Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16999
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa kya nikah sister se mtlb bhai ki biwi k sath taluq rakne se uska apne husband se nikah toot jata hy?

Answer: Agar shohar daar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo aurat, zina karne wale par hamesha ke liye Haram ho jati hai, lekin shohar par Haram nahin hoti aur un ka apne shohar se nikah bhi nahin tootata. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2367). [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17000
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maine apne shouhar ki na famani ki hai anjane main isi bath pe hamara talaq bi hogaya hai to kya apne shouhar ke sath na farmani ki hai...?

Answer: Agar shohar ko hambistri karne se mana kiya tha ya isi tarah shohar ki ijazat ke bager us ke ghar se bahir gayei thien to ye na-farmani kehlaye gi, Q ke Biwi ke liye zaroori or wajib hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain(humbistri wagera) haasil karna chahay to shohar ki khuwahish poori kare aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair biwi, shohar ko hambistari se nahin rok sakti. balke biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna Haram hai. Isi tarah jis aurat ka daimi (hamesha ka) nikah ho jaye us ke liye Haram hai ke wo shohar ki ijazat ke bager us ke ghar se bahir nikle, chahe uska nikalna shohar ke haq ke manafi na bhi ho. lekin agar in do kaamon ke alawa shohar ki koi aur baat nahin maani to wo na-farmani nahin kehlaye gi, Q biwi ke liye ghar ke kaam, kaaj karna wajib nahin hain aur shohar bhi biwi ko ghar ke kam, kaaj par majboor nahin kar sakta, agarche biwi ke liye mustahab hai ke ghar ke kam ko anjaam day. wo ye ke biwi, shohar ki jinsi zaroorat ko poora karne ke alawa bhi shohar ke ghareloo khidmat karti rahe, misaal ke taur par ghar ka khana pakaaye, kapre seeye, ghar ki safayei kare or kapre waghaira dho kar day albatta shohar ki jinsi zaroorat poora karne ke alawa ye kaam biwi par wajib aur zaroori nahin hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2378. + Jadeed fiqhi masail urdu, maslah #509). [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17016
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Halat e haiz main shohar apni zaroorat Ksy prui karay

Answer: Halat e Haiz men chand cheezien Haram ho jaati hain: in me se aik aurat ki farj(agli sharamghah) men Jima(Intercourse) karna hai jo ke shohar or biwi dono ke liye Haram hai. Albatta, Is surat me Jima(Intercourse) ke alawa baqi lazzatien maslan lams (touching) or bos-o-kinar (kissing) wagera karna jaiz hai. Is men koi haraj nahin hai shohar aur biwi aisa kar sakte hain. isi tarah Biwi ke peechay ke maqam (maqam e pakhana) main hambistari karna agar biwi raazi ho to jaiz hai lekin shadeed makrooh hai, aur agar biwi raazi nah ho to ethiyaat e wajib ki bina par Haram hai. Q ke Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par dono ka raazi hona lazim hai. Biwi apne hath se shohar ki isi tarah shouhar bhi apne hath se biwi ki mani nikal sakta he.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,450,451. + Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), Part #4, Maslah #259,261 , email rcvd from A.Sistani(d.b). [Updated on 23-Jun-2021 ( [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17021
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: میں اپنے والدین کے ساتھ رہتا ہوں اپنی بیوی کے ساتھ، اب مینے دوسری شادی کی ہے۔ کیا میں دونوں کو ایک گھر میں رکھ سکتا ہوں جب کہ میری پہلی بیوی تیار نہیں ہے۔ جبکہ میں ساتھ رکھ کر بہتر دیکھ بھال کر سکتا ہوں۔

Answer: Aik ghar me rakh sakte hain Q ke shohar par naan o nafaqay ke taur biwi ke liye zindagi ke akhraajaat jaise ke libaas, ghar, khana aur zindagi ki baaqi zarooriyat muhayya karna wajib hai, ab is me shohar ki marzi hai ke wo dono biwiyon ko aik ghar rakhay aur us ki baaqi zarooriyaat poori kare ya alag alag ghar me rakhay aur us ki baaqi zarooriyaat poori kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17028
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mein Sirf yeh pochna chati hon k ager soher kahe k Meri sharem gah ko Mon main lo or bivi kahe k yeh Haram h os k jawab main shower kahe K there pustan bhi Haram hian main in ko nhi choson ga to kia nikha khatam ho jay ga

Answer: 1: Aisa kehnay se nikah khatam nahin hota, Albatta aap ko aik sharaei masleh ki taraf tawajjuh dikayei jati hai ke Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai. 2: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye ke sharamghaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaaye. Q ke agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #259,261. + sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1). [Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17037
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we read complete Bismillah before seeing wifes full naked body or doing foreplay.

Answer: Jee parh sakte hain aur Biwi ke sath jima (intercourse) ke waqt Bismillah parhna, isi tarah wuzu karna to mustahab bhi hai, khaas taur par jab biwi hamila ho, jabke barahna halat me (yani naked ho kar) jima karna makrooh hai. (Ref: Minhaaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17044
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera shoar mery sath pechy sy sex krta hai meri marzi hoti meri marzi k bgair ni krty mery shoar kya nikkah batil ho jata hai is sy or yeh bta dain islam me nikkah kis kis chez sy batil hota hai ???

Answer: 1: Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai. Ab jab biwi razi nah ho to ethiyaat e wajib ki bina par biwi ke peechay ke maqam (maqam e pakhana) main hambistari(sex) karna Haram hai aur agar biwi raazi ho to jaiz hai lekin shadeed makrooh hai. lekin dono surton me chahe biwi raazi ho ya raazi nah ho peechay ke maqam (maqam e pakhana) main hambistari karne se nikah baatil nahin hota. 2: Islam men fiqh e jaffariya ke mutabiq, daimi nikah men shohar aur biwi ke darmiyan judayei aur alehdgi do cheezon (faskh ya Talaq) ke zariye ho sakti hai. aur agar nikah, gair e daimi (mutah) ho tab bhi shohar aur biwi ke darmiyan judayei aur alehdgi do cheezon (mutah ki mudat katam hone ya mudat bakhshne) ke zariye ho sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #259,261. + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #2344,2345,2461 to 2473) [Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17106
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri bv muge sex ni krna deti or mn abi Mali Tor pr dosri shadi ni kr skta Mera lye kia hukm hy

Answer: (Note: Aap apni biwi ko is sharaei masleh se aghah karen or use waaz o naseehat kar sakte hain. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ki biwi ko samjhaye taake aap ki biwi aap ke huqooq ada kare warna wo ghunhagar hogi). Biwi ke liye zaroori or wajib hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain(humbistri wagera) haasil karna chahay to shohar ki khuwahish poori kare aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair biwi, shohar ko hambistari se nahin rok sakti. balke biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna Haram hai. Haan shohar ki razamandi se taakheer (late) karna jaiz hai. Lekin agar biwi humbistari aur jinsi lazzaton ke silsile me shohar ki khawaish poori nah kare to shohar roti, kapre aur makan ka zimadar nahin hai agarche wo shohar ke pas hi reh rahi ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377). [Updated on 20-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17118
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mian biwi bgair dakhol k farig hoty hon kya yesai h?

Answer: Agar is se muraad ye hai ke miyan biwi me se har aik, aik doosre ko faarig karte hon maslan biwi apne hath se shohar ko faarig karti ho aur shohar apne hath se biwi ko faarig karta ho to ye kaam jaiz hai Q ke shohar aur biwi apne badan ke kisi bhi hisse ko dusre ke badan ke kisi bhi hisse se chhoo(touch) sakte hain, (maslan shohar ka biwi ki sharamghah main apni ungli daal kar mani nikalana, isi tarah biwi ka apne haath se shohar ke uzw tanasul (penis) lay kar hand practice/masturbation) kar ke mani nikalna, ye jaiz hai. Lekin agar is se muraad ye hai ke miyan biwi me se har koi apne apne hath ya kisi aur cheez ke zariye faarig hota ho to ye Haram aur ghunah e kabira hai, isi tarah jism ke hisse ke alawa koi aur cheez (maslan sex toys wagera) ke zariye ehtiyaat ki bina par faarig nahin ho sakte. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #406, pg #236. + Tauzeeh ul masail Jaame, part #2, edition #1443, maslah #544). [Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17119
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mian biwi apas me nafs ko dakhol krty waqt mushkil hoti bht zayda aur bht bar nafs dakhil ni hta iska kya hal ha?

Answer: Baaz aurton ka parday e bakarat (seal) sakht hota hai aur shadi ke shuru shuru me parday e bakarat asaani se nahin phatta aur dukhool karne me mushkilaat ka saamna karna parhta hai lekin jab parday e bakarat phat jata hai to phatnay baad dukhool wala amal asaan ho jata hai aur yeh amal lazzat ka sabab bhi banta hai. Miyan biwi apni sharamghah pe kisi oily cheez jese oil wagera ka istemaal kar ke dukhool kar sakte hain jis se dukhool karne me asaani hogi. (Ref: http://knwara.blogspot.com/p/please-help-me-will-i-bleed-at-first_28.html?m=1 ). [Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!