Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9862
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera Sawal yeh hai k main larki se nikah karna chah raha hon mere pass qazi nahi hai kiya main do gawah k samne nikkah kar sakta hon khud se qabool larki or larka ?

Answer: 1)Larkay k liay kisi say nikah ki ijazat lena zarori nahi hai lekin Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zarori hay. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay. 2)Nikah mai gawah ki zarorat nahi hoti. 3)Nikah main seeghay khud bhi ada kiay jaa saktay hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2341,2335 and Minhaj us saliheen ayatollah seestani maslah no 70). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9865
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara nakha hoia our nakha ka 2 year bad ma na apana name chang keaya our nakha mama be chang karwa leaya Kia is sa nakha pa koie asar parta ha ya nahi

Answer: Nahi is sai nikah baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2472). Update on dated 23-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9877
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ami k chacha ki beti se rishta jaiz hai ?

Answer: Jee , jaiz hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2349). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9886
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya saadi suda aurat Se nikah jayaj hai wo abhi bhi kisi ke nikah me hai

Answer: Jee nahi, shaadi shuda aurat sai shaadi karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2366). Update on dated 16-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9887
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri umer 19 saal hai main gunaho sa bachna chahta hu to kia main nikkah karskta hu agr han to main ghr walo ko kese raazi karu?

Answer: Agar koi nikah na karne ki wajah sai haram kaam mai mubtilaa hota ho tu us par wajib hai k shadi karay. Shadi k liay larkay ko wali ki ijazat zarorat nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2407). Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9890
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya bhanji or khala 1 hi shaks se nikaah kr skti hain???

Answer: Agar kisi shaks ne pehlay nikah kisi aurat se kia ho or os k baad osi ki bhaanji se nikah os sorat main ker sakte hain jab bivi raazi ho. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2357,2358). Update on dated 14-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9909
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam alaikum... Maine ek sawal pucha tha uska jawab mujhe abhi tak nhi mila.... Plz jldi iska jawab de dijiye..swal ye hai ki kya waleema karna islam me wajib hai? Agar hai to kisi gareeb ldke ke iske liye sharayat kya hai.... Plzzz jldi jwab dijiyega

Answer: Waleema karna wajib nahi hay balkeh mustahab hay. (Ref: Minhajus Saliheen, part#3, maslah#4). Update on dated 01-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9980
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya lrka lrki alehdgi may , 2 gawahon ki mojoodgi may Allah ko hazir nazir jaan kr aik dosre ko 3 bar Qabool kr lain to nikkah ho jata hy ????

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9995
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kis .majboori mei ek waqt mei do sagi behno ze. Ikah jayz hei?

Answer: Jab tak aik behen nikah main ho tu doosri behen sai nikah nahi kia jaa sakta. Haan agar pehli behn ko talaaq dai dai ya us ki death ho jaaye tu phir us ki behn sai nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2355). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10252
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bewa soteli maan apnay sotelay betay say nikha kar sakti hai ya nikha karna jaiz hai

Answer: Sotelelay baite se nikah karna jaiz nahi hay. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73). Update on dated 22-02-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!