Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10290
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi ki sagi badi bahan jiska talakh hochuka hai aus say nikha kar sakta hu ?

Answer: Biwi k nikah main hote hoay os ki behen se nikah karna jaiz nahi hay, haan bivi k inteqal k baad ya agar bivi ko talaq di jaey os k baad os ki behen se nikah kia ja sakta hay.(Ref: Tauzihul masael,edition#41, maslah#3556)

Id: 10297
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shia syed larki ek sunni larke se nikkah krskti hai? Larki k maa baap agar raazi na ho toh unhe raazi krna zaruri hai? uske lie kya hukm hai? Ayat ul allh sistani.

Answer: 1)Shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na or nah hi apny wazaif ky anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunne larky se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazify ki bina pr anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahi hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. eidition,1439 Part #3 , masla # 215). 2)Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10375
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam alekum, agar koi mard ki kisi aurat ke saath zina kiya tu kya uski beti se saath nikah ho sakta hai. Jabki uss mard ne uss aurat ke saath bahot samay se zina na kiya ho. Kya koi bhi rasta hai.

Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh oski baiti k sath shadi nah kare, agarche shadi karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2361). Update on dated 08-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10402
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam Alikum ek lrki usky sth zati hui hy Mjh us sy muhabbt hy Ar usy bhi Me us sy nikahh krna chata hu izzat dna chata hu uska koi qasoor ni Kya asa krna jaiz hy

Answer: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is(aurat) k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta. Laikin zani k alawa koe doosra shaks(is aurat k) tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). Update on dated 16-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10403
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As kya ek ladka aur ladki mazaakh mai ya dil se 3 baar qubool hy kahien toh nikah ho jata hy aur uska baad humbistri kar sakte hain..?

Answer: 1)Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). 2)Nikah ki chand sharaet hain on sharaet k mutabiq is tarah nikah durust nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2335). Update on dated 16-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10644
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam alaikum meri mangani ho gai he or larki ki ammi ne or nani ne ijazat bhi dedi he ke unki larki meri wife he or larki bhi raazi he to kya meri wife ho chuki ya nahi rahenumai farmae

Answer: Mangetar na-mehram hay, nikah k baghair ye aap ki biwi shumaar nahi hoon gi. Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 31-07-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10697
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun Alaikum mera sawal ye hai ki mere papa ki sabse chhoti khala ki ladki se mera nikah ho sakta hai

Answer: Jee, Ye nikah jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaus saliheen, jild #3, edition 1439 hijri, maslah #90-91). Update on dated 31-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10708
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera sawal yeh ha k kya aik syed zaadi ki nikkah hashmi se ho sakta ha ?

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10716
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.. Jb 1 larka r larki bgher maa bap ki ijazat k permanent nikah kr skty hn to bgher ijazat k muttah kiun nh ??? Plzz reply as soon as possible

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). Update on dated 04-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10810
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Husband ki wafat k bad biwi eddat pori karne k bad , husband k bhai yani apne dewar sy nikkah kar sakti hai ?

Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2349-2370). Update on dated 22-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!