Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri shadi ko 1 sal sy ziada ho gya hy mgr meri biwi mre sath humbistri k liye razi nahi hoti, us ki wja sy mujhe sy namehrum larki sy zinnah ho gya hy, kya mera nikkah tot gya hy meri biwi k sath?

Answer: Zina karna Haram aur ghunah e kabira hai aur is ke liye aap ko tauba karna lazim hai lekin is se nikah baatil nahin hota. Doosri baat ye ke Biwi ke liye zaroori or wajib hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain (humbistri wagera) haasil karna chahay to shohar ki khuwahish poori kare aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair biwi, shohar ko hambistari se nahin rok sakti. balke biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna Haram hai. Haan shohar ki razamandi se taakheer (late) karna jaiz hai. Lekin agar biwi humbistari aur jinsi lazzaton ke silsile me shohar ki khawaish poori nah kare to shohar roti, kapre aur makan ka zimadar nahin hai agarche wo shohar ke pas hi reh rahi ho. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2376,2377). [Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17168
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koi larka zina kr ly kisi sy tu fr usk sth shadi kr skhta

Answer: Aap ke sawal ki 4 soortain ban sakti hain aur har aik ke lihaaz se sharaei hukum alag hoga. 1: Agar kisi aisi aurat se zina kiya ho jo shohardaar na ho aur iddat mein bhi na ho to ehtayat-e-waajib ki bina par us aurat ke tauba karne se pahle us se shaadi nahin kar sakta (yani jab tak wo aurat is zina se tauba nahin kar leti, ehtayat-e-waajib ki bina par wo larka us se shaadi nahin kar sakta). 2: Agar kisi shauhar daar aurat zina kiya ho to ehtayaat-e-waajib ki bina par woh zaani par hamesha ke liye haraam ho jaati hai (yani ehtayat-e-waajib ki bina par wo larka us se shaadi nahin kar sakta). 3: Agar kis aisi aurat se zina kiya ho jo rajei talaq ke Iddat guzaar rahi ho to ehtayat-e-waajib ki bina par wo aurat is par Haraam ho jaati hai (yani ehtayat-e-waajib ki bina par wo larka us se shaadi nahin kar sakta). 4: Agar aisi aurat ke sath zina kiya ho jo mutah ya talaaq baaen ya wafaat ya wati shuba ki Iddat guzaar rahi ho to baad mein us ke sath nikaah kar sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2363,2364,2367). [Updated on 06-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17185
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Kyaa shohr k raat der se ghr ane pr bivi apne shouar se sawal kr skti h k wo is waqt khn they

Answer: Yeh shohar aur biwi ke huqooq me nahin ke biwi shohar se is tarah ka sawal kare, aur agar biwi sawal kar bhi day tab bhi shohar jawabday nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376 to 2382. + Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ + Link, https://ur.wikifeqh.ir/%D8%AD%D9%82%D9%88%D9%82_%D8%B2%D9%88%D8%AC%DB%8C%D8%AA ). [Updated on 12-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17186
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar shohar ki juthi mout ki khabr ka sun ke bv dusria shadi kar leti or kuch time bad pehla shohar zinda wapis aa jata to bv kisko milygi ?

Answer: Agar wo khabar sunne ke baad aurat ko yaqeen ho jaaye ke us ka shohar safar mein faut ho chuka hai to agar wo wafaat ki Iddat guzaarne ke baad kisi dosre mard se shaadi kar lay aur is ke baad us ka pehla shohar safar se (zinda salaamat) waapes aa jaaye to zaroori hai ke dusre shohar se juda ho jaaye aur woh pehle shohar par halaal hogi. Lekin agar dusre shohar ne us se jima kiya ho to aurat ke liye zaroori hai keh Iddat-e-wati shuba jo Iddat-e-talaaq ke barabar hai poori kare. Is dauraan pehle shohar ko aurat se jima nahin karna chahiye. Albatta dusri tamaam lazzatein haasil karna jaiz hain. Aur aurat ka naan nafqa pehle shohar ke zimme hai. Aur dusre shohar ko chahiye ke is jaisi aurton ke mehar ke mutabiq use mehar adaa kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2427). [Updated on 12-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17247
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ایک شوہر دار عورت سے زنا کیا پھر اس عورت نے اپنے شوہر سے طلاق لے لی اور زنا کے وقت اس سے ایک اولاد بھی پیدا ہوگئی تو کیا وہ اس مرد سے نکاح کرسکتی ہے جس کی اولاد ہے اگر نہیں کر سکتی تو شریعت کیا حکم دیتی ہے اوراگرکر سکتی ہے تو کیا وہ اولاد حلال ہوجائے گی

Answer: Agar shohar daar aurat zina kare to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina karne waale mard) par hamesha ke liye Haram ho jaati hai, yani wo dono apas me kabhi shadi nahin kar sakte. Aur zina ke zariye jo aulad hogi wo Haram zada hogi. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2367). [Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17250
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera shohar dusri aurton k sath sex krta hai q k mai ny peechy sy ni dalny dia.ab mai ny I liye ijazat di k vo dusri aurton k sath na krey.mjy I bary mai rahnumai farmaen.kia kia jae

Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq Agar shohar dusri na-mehram aurton ke sath jinsi tatulqaat qaaim karta hai to ye us ke liye Haram aur ghunah e kabira hai, jis ke liye us ko Allah taala ki baarghah me Tauba karna zaroori hai, warna wo aakhirat me azaab e shadeed ka mustahiq hoga. Albatta, shohar ka biwi ke peechay ke maqam me hambistari(sex) karne ke hawale se Sharaei maslah ye hai ke, Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai. Ab jab is kaam ke liye biwi raazi nah ho to ethiyaat e wajib ki bina par biwi ke peechay ke maqam (maqam e pakhana) main hambistari(sex) karna Haram hai aur agar biwi raazi ho to jaiz hai lekin shadeed makrooh hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Tauzeeh ul masail jaame, part #4, maslah #259,261). [Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17255
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya biwi ki marzi k baghair bacha paida kr skte hen?

Answer: Shohar aisa kar sakta hai lekin agar biwi ko bacha nahin chahiye to biwi ke liye bhi jaiz hai ke wo hamal ko rokne wali dawyein istemal kare ya ehtiyaati tadaabeer se istifaada kare aur koi ghunah nahin hai lekin shohar ko (sharaei uzr periods e.t.c.. ke bager) jima se nahin rok sakti Q ke ye rokna us ke liye Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376 + Tauzeeh ul masail, Jadeed masail, chapter family planning, maslah #69,70, pg #465,466). [Updated on 26-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17285
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar biwi shohar ki itaat nhi krti jaiz baton mai maslan na-mehramon se hansi mazak ya dosti rakhna aur makeup kr k bahar jana aur agar shohar mana kry to us se larna aur kehna k apni qabr ki fikr kren to shohar k liye kya hukum hai

Answer: 1: Kisi na mehram se dosti karna bhi jaiz nahin hai Q ke ghunah me mubtila hone ka khauf majood hai. 2: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain karna jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki surat me nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota ye jaiz nahin hai. 3: Na-mehram aurat ki awaz sunna agar lazzat aur shehwat ki niyat se suni jaye aur haram me mubtila hone ka khauf ho to jaiz nahin hai. 4: Aurat ka apni awaz na mehram mardon ko sunana agar haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Aur aurat ki zimmedari ye bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur ghunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. 5: Aurat ke liye waise to makeup karna jaiz hai lekin makeup karne ke baad na-mehram mard se apna pura chehra chupana wajib hai. 6: Aap unhen ghar se baahir nikalne pe pabandi laga sakte hain Q ke biwi ke liye apne shohar ki ijazat ke bager ghar se baahir nikalna Haram hai. 7: Aap apni biwi ko waaz o naseehat aur amar bil maroof kar sakte hain (ya kisi ke zariye karwa sakte hain) aur upar zikr kiye gaye in sharaei masail se aghaah kar sakte hain. aur isi tarah agar amar bil maroof aur nahi anil munkar ki tamam sharaait maujood hon jin me se aik ye hay ke ghunaghaar par amar bil maroof aur nahi anil munkar ka asar ho to aap par amar bil maroof aur nahi anil munkar wajib hai aur biwi ko zaban se mana karen balke agar maloom ho ke ghunaghaar par koi asar nahin hoga to ehteyat e wajib ki bina par ghunaghaar ke us kaam se naraazghi ka izhaar zaroor karen. (Ref: Nigah or libaas, sawal #106,160, pg #69,96. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #127, pg #66. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2008,2009,2010,2376. + website urdu, amar bil maroof aur nahi anil munkar, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01716/ ). + website urdu, zeenat, link; https://www.sistani.org/urdu/qa/01817/ ). [Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17295
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر کوئی عورت شوہر کے علاوہ دوسرے مرد سے ناجائز تعلق رکھے تو اس کا کیا ھکم ہے

Answer: 1: Kisi bhi aurat ka apne shohar ke alawa kisi dusre mard se jismani taluq (ya koi bhe najaiz talluqat ) rakhna Haram or ghunah e kabira hai. Aur ghunaahon se tauba karna aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. 2: Agar shohar daar aurat zina kare to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina karne waale mard) par hamesha ke liye Haram ho jaati hai, yani wo dono apas me kabhi shadi nahin kar sakte. Aur zina ke zariye jo aulad hogi wo Haram zada hogi. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2367). [Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17335
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek Meri dost hai india se uske aur uske husband k bich mai physical relationship nhi hai na hi Wo sex krte hai shadi ko 5 Sal hue hai to kya is halat mai Wo bina talak liye hue Kisi aur se nikah padh sake and apni jismani khwahis puri kr sake

Answer: Shadi shuda aurat ka kisi dosre mard se nikah karna Haram hai, isi tarah kisi doosre mard se apni jismani khuwahis poori karna bhi Haram hai, lekin agar us ka shohar us ko talaq day day to iddat guzarne ke baad he wo aurat kisi doosre mard se nikah kar sakti hai. Note :srif shohar , biwi ke darmiyan kai saalo se talluqaat na hone se talaq nahe hote or na he miya biwi wala rishta khatam hota hay or na he ye aurat sahe tareqe se talaq hone or iddat pure hone se phele kise or mard se shadi karsakte hay . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366,2367. + Minhaj us Saliheen, part #1 maslah #30). [Updated on 09-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!