Question: Kia husband wife apas main ki ve hambistri ki kahaniya dosro ko suna sakhty?
Answer: Aam mamool ki baten share ki jaa sakti hain, lekin aisi baten karna ke jis me fuhush kalami (bay hooda alfaz) maujood ho aur jo miyan, biwi ke darmiyan makhsoos hon, jaiz nahin hai. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #34). [Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi mayeke me hai or parents k sth kahi ghumne jana ho to Kiya waha b shohar ki ijazat Lena zaruri hai?
Answer: Agar biwi apne mayeke me rehne ke liye shohar ki ijazat ke bagair aai thi phir to biwi ke liye apne mayeke me rehna hi jaiz nahin hai, kaheen ghumne jana to buhat door ki baat hai. lekin agar biwi apne mayeke me rehne ke liye shohar se ijazat lekar aai thi aur shohar ne sirf mayeke me rehne ki ijazat di thi to phir biwi ke liye apne parents ke sath kaheen ghumne ke jaane ke liye shohar se ijazat leni hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohar dusry.mulk rehta ho ..to AGR wo video call kr k biwi sy fingring krway to kya yeh jaiz hai?...biwi video call PR shohar k samne fingring kr skti ha ya nhi
Answer: Shohar aur biwi ka video call pe aik dosre ko barehna (naked) halat me dekhna jaiz hai, lekin sharamghah me koi cheez ya ungli daakhil karna ya masturbation, Istimna ya hand practice (ya kisi bhi tariqe se mani kharij) karna, Haram hai or jaiz nahin hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #406, pg #236. + Minhaj ul Saliheen, Part #1, Maslah #30). [Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Susral me bevi se Hambestri ki ja sakti hai???
Answer: Sigha e nikah ke zariye mard, aurat par aur aurat, mard par halal ho jate hain (yani miyan, biwi ban jate hain or miyan biwi wale taluqaat qaim kar sakte hain). lekin aap aik aur sharaei masleh ki taraf tawajjuh dilayei jati hai ke biwi jis ghar me reh rahe hai agar wo ghar us ke walid hai to ghar ke maalik ki ijazat ke baghair un ke ghar me miyan, biwi wale talluqaat kaam nahin kar sakte Q ke kisi ke ghar me us ki ijazat ke bager tasarruf nahin kar sakte. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #149, pg #72). [Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: what to do if wife has done sex with someone else before marriage?
Answer: 1: Is ki shohar par koi zimme daari nahin albatta biwi ghunahgar hai aur use chahiye tauba kar lay. 2: Jis insaan se ghunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. 3: Ghunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq us ki islah kare. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #393,394). (Ref: sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/ ). [Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia me aona nafs ko hath sa thra sa raghr skta hu?
Answer: Shehwat aur lazzat ke iraday se aisa nahin kar sakte Q ke miyan, biwi ke alawa kisi bhi tareeqe se jinsi lazzat haasil karna Haram aur ghunah e kabira hai chahe mani(sperm) khaarij nah bhi ho. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30). [Updated on 27-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia bivi ki shrmgah dekhna jaiz ha?
Answer: Jaiz hai, lekin hambistri ke waqt biwi ki sharamgaah dekhna makrooh hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #5). [Updated on 23-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: It's been 1.5 years .my husband has not done sex with me .Kia Karu me ? Aur Kia iska gunah ha ? Hardee's SE explain kre
Answer: (Note: Aap apne shohar ko is sharaei masleh se aghah karen or use waaz o naseehat kar sakti hain. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ke shohar ko samjhaye taake aap ka shohar aap ke huqooq ada kare warna wo gunhagar hoga). Shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar na kare ga to wo gunahgar hoga) magar ye ke hambistari biwi ke liye nuqsandeh ya bohut ziyada takleef ka sabab ho ya us ki biwi khud chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar mahine se ziyada muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gayei ho. Aur is hukum mein ehtayat-e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koi farq nahin hai is liye ehtayat-e-waajib ki bina par ye jaiz nahin ke ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar maah se ziyada tool diya jaay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382). [Updated on 24-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dear sir kia mngni k baad lrka lrki mobile py oral sex kr skty hen
Answer: Mangni karne se larka or larki shohar or biwi nahin ban jate jab tak ke nikah na kiya jaye or mangani ki koi sharaei hesiyat nahin hai. lihaza mangetar apas me na mehram hain aur mobile pe oral sex karna jaizn nahin hai. Mangni ke baad aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat nah ho koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341. + Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57). [Updated on 24-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum mera swal ye tha k agr shohar ko bivi ka ganay na sunna psnd na ho to kya krein ?
Answer: 1: Ghina(song) chahe kisi bhi zaban me ho or burayei ka ehtemaal ho ya na ho Haram hai, Is sai murad wo batil kalam (alfaaz) hai jisay aisi laye (tarz) ke sath gaya jaye jo lohv o laeb (faajir o fasiqon) ki mehfilon se makhsoos ho. aur gina(song) ka sunna bhi Haram hai. 2: Biwi ko shohar ki is baat pe itaat karna (yani baat manna) jaiz nahin hai. Q ke khaaliq ko naraaz kar ke makhlooq ko khush nahin kiya jaa sakta. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2043. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30). [Updated on 27-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]