Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9088
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o-alaikum kya larka aur larki apna nikah khud ker sakte hain khuda ko gawah bna ker

Answer: Nikah k sahe hone ki khuch shara,it hain jin k baghair nikah sahi nahi hota jin me se khuch ye hain (nikah k alfaaz ) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay albatta inhe chaie k wo alfaaz kehe jo zawwajto aur qabilto ka mafhoom ada kare maslan phele mahar moiyan karne k baad daime nikah me larki yu kehe k mene is mahar per jo moiyan ho chukka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar baad mard kehe k mene is isdewaaj ko qabool kiya to nikah sahe hai Agar merd or aurat khud daimi nikah ka seegah perhna chahain to, nikah ka meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2328-2335,2341,2342). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9110
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-O-Alaikum Mera que ye h k agr koi admi roza rakh k so jata h kuch der baad ussy gussal e janabat ho jata h to kiya roza toot jaye ga ?.....aur kiya roze men gussal kar lena chaiye yaan phir roza aftaar krny k baad?

Answer: Agar rozedaar ko neend me ahtelaam (mani kharij ho jaay) to is ka roza batil nahe hota. Agar kise rozedaar ko din me ahtelaam ho jaay to is per fouran ghusal karna wajib nahe hai balke namaaz se phele bhi ghusal kiya jasakta hai . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571 ,1605). Update on dated 12-07-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir maine na samjhi ma aik larky ko kaha k mai Allah, Rasool SAW aur Quran ko hazir nazir jaan kr husband mana but wo banda theek ni tha ub wo kehta hmara nikah ho gya hai shariat ki roo sy kya nikah ho gya hoga? Answer me plz

Answer: Is terah nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328-2335,2341,2342). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9147
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya father aur mother ki sagi cusion say nikah jayz hai

Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus saliheen, part#3,,Mafhoom e Maslah #90-228). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9166
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muj sy ik larka nikah krna chahta hai lekin hmari families razi ni ho rhi wo phr b muj sy nikah krna chahta h kya ghr walu ki marzi k bagair hmara nikah ho jae ga agr hm proper gawahon ko ly kr nikah kren to

Answer: jo larki san e bologh ko pohanch chuki ho our rashida ho agr shadi karna chaheye our kanwari ho our apni zendgi ke omor khud muteyari se injam na deti ho to usy bap our dada se ejazat lena zarori hay our agr khud muteyari se apni zendgi ke omor anjam deti ho to ehtiat wajeb ki bena par bap our dada se ejazat lena zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 17-09-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9172
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sagi phupi ki beti se nikah jayz h ya nhi

Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 37th edition, maslah #2349 ). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9173
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ak ladka usse umar main badi ladki se nikha kar sakta hai

Answer: Shia mard ki shadi shia aurat se ho sakti aur aurat aur mard ki umar k bara ya chota hone se koi faraq nahe perhta. (Ref : Ayat Ullah khoe, Minhaajus saliheen Part # 2,pg:425, Maslah # 1300). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9175
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia shadi sy pehly boy or girl face to face 1 dusry ko dekh skty hay i mean jb rishta ho rha ho to kia 2no 1 dusry ko dekh k pasnd kr skty hay kindly tel me

Answer: Mard jis aurat se shadi ka irada rakhta ho lazzat ki niyat k beghair us k face ko daikh sakta hai. (Ref: aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 424, pg # 240, eidition 5) Agar lazzat k irade beghair aur haraam me mubtela hone k khuof na ho aur kise fasaad ka bais na ho to jis aurat se mard shadi karne ka irada rakhta ho us se guftagho karna jaiz hai. (ref:shadi k ahkaam ,part:4,author syed mujtaba hasani,fatwa aqa sistani,pg:28). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9178
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri shadi k 4sal ko khula howa ab khula hoke 7 mahine howe my ab unse phir se shadi karna cha ho to o jayaz hy ya nahi...

Answer: Iddat khatam hone per os saabqa bivi se nikah jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2531). Update on dated 26-18-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9185
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya sali ko apni doosri biwi bana na jaye hai. ( kiyaal mein rakhey ke Pheli biwi ko talaq nahi diya)

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayatullah imam khumeni, Masla # 2387). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!