Question: as salam o alaikum mera sawal ye hai mera rishta hu hai mere do salhi hai sab se choti wali sali hai wo mujhe like krte hai aur mera rishta jis ladki se hu hai wo b mujhe like krte hai
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahe wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is kay nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2355). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: me apni girlfriend k sath court marriag krna chahta hon.but kia court mariage k bad agr ghr waly agree ho jaen to dobara molvi nikah prhae to glat to ni ho ga.ya hamra nikah theek rhy ga or rishta b
Answer: 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day dai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) 2)Nikah main seeghah(nikah k bool) perhna zaroori hay. aurat or merd ka faqat razi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay, or agar khud mard or aurat sigah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2341, 2328-35)Update on dated 01-10-2015.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam! ap en ek question ka jawab ye dia hai k jis k sath zina kia hai os se shadi nai ho sakti aur phir dosry question ma jawab dia hai k jis k sath zina kia ho os k sath shadi krni chahiye? ab ye mjy samaj nai araha..........
Answer: 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) 2) Agar sohardar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina krnay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2367). Note: Ye do alag hukum hain. Pehla hukum bay shohar aurat k liay hay jo kis shohar ki iddat main nah ho, or dosra hukum shohar daar aurat kay liay hay.
Question: Kya aik hi shadi shuda joray ka do br nikkah hoskta hai ? Talaq nahi hoi v, lakin woh apnay rishtedaron k samnay dubara nikkah krwana chahein apna tou hoskta hai ?
Answer: 1)Kawari(virgin) ghair mukhtaar lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) 2)agar nikah tamaam sharait k sath anjaam paya tha tu phir rishtedaaro ko dikhane k liay dobara nikah perha jasakta hay.(Ref: Rcvd by email). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mami ya chachi k sath agar jismani taluk ban jay to kia us ko talaq ho jati hay k nae? Mera question hay plzz ans me
Answer: Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina kernay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2367). Update on dated 14-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr larki kay parent uskay sath shadi zbardasti kar rahy hun or larki shadi kay haq mai ni hai to kya parent ka esa karna jaiz ha?
Answer: Lerki ki ijazat k baghair os ki shadi nahi ho sakti. . (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2335).Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: shadi se pehle agar zina kiye aur tauba kare Allah se, aur usise shadi karliye to ye Nikha Halal hoga?
Answer: Jaiz hay.(Ref: Ayatollah behjat r.h, tauzee masael, maslah#1861)
Question: Ya ali madad mera sawal yeh hy k maine ek sunni larky sy ghr walon sy chup k nikah kia tha aur ab m us k sath ni rehna chahti aur wo muj divorce ni dy rha olz meri help krein m kia kron plzz jwab zaror dein
Answer: Ye Nikah sahi nahi hai, Q k jo lerki baligh ho or rashida bhi ho yani apni maslihat ki tashkees ker sakti ho , agar wo shadi kerna chahay or agar wo bakira ho tu ehtiyaat e wajib ye hay k wo apnay baap ya dada se ijazat hasil karay. (Ref : Ayatullah khumeni (r.a),Tauzeehul masail , maslah # 2373) Update on dated 24-12-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Kaya mae apnae bhai ki beti sa shaadi kar sakta hon or vo bhai ki saghe beti nahi hae wo uski biwi ki pehle shaadi sa hae
Answer: Aap k liay os se shadi kerna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2349)Update on dated 01-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya sotela bap mehram Hota ha aik aurat Ka shohar inteqal kerjain n Wo dosra nikkah kerlain phelay shohar say Beti ha Tu Kiya Beti Kay liye Wo bap mehram ha??
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat sai nikah karay aur is k sath hambistri kray to is aurat ki larki is mard ki mehram ho jati hai chahae wo shadi k waqt moujood ho ya baad mai paida ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2351-52). Update on dated 01-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).