Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8441
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Pehi biwi sa ijazt key baghr dusri Shari hoti h ??

Answer: ijazat lena zaruri nahi hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8459
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa i wana ask k agr shadi psnd ki na ho ghr walo k oresur ma akr ki gai ho or shohar bv ko touch nai krta pas nai jata usky tu kya aisi sorat ma wo gunahgar hy?

Answer: 1) Agar aurat aur mard ko ya in me se kise aik ko isdewaj (shadi) per majboor kiya jaay aur nikah k baad wo ijazat de de to nikah sahe hai.laikin behter ye hai k dobara nikah perha jaay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335,2339 ) 2)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta. Except oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho. (Ref: Tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8460
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. 2 saal phalay manay court marrige ke . 4 ghawa or 1 wakeel or 1 molvi sahib ke mojudgi may kiya mara nikkah jaiz hay....

Answer: 1)Nikah main sigah (nikah k bool) perhna zarori hai (chahay phone par ho ya samnay beth kar)aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. Aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328+2335) 2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay jis jagha aurat k lie baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat lie beghair nikah kare to us ka nikah batil hai laikjn agar baab baad me ijazat de de to nikah sahe ho jaay gha. . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) )(ref: sistani.org,arbi, )Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kisi larki ka nikah krdena jabke wo pehle se kisi k nikah me ho.is ki shariyat me kia saza ha

Answer: Shadi shuda orat ka dusri shadi krna haram hai. Or parha jane wala nikah batil hoga, or agr us doosre shakhs se jinsi taulaqat qaaim hojaen to wo zina shumar hoga or ye orat us dusre admi k liye ehtiyat e wajib ki bina per hamesha k liye haram hojayegi, chahe pehla shohar talaq bhi dede phir bhi dusre shakhs se uski shadi nahi hosakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366-2367). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8479
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mian biwi maan leny sy nikkah ho jata ha ? Agr dono future may shafi krny ka pka irada krty hon to

Answer: Jee nahi faqat maan lene se nikah nahi hojata.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2342-2341). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8493
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri kazan ha hm dono 1 dosre ko pasand krte hain hm dono ki age main 8 saal ka difreence ha but meri walda ne osko bachpan main feed dia hakya hm dono shadi kr sakte hain because hm 1 dosre ko pasand b krte hain plz tell me sir??

Answer: Kisi bachhe ka apni maa k elawa kisi or orat ka doodh peene ki waja se khud us doodh pilane wali orat or isi tarh uski olad or rishtedaron se mehramiyat ka rishta qaaim hojata hai lekin us doodh pilane ki chand sharaai hen. 1. Doodh ki wo miqdar jo jo mehram banne ka sabab banti hai wo us orat k ek hi shohar ka doodh ho, 2. Bacha us doodh ki wo miqdar jo abhi bayan hogi use kisi beemari ki waja se QE(Ulti) na krde. 3. Bache ko wo orat is qdr doodh pilaye k uski haddiyan us doodh se mazboot hon or badan ka gosht bhi us se bane or agr is bat ka ilm na ho k is qadr doodh piya hai ya nahi to agr us bachhe ne ek din or ek rat ya 15 dafa pet bhar kr doodh piya ho to (rishta e mehramiyat qaaim hone k liye) kaafi hai, lekin agr is bat ka ilm ho k us ki haddiyan us se mazboot nahi hui hen or uska gosht bhi us se nahi bana halanke bache ne ek din or ek rat ya phir 15 dafa doodh piya ho to aysi surat men Ehtiyate wajib ka khayal rakhna zaaruri hai yani aysi halat mne shadi na ki jaye mehrmana nazar se bhi na dekha jaye, 4. Or us din rat men 24 k andar is orat k elawa kisi or ka doodh na piya ho. Bs in sharait k peshe nazar agr koi bacha kisi orat ka doodh piye to khud us orat or us orat ki olad is k mehram ban jaenge or mehram se nikah nahi hosakta. Albatta akhaththe peena ya alag waqt men peena aysi koi shart nahi hai. Lehaza agr apki cousin ne apki walida ka biyaan ki gae sharait k mutabiq doodh nah piya ho to is surat men wo apki na-mehram hi hai or ap us se shadi kr sakte hen. Or agar oper biyaan ki gae sharait k sath dhodh pia ho tu wo aap ki mehram hain or on se shadi nahi ki jasakti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 33 Edition, masla #2428, 2438).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8500
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo.....Kya koi musalman mard apne sage mamun ki bewa se nikah kar sakta hai mamun ke 3 aulad bhi hain

Answer: Iddat mukammal honay k bad bewa mumani se nikah kerna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, Maslah #2349 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8504
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalaikum kya koi musalman mard apne sage mamun ki biwi jo ke bewa ho usse nikah jayz ho sakta hai jabke mamun ki nutfe ka aulaad bhi unki bew ke pas ha quran aur hadith ki raushni me jawab ka muntazir hoon

Answer: Bewa mumani se os ki iddat mukammal kernay ke bad nikah kerna jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349).Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8510
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shadi k liye tareekh ya din kiya rakhna chahye? kia hafte (saturday) ki shab mai rukhsati sahi hai? kindly reply as soon as possible.

Answer: Nikah k sighay perhna qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq (chand ki akhri teen takeekhain jin main chand chup jata hay 27, 28, 29) me ho tu nikah karna makrooh he. (saturday) ki shab mai nikah karna sahe hai (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8517
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ek ladki or ladke ke bich zina ho gaya or woh ladki 7 month pregnant hai or ladki ke ghar wale ussi lake se uski shaadi kara rahe hai kya unka nikaah jayez hai

Answer: Agar koe shaks kise aise aurat se zina kare jo be shohar ho mager iddat me nah ho to ehteyat e wajib ki bina per us aurat k tuba karne se phele is se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!