Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-O-Alikum mera sawal ye hai ke mera nikah mere khala zaat bhai ki beti se ho sakta hai ????

Answer: Jee han ye nikah hosakta hai. (Ref : Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2349) Update on dated 23-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8317
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal h ke ager mere mamu ki joh saali h kia un ke sath mera nikal jaiz hai

Answer: Jee han jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2349-2354-2355) Update on dated 23-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8348
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: My aur ek ladki ek doosre se bht pyar karte hai aur hum dono ne phne me qubool hai teen baar boldiya..kya isse hamari shadi hogayai..phir kuch saal baad humne phne me talaaq b dedi kya isse talaaq hogaya..plse jwb tafseel se do

Answer: Shadi nahi hoi, lehaza talaaq ki zarorat nahi, lekin is terhan ki dosti o mohabbat jaiz nahi hai q k haram men jane ka khoaf hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , 2341 , 2342) , (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Id: 8353
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my daughter syeda we got one boy suni but he love shia and his molaai boy fathers like my daughter he want marriege with my daughter so how can we do nika

Answer: Ager is shadi se beti ke deen o emaan main tabdili ka imkaan na ho to nikah ke sahi hone main niche di gaae sharait ka hona zarori hai, 1 – ager larki kawari ho or us ke baap ya dada ya pardada zinda hon to ye is nikah se razi hon, 2 – mard o orat izdiwaaj per razi hon.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , 2341 , 2342). Or ager Deen o Emaan main tabdili ka imkaan hia to sunni larke se shadi jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1 , sawaal #134, pg # 70 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8382
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: BE PARDA AOURAT SE NIKAH JAIZ HA? USE PARHANA DAKHA HO TO KIYA KARA JAY?

Answer: Be parda ourat se nikah jaiz ha, Laikin Mard ko chahiye k aysi ourat se shadi kare jo pak daman, shareef-ul-asl or naik ho or dunyawi or okhravi mu’amilaat me os ki madadgar sabit ho, Is k elawa aurat ko barhena dekhna gunnah he is k lye tauba ki jaye.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 386 pg # 232). Update on dated 23-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8386
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi larki pregnant ho or jis ka bacha ho us larkey se nikah kr le to kya is halat men nikah ho jata ha?

Answer: Ehtiyat wajib ki bina per jab tak orat is gunah se tuaba na karle tab tak nikah sahi nah I hai, albatta is gunah se toba karne k bad wo shadi kar sakte hen. (Ref : Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2364) Update on dated 23-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8399
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me shiya nahi hu me sunni but agar aap mujhe bata sakte he ki feb me qamar dar aqrab me nikaah kyo nahi kar sakte he soo plzzz its important.

Answer: 1)Imam Jafer Sadiq a.s se manqool ha k jo sakhs qamar-dar-aqrab me nikah kare ga wo is nikah main khair nahi pay ga. (Ref: Tehzeeb-ul-islam, pg # 127) 2)Qamar dar aqrab main nikah kerna makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#3, maslah #3 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: is din nikah kerna faqat makhrooh hay haram ya najaiz nahi.

Id: 8425
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a . Main ya poucna chati hn k .. Mera nakka ko 3 months ho gy hai Mera nakka zabardasti howa. Likn aj thk main my us k sath kuch nhi kiya. Main his k sath nhi rah skti or main his sy talak bi lhna chatI ho hn plzz bhai meri help krey

Answer: Wssalam o alykum, ager ap nikah ke waqt razi nahi thi or nikah se le kar ab tak ap dono ke dermiyaan koi esi cheez (chahe bato ke lihaaz hai ho ya kisi or tareqe se) nahi hoi jo ap dono ke zooj o zoja hone ko sabit kare to talaaq ki zarorat nahi hai Q k nikah k sahi hone main orat ki riza mandi bhi shart hai. Or ager baad main razi ho gaae thi to wo ap ke shohar hain. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2338 , 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8429
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ya Ali as madad mje ye pouchna hy k Kya Zina yafta girl se shadi jaiz hy?? or isk kya ehkaam hen shohr k lye? or bv k lye??

Answer: Agar koe shaks kisi aisi aurat k sath zina kare jo bay shohar ho or iddat main nah ho to baad main os se aqd(nikah) ker sakta hay laikin ehtiyat e wajib ye hay k jab tak is aurat ko haiz ka khoon aay intezaar kare or baad main is se aqd kare or koe doosra shaks is aurat se aqd kerna chahay tu phir ye ehtiyaat e mustahab hay. (Ref:Ayatullah Khoe (r.a),Tauzeehul masail,maslah #2408) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8440
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri mangni hue we he,mera mangatar bht pyar krta he,humri shadi me ak saal he mgar humni aapas me nikah kr lia he,kia yeh nikah jaiz he?or humera rishta b miya biwi wala he

Answer: Agr nikah se larki ka walid razi hai or nikah islami tareeqe se kiya gaya hai to sahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366-2367). Update on dated 21-11 –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!