Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11337
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri shadi ko 1.5 saal ho gaye hain. shadi k 2 month baad shohar bahir chaly gaye thy or 1 saal baad bety ki padish par aye or tb hum jismani tor py mil nahen sakty thy. ab mera guzara nahen ho raha un k bafher or na unka guzara ho raha to kya krna chahye

Answer: shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark nahi kar sakta magar yeh keh humbistri us ke liay nuqsanday ya buhut ziada takleef ka baais ho ya us ki biwi khud 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark karne par razi ho. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2382). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11422
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bivi agr gair mard k saath sex karay tu us k saath Kia Kia jaye

Answer: Agar shohar dar aurat zina kare to ahtiyat e wajib ki bina par woh zani par hamesha ke liay haram ho jati hai, lekin shohar par haram nahi hoti aur agar toba wa istaghfar na kare aur apne amal par baqi rahe (yaani zina kaari tark na kare) to behtar yeh hai keh us ka shohar usay talaq dede lekin shohar ko chahiye keh us ka meher bhi de. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani(D.B), Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2367). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11732
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shohar dar aurat zina kare to ehtiyat e wajib ki bina par zani par hamesha ke liay haram ho jati hai lekin agar aurat ki talaq ho jaye to kiya wo usi mard se shadi kr skti ha ya nahi kiya koi tarika ya kufara ha jis se wo us par haram na rahe?

Answer: Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi (zaani) zina kernay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai chahe shohar use talaq bhi dede .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2367) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11810
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal yh hai k jo shohar biwiyon ko time nai detay unk liye kia hukam hai?

Answer: 1) Shohar apni jawaan biwi sai 4 mahine sai ziaada jimaa tark nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2382). 2) Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara (mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara (mujtahid) is k shohar ko husne sulooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara (mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, pg # 237, 5th Edition). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11867
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia diferent angle se humbustari kerne se bachon me nokas hota he

Answer: 1) Husband or wife har qisim ka sex ker sakte hain jis per wo dono razi hoon. Ye amal wase bhi haram nahi hay. (Ref: E-mail rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) 2) Hadees e Rasool s.a.w.w. hai k jima kartay waqt koi shakhs batain na karay q k ajab nahi k wo bacha goonga paida ho aur aurat ki sharamgah na dekhay bal k is halat mai aankhain band rakhay q k is waqt sharamgah ki taraf dekhna aulad k andhay honay ka bais hai. (Ref : Islam aur jinsiat pg # 138) 3) Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamgah ko dekhna makrooh hai. jima k waqt kamray main andhera hona lazmi nai (Ref: Minhaaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ). [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11901
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it also sin to see your wife or husband nude?

Answer: Aytullah sistani ke mutabiq shohar or bivi k liay aik dosray k jism k tamaam hison ko dekhna jaiz hay . (ref ayat ullah seestani d b minhaa jus saliheen maslah 11) [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11902
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quraan k mutabiq anal sex haram phir kaise jaiz ho sakta hai

Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq fiqhe masail me kise aalam mujtahid(aytullah )ki taqleed ki jate hay (or ye mujtahid ka kaam hota hay ke wo bataae quraan or ahadees me kya kha jaraha hay or kya samjaha jaraha hay ,or jo louq mujtahid nahe hay wo aalam mujtahid ki taqleed karte hay ,or aytullah sistani ke mutabiq Biwi k peechay (back ) ke maqam main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e Mutakhaba, Mafhoom e Maslah maslah # 67) [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11927
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia mard apni biwi ko sex toy (rubber ke penis) se fuck kar sakta he

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se choo sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez (maslan sex toys waghaira) sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahin ker saktay or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236) [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12029
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamo alikum. Mera shohar k jagra ho gya q k wo haq e zojiat ada ni krty kai kai din mai ny unky samny qasam khai k Khuda ki qasam mei dobara ab nai kahon GI. Is ka kya kafaara hoga

Answer: Sohar apni jawan biwi sai 4 mahinay sai ziada muddat (time period) k lie hambistari (intercourse) tark nahi kar sakta magar ye k (except) hambistari os k lie nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab (reason) ho ya oski biwi khud 4 mahinay sai ziada muddat k liay hambistari tark karnay par razi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn (agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah # 2382) Jazbaat mai khaail hoi qasam durust nahi hoti.koe kaffara nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2633). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kissy larky ka husband bahir k mulk lamby arsy se ho to kya larki apni jinsi khuwaish kissy or mard se poori kar sakty hai kya?

Answer: G nahin ye aisa karna zina kehlaiy ga aur zina karna gunah e kabira me se hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!