Question: Aoa mera frnd apni khala sy nikah krna chata uski mother or uski khala apas me sotyli behny hain mtlb maa aik hai bap dfrnt hain ku k uski grand mother ki 2 shadian hain kya unka nikah ho saqta plxxx answer me bht serious masla hai
Answer: Wo friend ki sagi khala hi kehlae gi or khala ka shumaar mehram mai hota hai or mehram sai izdawaj karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah 2349) Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 1-Please confirm a virgin girl after Mutta will remain virgin or not? 2-During proceeding of Nikah it is necessary to give confirmation/reference to other party(Male) about Mutta, if it had done by a virgin Girl with complete permission.
Answer: 1) Agar mutta walid ya dada ki ijazat sai kia gaya tha or phr muta mai humbistri bhi hoi thi tou phr us ko kunwari nahi kaha jaye ga,or agar walid ya dada ki ijazat ki baghair mutta kia gaya ho or hum bistri bhi hoi ho tou ye zina kehlaye ga lekin wo larki kunwari hi kehlaye gi.(Minhaj us saliheen part#3 maslah#69) 2)or agar ab wo daimi nikah karna chahti hai tu agar nikah k shareit taey kartey waqt is baat ka zikr hi na ho or baad mai pata chale k ye kunwari nahi hai tu shohar talaaq dai sakta hai or sharait taey karte waqt shohar ne ye shart rakhi k agar kunwari ho to shadi karne k lie razi hai or female side sai jhoot bol dia jaey k kunwari hai or nikah k baad pata chale k kunwari nahi hai tu shohar nikah ko fasq kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj us saliheen, part#3, maslah#258). Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya do log jo apas ma zina kr chukay hain unka apas ma nikah halal ha ya haram?
Answer: 1)agar koi shaks aisi be shohar(jis ka shohar na ho) aurat k saath zinaa karey jo iddat main nah ho to ahtiyaat e wajib ki bina par wo shaks us aurat k tauba karney sai pehley us sai shaadi nahi kar sakta. 2) Agar koi shaks aisi aurat sai zina karey jo talaaq e rijei ki iddat sai guzzar rahi ho tu ahtiyat e wajib ki bina par wo aurat us par haraam ho jaati hai aur agar aisi aurat k saath zinaa karey jo mutaa ya talaq e baain ya wafaat ya wati bish shuba ki iddat guzaar rahi ho tu baad mai us k saath nikah kar sakta hai . 3) Agar koi shohar daar aurat k saath zina karey tu ahtiyaat e wajib ki bina par wo us aurat par hamesha k liay haram hojati hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2363 2364 2367) Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam aalikum sir g sir g mujhe ye pochna he ke agr suni larka aur shia lrki ak dosre se shadi karna chahte hon aur ghr wale bolen ke dono nikha hon ge suni shia wala to kya 2 nikha ak time mn ho sakte hen kya ye jaiz he
Answer: Was Salam. Jee is main koe haraj nahi hay, kiay jaa sakte hain ableh lazim hay k shia wala nikah har sorat main perha jaey Q k shumaar jo hoga wo faqat shia wala hi hoga.Q k sunni nikah main wo sharaet nahi hoti jo aik shia nikah k liay zaroori hain.(Ref:Tauzaaeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2335). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslkm meine apni gf k saath zina kya or wo mere bache ki maa banne wali thi phr humlog ne abortion karaduye kya aage life may humlog maafi maangke shadi nahi kare toh kya ye gunah or b hojaaenga
Answer: Was salam.Zina gunahan e kabeera mai sai aik gunah hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1,Edition#2009,Mafhoom e Maslah #30). Hamal k ho janay k bad zaya karna jaiz nahi hai. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl, masla # 73). agar koi shaks aisi bai shohar aurat k saath zina karey jo iddat main ho to ehtiyaat e wajib ki bina par us aurat k tauba karne sai pehle shadi nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2364). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o Alaikum mera sawal ye hai ke agr koi aurat bina apne khawind se talak liye shadi kare to kya uska ye nikah jaiz hai ?
Answer: Was salam. kisi shadi shuda aurat sai shadi karna haraam hai agar koi shaks aisa karey tu zaroori hai k us aurat sai juda hojaey or baad mai us sai nikah nahi karna chahiay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2366). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa nikahh me kalmy k Kia ahkam hain
Answer: Nikah k waqt kalma parhna fiqhe jafferia k nazdeek sharaet mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2235). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamoalaikum! Meri umr 33 h aur shadi me mushqiley aa rahi h, kya koi roza rakhne se ya dua padhne se iska hal ho sakta h ?
Answer: Was salam. Rasool e akram ne farmaya: Surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shia Nikha mn larkay k Seeghy Molvi Q parhta hy
Answer: Q k wo sahi tareeky say parh saktay hen warna zarori nahi hy k molvi hi parhy, balky dholaha or dhulhan khud bhi parh sakty hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2333 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mra sawal ye hy k agr larka or larki gunnah s zinna s bchna chahty hain tw wo nikkah kr skty hain bgr gawah k?
Answer: Gawahoon ka hona zarori nahi hy lekin, Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day, or yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 14-02-16. (Khuda aap ko U7oom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).