Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9785
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jis k sath zina kar liya jaye kia vo orat ham pe haram ho jati a ? Kia usse nikkah mumkin nh ?

Answer: Jis waqt zina howa ho us waqt agar wo aurat kisi k nikah men ho ya iddat men ho to zina kerney waly shakhs per ehtiyaat e wajib ki bina per hamesha k liay haram ho jaati lekin Jis shakhs nay kisi bay-shohar daar aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahti ho to is k liay ehtiyaat e wajib ye hai k wo os aurat k toba karnay say pehlay os se nikah nah karay. (Ref : tauzihul masael, Ayat ullah Sistani d.b. Masla # 2364,2367). Update on dated 30-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9790
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara sawal ye ha k jis tarha aj kal call pay nikah ho jata ha jab larka out of country ho to kya muttah b call pay ho jata ha????amny samny bethay hona zarori ha????yq nahi?????w.salam

Answer: Jee haan, ho sakta hay aamnay or samnay hona zarori nahi hay. (Ref: Ayatullah Khoe(r.a),Tauzeehul masail, maslah #2379 ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Jo lerki had e buloogh ko pohanch chuki ho or rasheeda ho yaani apni bhalae burae jaanch sakti ho agar wo shadi kerna chahay or kunwari ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per osay chahiay k apne baap ya dada se ijazat lay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 2385). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9791
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jasa k aj kal door honay ki waja say call pay b nikah ho jata ha....to kya call pay mutah b ho sakta ha agar larka larki amnay samnay na hon to

Answer: Jee haan, ho sakta hay. Aamnay or saamnay hona zarori nahi hay. Ref: (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak keh lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. or yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 12-01-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar larka kisi larka ko kiss kra aor uss sa masturbating krwae aor uss waqt iss gunah k bare ma na janta ho to kia uss ki ma behn aor beti uss par haram ha aor is ki tauba kasa kra

Answer: Mard ka mard sai jinsi kaam karna gunahan e kabeera mai sai hai lekin aap ka ye amal lawaat nahi kehlaye ga lehaaza us ki behn beti maa haram nahi hoongi. (Ref: Jadeed fiqhi masael, ayatullah seestani maslah#500). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9817
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mn apne abu ko dosri shdi se rok skta hn kia mje y haq h ?

Answer: Nahi rook saktay un ko kisi ki ijaazat ki zarorat nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9821
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya sauhar dusra Nikah kr skta h jb k uski phli biwi Hamla h

Answer: Is sorat main bhi shohar doosra nikah kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9828
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maina ek ladki se shadi karna chahata tha per mera se phela us k talokat Kuch ladko k sath tha kya aise ladki k sath ma shadi Kar sakta hu ya nhi .

Answer: Zina main mash,hoor aurat se ehtiyaat wajib ki bina per oski tauba se pehlay shadi kerna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 10-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9836
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Syed larki ka nikah ghair syed se kr sakte hain

Answer: Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#3, maslah #214,221 ). Update on dated 07-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9849
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr larki ka nikha is ki marzi k bagair howa aur nikha k doran larki mjood na ho to kia nikha hoskta aur rukhsati na hoi ho

Answer: Agar nikah k baad larki nay ijazat day day to nikah sahi warna batil shumaar hoga. Agar nikah kerny wala walid ya dada hay to ehtiyaat ko tark nah kia jaey yani agar larki raazi nah ho tu talaq laina zarori hay. Ref: ( Minhajus saliheen, jld#3, maslah#67). Update on dated 04-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9855
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikam, Mera sawal ye ha k, shadi krna sunnat hai, kya shadi na krna gunah hai??

Answer: Shadi karna takeedi mustahab e hai yaane aisa mustahab hai jis ki bohat ziada takeed ki gae hai lekin agar koi shadi nah karne ki wajah say kisi haraam kaam mai mubtila hota ho tu us k liay shadi karna wajib hai agar aisi sorat mai shaadi nahi karta hai tu phir ye gunah hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2407). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!