Question: Salaam, Do u prefer marraige between double cousins? If their mothers are sisters and fathers are brothers and grand fathers i.e (nana and dada both) are also same. And what would be the after effects upon their children?
Answer: Riwayaat main qareebi rishtay daroon say shadee ko mana nahi kiya gaya,haan riwayaat main ye tazkira milta hay kay is say Bachay kamzoor paida ho saktay hain.Is main bhi Sharee aur Ilmi aetibaar say Umoomiat nahi paai jaati. Behtar hay k aap kisi Mahir-e-Tibb say rujoo karain. Ref: Qia Book-2 Question No.151 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam walikum... sawal kuch is tera seh hai ...jin larkyu ki shadya nahi hoti ya koi rukawat hoti hay ..tou is rukawat ko kis teradour kya ja sakhta hay....aisa koi wazifa hai jis seh is ko dour kya ja sakhay.... shukerya ALLAh hafiz
Answer: Ulama bayan kartey hein keh Sora-e-Maryam kee tilawat sey es probelem ko khatam karney mein madad mil saktee hay. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam ale kum, kya shawal mahine mei akad nahi kiya jaa sakta hai ??.
Answer: Shawal mahine mein aqd kiya jaa sakta hay (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Is the use of condom during Jima permissible in the view of Ayatullah Seestani ???
Answer: Bewi ki ijazat kay saath Condom istemaal karna jaiz hay.Ref:Istiftaat I-31. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: CAN A WOMAN DO BLOWJOB WITH HER HUSBAND AND CAN A MAN DO THE SAME WITH HER WIFE?
Answer: Jaiz hay magar ratoobat ko halaq say utarna Jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat I-2. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia mian biwi jimah kerte waqt aik dosre ko kissing ker saktey hain?
Answer: Jee haan aisa karna Jaiz hay.Ref:Minhaajus Saaliheen Part-3 Masala No.11. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya ek aurat ki doosri aurat ke saath ham-bistari haraam hai?
Answer: Ji haan yeh amal Haram hai aur Gunah e Kabeera hai . Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part#1 maslah #30, eidition2009) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiya nikah ke baad shadi ke pehli raat ko he jimah zarori hai?ager biwi es ke liye kuch time maange to kitna time de saktey hain ziada se ziada?
Answer: Aurat kay liye zaroori hay kay jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharee uzr kay baghair shohar ko hambistari say na rokay.Haan shohar ki razamandi say takheer karna jaiz hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani 2371. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: islam ki nazar mein kya husband ke liye biwi ki andaam nehaani per haath lagana ya chatna allowed hai?
Answer: yeh cheez jaiz hai laikin sharamgah se nikalney wali ratoobat ko peena ya moon mai lena jaiz nahi hai Ref:Istiftaat Ayatullah Sistani .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia kisi nahmehram lardka say is soch say baat karlana ka ma is say sahdi karon gi or woh bhi sahdi ka lia tayar ho baat ki ja sahkti hai?
Answer: Agar Haram main mubtila honay ka khouf na ho to Jaiz hay.Ref:Ques 44 www.sistani.org .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).