Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17643
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kya qibla rukh karky hambistri jaiz he

Answer: Jaiz hai, lekin makrooh hai. (Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5). [Updated on 01-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17664
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum me yeh arz karna chahta hun agar ladki shaadi se pehle shohar bol de to iska kya masla he

Answer: Nikah k bad mard or aurat aik doosre pe halal hojate hai uss se pehle nhi, faqaqt shohar pukarne me koi harj nhi hai lekin Nikah se pehle namehram hi rhege (Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Nikah k ehkam, Masla No. 2328) [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17668
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya biwi apne shohar ko le k alag reh skti hai?? Or biwi ki kya responsibilities hai sasural walo ko le k

Answer: G blkl sharii lihaz susral se alag rehne me koi mumaniat nhi hai agr larka bhi razi ho aur larke k walidain ko iziyat na horhi ho. Mard ko yh haq hasil nh k biwi ko gharelo khidmat pr majbor kre. (Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2378) Lkn akhlaqi lehaz se h bhtar nhi hai.. [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17722
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia bv shohar ki ijazat k bina bhai ko ghar bula sakti gai.?

Answer: NULL

Id: 17724
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: عورت بچہ پیدا کرنے کے کتنے دن بعد گھر سے باہر جا سکتی ہے؟

Answer: NULL

Id: 18104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: محرم میں ہمبستری کرنا جائز ہے

Answer: NULL

Id: 18138
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr shohar Apne biwi to satisfy nai kar pata h toh biwi Kya kre

Answer: NULL

Id: 18701
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hasdand aghr gher larkiyo ki trf mail ho to kya bivi us ko apny pass any se mnna kr sakti hai.

Answer: NULL

Id: 19051
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek orat agar ek mard ke Sath nikkah mei hoty hue Kisi or mard ke Sath gunnah mei mablus ho to Kya uska nikkah bki rahjta hai

Answer: Agar shohar daar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo aurat, zina karne wale par hamesha ke liye Haram ho jati hai, lekin shohar par Haram nahin hoti aur un ka apne shohar se nikah bhi baqqi rehta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2367). [Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19069
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shoher ko bhi bv ko bata kr ghar se bahir nikalna chahye?

Answer: Ghar se baahir jate waqt shohar pe wajib nahin ke wo apni biwi se ijazat le ke jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2376). [Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!