larki se zinah k bad nikah jaiz hai ya nhi

Answer: Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition,maslah #2364). Update on dated 28-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9059
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Kisi Larki K Sath Sex Kia Ho to us Larki Ki Tauba k bad Apus me Bhaith K Usk Sath Nikah Ho sakta Hay Larka Or Larki Apna Nikah Khud Parh sakte Hain ?

Answer: 1-Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2364). 2-wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 3-Zina k baad bhi is per kanwari k ehkamaat hi jaari hoon gaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #70 , Eidition 1427 hij). Update on dated 23-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Khalo or phuppa se parda hai??

Answer: Jee haan, aurat ko in dono se perda kerna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #90). Update on dated 16-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9071
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein ye sawal pehle b kar chuka hun leken koi jawab nahi diya hai ap logo ne please mujhe is sawal ka jawab den k Kia Bete per baap ki dusri bivi mehram hai Talaq k bad ya baap K fout hojany k bad.

Answer: Jee haan,har sorat main mehram hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #155 , Eidition 1427 hij). Update on dated 07-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya apne jija ki bhai ke beti se nikah ho sakti hai.

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #155 se188 , Eidition 1427 hij). Update on dated 07-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9079
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nikah kr sakte hain ladka ladki dono sirf dono....

Answer: Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342).Update on dated 10-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!